Doji-Star Candlestick

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Doji-Star Candlestick
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Doji star Candlestick Pattern


    Japanese candlesticks baar chart ki nisbat iss waja se ziada pasand ki jati hai, q k ye candles un ki nisbat bohut ziada information reakhti hai. Baar chart aik timeframe ka open, close, low aur high prices dekhate hen, jab k candlestick open, close, low, high, bullish, bearish aur neutral values bhi dekhate hen. Candlesticks chahay single hon ya tadad main ziada hon, innki information ziada reliable hoti hai, jiss ko analyst ziada pasand karte hen. Doji star candle bhi aik single candle hoti hai, jo k umoman aik neutral candle tasawar ki jati hai. Ye candle bagher real body main hoti hai, jiss ka upper aur lower sides par small equal length k shadows hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (448).png
Views:	1
Size:	2.5 کلوبائٹ
ID:	12548282

    Candles Formation


    Doji star candles umoman prices main ziada tar dekhaye dete hen, q k ye aik neutral candle shumar hoti hai. Ye candle aik hi waqat main market main buyers aur sellers ki equal taqat ki akasi karti hai, jo prices ko aik khas position par mustehkam rakhti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (3) (447).png
Views:	6
Size:	2.9 کلوبائٹ
ID:	12548283

    Doji Star Candle: Doji star candlestick prices k darmeyan main ziada tar neutral hoti hai, jab k bottom aur top prices par trend reversal ki salaheyat rakhti hai. Ye candle aik bagher real body main hoti hai, jab k ye candle single hone ki waja se bullish aur bearish dono tarah ka kaam kar sakti hai. Candle k upper aur lower sides par shadow hota hai, jo k dono sides par size main equal hota hai.

    Explanation

    Doji star candlestick aik bagher real body main upper aur lower sides par small shadow ki hoti hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, jab k candle ki oper aur close price k upper aur lower sides par equally small shadows hote hen. Jab bhi stock ki prices par selected timeframe k mutabiq pehle aik side se ziada pressure par jata hai aur baad main dosri taraf se same pressure parta hai, to uss sorat main Doji star candle banti hai, lekin buyers aur sellers ki market main equal pressure ki waja se candle ki dono taraf shadow ban same ban jata hai. Doji star candle dekhne main same Long-legged candle jaise hoti hai, lekin iss k upper aur lower sides ka shadow length main kam hota hai, jiss se dono candles k darmeyan bohut wazih faraq a jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (446).png
Views:	18
Size:	2.6 کلوبائٹ
ID:	12548284

    Trading

    Doji star candlestick single candle pattern honne ki waja se traders k leye wazih signal nahi deta hai, aur khas kar sideways market main to ye invalid ya neutral candle hoti hai. Ye candle prices k top ya bottom main main thori bohut moasar ho sakti hai, lekin uss k leye bhi confirmation ka hona zarori hai. Candle ki trading se pehle market main long term ki timeframe select karne k baad prices k top ya bottom position dekh len. Uss k baad kuch indicators jaise CCI indicator aur stochastic oscillator par value dekh len jo k overbought ya oversold zone main hona zarori hai. Candle par trading ziada riski hai, iss waja se Stop Loss candle k bottom ya top se two pips below ya above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (206).jpeg
Views:	21
Size:	23.8 کلوبائٹ
ID:	12548281
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Doji-Star Candlestick

    WHAT IS A DOJI STAR CANDLESTICK PATTERN :





    Doji star ak candlestick pattern ha ya pattern market ka chart ma three candlestick sa mil kar banta ha. Ya pattern market ka reversal ka signal data ha is pattern ma market ka jo current trend hota ha wo reversal hota ha or market is ma current trend ka opposite ke traf move karte ha. Ya pattern three candles sa banta ha is pattern ke jo middle candle hote ha wo doji candle hote ha or is pattern ma is doji candle ka bad sa market reversal hote ha. Is pattern ke two types hote ha ak bearish dojistar or dosra bullish doji star or ya depends kar raha hota ha or ya tab banta ha jab market uptrend ya downtrend ma sa kese ak side par move kar rahe hote ha. Is doji star pattern ko samajna sa phalay ap ko ya pata hona chaiya ka jo simple doji candlestick pattern ha wo kasa hata ha or wo kasa kam karta ha jab doji pattern banta ha to is ma market ke opening price or closing pri6same hote ha or ya indecision ko show karte ha or ya dakhna ma plus sign ke trha sa hote ha. Doji star pattern three candle sa banta ha or is pattern ke jo first or last candle hote ha wo opposite hote ha ak dosra sa jo is pattern ma doji candle hote ha wo market ka high ya low point ko banate ha.





    BULLISH DOJI-STAR CANDLESTICK PATTERN :





    Bullish doji star pattern market ka chart ma bottom par banay ga is pattern ka bannay sa phalay market ma strong bearish ka trend ho ga or is sa phalay market lower ke traf low ho rahe ho ge. Ya pattern three candles sa mil kara banay ga is pattern ke first candle ak large body bearish ke candle ho ge jo market ka downward trend ko increase kara ge or is ma market hogh sa low ke traf move ho ge or ya high bear ka pressure ka batay ge ya candle chart ma red ya black clour ke ho ge is candle ka small upper or lower shadow ho ga is pattern ke second candle first candleka lowee sa open ho ge ya ak doji candle ho ge jo ka inde3ko show kara ge or is pattern ke last candle opposite ho ge market ka downtrend ka or ya bullish ke long bidy candle ho ge is candle ko ak conformation candle ka tor par use kiya jay ga ya huma market ka reversal or bull ke traf jana ka batay ga is ma traders is ke last candel ka end sa buy ke trade ko enter kara ga or stop loss ko lower ma rakha ga.





    BEARISH DOJI-STAR CANDLESTICK PATTERN :





    Bearish doji star pattern opposite hota ha bullish doji pattern ka. Ya pattern market ka uptrend ka top ma banta ha. Jab ya bearish doji star pattern market ma banta ha to is pattern ka bannay sa phay market ke price ak strog upward trend ke traf move kar rahe hote ha is sa phalay market ma ak strong bullish ka trend hota ha. Ya pattern bhi three candlestick sa mil kar banta ha. Is pattern me first candle ak large bullish ke candle hote ha jo market ka uptrend ko ongoing karta ha yani is ma market low sa high ke traf jate ha ya candle chart ma green ya white colour ke hote ha jo traders ko market ka high bull ka pressure ka batate ha is pattern ke second candle ak doji candle hote ha jo ka market ka top ma bante ha ya market ka indecision ko show karte ha or ya first candle sa top ma hote ha or is pattern ke last candle ak long real body bearish ke candle hote ha jo ka is pattern ke first candle ka opposite ma bante ha ya market ka trend ko change karte ha or high bear ka pressure ka batate ha is ma market high sa low ke traf ate ha or ya red ya black colour ke hote ha is ma traders sell ke trade ko enter karta ha.

    اب آن لائن

    Working...
    X