Benefits of dragonfly doji candlestick:

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Benefits of dragonfly doji candlestick:
    Dragonfly doji candlestick:
    Esi candlestick jo keh pattern mein aik hi level per khuli (open), band (close) aur high qeemat ka asset zahir kray , usko "Dragonfly Doji" candlestick kehte hain."

    Important points:
    1. Yeh pattern musalsal dikhai nahi deta.
    2.
    Yeh aik technical indicator hai jo keh "potential reversal" ki nishandahi karta hai.

    Summary:

    Aik oper ke trend ke bad, doji aik "potential drop" dikhata hai jo keh usi candle ke neechy ki taraf harkat karne per sabit ho jata hai.
    Aur agar trend neechy ki taraf ho to dragonfly doji aik "potential price increase" ko dikhati hai aur isko sabit karte hue candlestick oper ki taraf harkat karti hai.
    Candlestick charts ziada maloomati hotay hain line chart ke muqablay mein, jo keh sirf average qeemat ka pata detay hain.

    Explanation:
    Candlestick kay 2 hisay hoty hain aik "body" aur aik "tail".
    Oper wali tail ka hisa aik highest qeemat ki maloomat deta hai.
    Neechy wali tail ka nichla hisa lowest qeemat kay baray mein btata hai.

    Types:
    Negative candlestick:
    Es men candlestick pori tarah se bhari (filled) hoti hai.

    Positive candlestick:
    Es men candlestick khali hoti hai(hollow body).
    Doji ki shakal aik cross ki tarah ki hoti hai. Yeh "T" ki tarah ki hoti hai jiski oper say tail nahi hoti per neechay say bari tail hoti hai.
    Doji ki bari neechy ki taraf jo tail hoti hai wo selling ya farookht kay baray mein batatai hai , jo keh aik khas period mein neechay ki taraf pressure kay baray mein btati hai.
    Per agar yeh kisi trend kay khatmay per ho yeh buyers ki selling ko reversal kay baray men btati hai.
    Es say trading kay baray mein faislay lenay mein madad hoti hai.
    Yeh stoploss ko bhi suggest karti hain keh kahan tak hamari trade jay gi.

    Limitations:
    Dragonfly doji candlestick bahit hi nayab hoti hai jah keh market men reversal musalsal hota rehta hai.
    Doji say ham price target hasil nahin kar saktay.
    Yeh technically aik acha indicator nahin hai.

    Use:
    Eska ek tajzia ulat pattern ka bahut hi ishara karta hai , to trading mein kamyabi hasil karnay kay liay dragonfly doji ka istamal hamen kamyabi ki taraf lay kar ja sakta hai.
    Dragonfly doji ko indicator ke tor par istamal kia ja sakta hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Benefits of dragonfly doji candlestick:

    Dragonfly Doji Candlestick Pattern


    Dragonfly doji candle qeematon k bottom par bearish trend ki tabdeel ka zarya banti hai, jiss se qeematen upward rise hona shoro ho jati hai. Dragonfly doji candle price chart par doji candle se taluq rakhti hai, jis me candle ka open, close aur high prices same point par hote hen. Candle k lower side par aik lamba shadow ya saya banta hai, jab k upper side par shadow nahi banta hai. Mandarjabala candlestick agar bearish trend ya low price area main banta hai, to iss ko dragonfly doji candlestick kehte hen, jo k bullish candle ki hososeyat rakhti hai aur bullish trend reversal ka sabab bhi banti hai. Dragonfly doji candle ka taluq doji family se hai, jiss main candle ki upside bagher real body ki hoti hai, jab k lower par aik long shadow hota hai.

    Click image for larger version

Name:	Dragonfly-Doji.png
Views:	24
Size:	7.9 کلوبائٹ
ID:	12413068

    Pattern ki Pehchan k Rules

    1. Dragonfly doji candle aik single candle pattern hai, jo prices k bottom ya bearish trend main banti hai, jo k bullish trend reversal ka kaam karti hai.
    2. Ye candle bagher real body ki hoti hai, jis me open aur close same point par hote hen.
    3. Candle k lower side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
    4. Candle k upper side par small si wick k elawa koi bara shadow nahi honi chaheye.
    5. Ye candle normal prices me neutral hoti hai.


    Click image for larger version

Name:	images (274).jpeg
Views:	6
Size:	9.5 کلوبائٹ
ID:	12413069

    Pattern ki Tafseel


    Dragonfly doji candle aik single candle pattern hai, jo k qeematon low area ya bearish trend main ban kar bullish trend reversal k kaam karti hai. Ye candle bagher real body ki hoti hai, jis k lower side par aik lamba saya hota hai, jo k prices k leye support level sabit hota hai. Dragonfly doji candle me qeematon ka open, close aur high same point par jab k low price par aik lamba shadow banta hai. Dragonfly doji candle khaas tor par, yeh ishara karta hai, ke sellers market mein ziada active ho chuke hen, jiss se wo prices ko ko akhari bottom level tak push karte hen. Lekin baad main market main buyers ki pressure ya tadad main izafa hone ki waja se prices din k akhtetam tak wapis upper chali jati hai, jo iss baat ka ishara hota hai, k prices ab trend tabdeel karne k mode main a chuki hen.

    Click image for larger version

Name:	images (493).png
Views:	47
Size:	10.8 کلوبائٹ
ID:	12413067

    Pattern par Trading ka Amal


    Dragonfly doji candle ko technical analysis k tawar par istemal karne k leye prices ka pehle bottom trend me hona aham hai. Ye single candle pattern hai, is waja se trend confirmation k leye aik white candle ka hona zarori hai, jis par market me buy ki entry ki ja sakti hai. Candle ka low shadow strong support level hota hai, jis par stop loss bhi lagaya ja sakta hai. Candle k baad hi market me entry ki ja sakti hai. Dragonfly doji candle hoti hai, jo prices ko mazeed bearish jane se rok kar trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle market main sellers ka ikhtetam aur buyers ka prices ko upward pusha karne ka ishara hota hai. Candle par trading se pehle trend confirmation k leye aik to prices ka bottom hona chaheye, jab k dosra aik bullish real body wali candle bhi honi chaheye. Lekin dragonfly doji candle k baad bearish candle k banne se ye candle invalid ho jayegi.

    Click image for larger version

Name:	images (494).png
Views:	41
Size:	13.8 کلوبائٹ
ID:	12413066

    اب آن لائن

    Working...
    X