Evening Doji-Star Pattern
Introduction:
Evening doji star aik bearish trend reversal pattern hai, jo k bullish market k baad ya high price area me banta hai. Pattern aam tawar par teen mukhtalif candle par mushtamil hota hai, jis me 1st candle aik bari real body wali white candle hoti hai. 2nd pe aik doji candle hoti hai, jo k white candle se gap me up side pe banti hai, aur 3rd (last) pe aik bari real body wali black candle banti hai, jis ka open price doji candle se gap me nechay ki taraf hota hai. Black candle ka aur doji candle ka shadow aik dosre k uper a sakta hai lekin real body ka gap me banna zarori hai. Evening doji-star candlestick pattern aik strong bearish trend reversal pattern hai, jo teen candles par mushtamil hotta hai. Evening doji-star candlestick pattern main pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jiss ka baad aik doji candle hoti hai, jiss k baad aik long real body main bearish candle banti hai.
Pattern ki Pehchan ka Qayeda:
- Evening doji star aik bearish trend reversal pattern hai is waja se qeematon ka pehle se bullish ya high price area me hona chaheye.
- Pattern ki 1st candle aik bari real body wali white candle hoti hai, jo k bullish trend ki alamat hoti hai.
- Pattern ki 2nd candle aik doji candle (umuman doji star) hoti hai, jo k 1st candle se above gap me banti hai.
- Pattern ki 2nd candle lazmi bagher real body ki honi chaheye, isi tarah se ye pattern evening star pattern se different nazar ata hai.
- Pattern ki 3rd candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jo k doji candle se gap me open hoti hai (black candle aur doji candle k shadow aik dosre ko overlape kar sakte hen, lekin real body ko nahi karna chaheye).
Pattern ki Tafseel:
Evening doji star pattern k naam se zahir hai k ye pattern teen candle sticks par mushtamil hai, jo k bearish trend k reversal k leye jana jata hai. Ye pattern ziada tar bullish trend k baad ya high price area me banta hai, jahan se qeematen is pattern ki waja se bearish trend me change ho jati hai. Ye pattern teen mukhtalif qisam ki candles (bullish, bearish aur doji) par mushtamil hai, jis me 1st candle aik bari real body wali white candle hoti hai. Jo k bullish trend k alamaat ko zahir karti hai. Pattern me 2nd candle aik doji candle hoti hai, jo k white candle se above me gap me banti hai. 3rd pe aik bari real body wali black candle hoti hai jo k doji candle se gap me ban jati hai. Black candle aur doji candle ki real body me gap zarori hai, jab k shadows aik dosre ko overlape kar sakte hen. Pattern teen mukhtalif qisam k candles par mushtamil hota hai, jo k bullish trend k baad paya jata hai. Ye pattern dekhne main bulkul " Bearish Abandoned Baby candlestick pattern" ya "Evening Star candlestick pattern" jaisa hota hai, lekin darmeyan main doji candle ka pehle candle se gap main banne ki waja se ye unn pattern se mukhtalif ho jata hai. Pattern ki pehli candle bullish hoti hai, jo k bullish trend ki alamat hoti hai, jab k baad main aik doji star candle banti hai, jis ka open aur close bullish candle se above gap main hota hai.
Pattern pe Trading ka Amal:
Evening doji star aik confirm trend reversal pattern hai, jis se seller market me faida hasil karte hen. Pattern me agar 3rd black candle 1st aur 2nd candle k lower pe close hoti hai, to ye pattern k reversal ki confirmation hoti hai, lekin agar black candle white candle k darmeyan me ya us se thora uper close hoti hai, to us sorat me humen 4th candle ka intezar karna hoga, jis k baad hi signal confirm hoga, agar 4rth candle white candle k below close hoti hai. Stop loss doji candle k high price area pe hoga, agar trend reversal fail hota hai. Evening doji-star candlestick pattern market main bullish trend main banne ki waja se strong bearish trend reversal ka signal deta hai, jo k trader k leye market main sell ki entry ki opportunity peda karti hai. Pattern k leye zarori hai k prices high price ya uptrend main ho. Pattern par market main entry karnne se pehle trend confirmation candle ya kisi reliable indicator ka istemal zarror karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим