Asslam.o.Aliakum Dosto...
umeed hai dosto ap sab thek hon gy dosto aj ham bat karain gy wedge pattern k bare main qk dosto trading krne k liye patterns k bary information hasil krna important hai isliye apse main wedge k mutaliq kuch information share krta hn.Falling Wedge Pattern:
Dear Friends Agr hum chart main dekhe k market main koi ik trend kafi time se chal rha hai or falling wedge k banney me zaroori hai k last trend Berish trend ho ya down trend neche ki traf girty hove ek level per rejection ly kr oper ki traf ek pull back karta hai yahan se pattren ki formation start hoti hai or agly kuch he swings main pattren mukamal ho ata hai esko ap triangle ki sahpe main daikhen gy or eska break out hamesha new trend ki formation hoti hai kyon k falling wedgw ek trend ki end or new tred ki formation hoti hai es pattren main apke uper trend line ko ap market ki resistance or lower trend line ko market support ki trah ly kar mazeed agy barhti hai.falling wedge pattren ki yeh khasiyaat hai k yeh chart pattren main banta hai jahan market lower lows or lower highs bnati hai jo ke ek range main banty hain jab yeh pattren downtrend main banta hai to yeh reversal pattren mana jata hai or yeh pattren es bat ko confirm karta hai k ab new trend start honey wala hai buyers ka rujhaan ziada hai, girty hue wedge patteren ki khasusiyat aik chart patteren se hoti hai jo is waqt bantaa hai jab market contracting range ke sath nichli satah aur nichli oonchai ko banati hai. jab yeh patteren neechay ki janib rujhan mein paaya jata hai, to usay aik ulat patteren samjha jata hai, kyunkay range ka ishara karta hai ke neechay ka rujhan khatam ho raha hai, falling wedge ek bullish pattren hai esi trha se esk dusra pattren raising wedge hai jisko hum bearish pattren kehte hain yeh signals maney jaty hain market main trend change honey k jese k ap neche dekh sakte hain.
Trading with Falling Wedge Pattern:
Dosto gaar apko chart ma falling wedge pattern dikahye da rha ha to to apko yaha kahridi karna ka lie jo do support hain resistance ka high ko touch karta hue ek trend line khenchna hogi is trend line ko (resistance line) kahta hain or iska bad dusra support ko touch karta hue dusri trend lien khenchna hogi isko (support line) kahta hain ,falling wedge chart pattern ma kam sa kam do support or resistance ka hona lazmi ha or agar do sa zyda ho to bohat achi bat hogi isma ek bat ka dikhan rakha resistance wali line ka slope necha ki taraf hota ha or support ki nisbat jis sa ya ek point a ka crossover kar jati hain is pattern ma asa ni hona chaye ka dono line ek dusra ka parallel chalti rahein ,agar ya crossover na karein to isko sahi ni mana jaye ga ,dosto trade lata wakt hama is bat kadihan rakhan bohat zaruri ha ka hamara trade lana ka point sa stoploss lagana ka point ka difference risk reward ka rule 2% ka mutabik hona chye agar ya 2% ka mutabik nahi ha to ham trade nahi lein ga.
Rising Wedge Pattern:
Friends yeh pattren bhi fallig wedge k bilkul opposite hai jese k woh apko market main milta hai jahan apko downtrend nazar aye esi traha raising wedge bhi uptrend market main apko milta hai same supportor resistance es pattren main bhi milta hai market apne trend k high prices per ja kr range main movekarna start karta hai wahaan apko es baat ka andaza ho jana chahye k ab maarket main new trend staarthone wal hai buyers ka market main rujhaan kaaam hai sellers ab market maain heavy hoty ja rahe hainyahan apko support k downout per entry leni hoti hai or pattren k pehle swing k mutabiq apko apna target rakhna hota hai.