Assalamu Alaikum Dosto!
Piercing Line Candlestick Pattern
Piercing line candlestick pattern bullish trend reversal signal dene wala pattern hai, jo aik wazeh downtrend ke baad yeh pattern amal mein aata hai. Piercing line candlestick patteren ki tashkeel do candles par mushtamil hai aur jo price chart par bottom prices par banne wale bullish belt hold line pattern se mushabihat rakhta hai. Piercing line candlestick pattern ki tashkeel mein pehli candlestick aik bearish candle hai, prices k maojoda bearish trend ki tarjumani karti hai. Pattern ki agli candle bullish candle hoti hai. Pattern ki dosri pehli candle se bottom gap main open ho kar ussi ki real body main close hoti hai, lekin lower side par shadow bohut lamba hota hai. Ye candle lazmi pehli candle ki real body main darmeyan se ooper close honi chaheye.
Candles Formation
Piercing line pattern market main prices par bearish ka asarat ko khatam karne ki koshash karte hen, jo k do candles ka aik trend reversal pattern hai. Pattern main candles k opening prices aik dosre k opposite direction main hote hen, lekin dosri candle k closing price pehli candle k adhay hise ko overlap kar jate hen, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish meeting line pattern main shamil pehli candle bearish hoti hai, q k ye pattern aik bearish trend k akher main banta hai, to ye candle color main black ya red hoti hai. Ye candle aik strong real body main honi chaheye.
2. Second Candle: Bullish meeting line pattern ki dosri candle bullish candle banti hai. Ye candle pehli candle se nechay gap main open ho kar ussi k midpoint se above close ho jati hai. Pattern ki ye candle aik white ya green color main hoti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.
Explanation
Piercing line candlestick patteren chart par do real body bullish aur bearish candles ka aik majmoa hai, jiss k leye market ka bottom area hona zarori hai. Ye pattern do candles par mushtamil hai, jo k prices k leye bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Pattern dekhne main same dosre trend reversal pattern jaise hososeyat rakhti hai, q k ye pattern prices k bottom lower par banta hai. Pattern ki pehli candle market main sellers ki behaviour ki akasi karti hai, jiss ko wo agle din usi taqat k sath baqarar nahi rakh pate aur buyers market ka control hasil kar lete hen. Aur pattern ki dosri candle pehli candle k bottom par gap main open hone k bawajood bhi prices ko bearish jane ki bajaye bullish push karti hai.
Trading
Piercing line candlestick patteren main pehli candle strong bearish trend ki alamat hoti hai, lekin baad wali dosri bullish candle market main bears ki kamzori zahir karti hai, jo k market main dilchaspi lena kam karte hen. Pattern ki two days candles ka hone ki waja se confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bullish honi chaheye aur dosri bullish candle k top par close honi chaheye. Pattern k baad bearish candle banne se pattern invalid tasawar hoga, jab k trend ki confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, aggar CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main trade kar raha ho. Stop Loss pattern k sab se bottom ya dosri bullish candle k low price se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим