Candlestick Wick
Japanese Candlesticks financial market analysis me sab se ziada istemal hoti hai, q k candlestick traders ya analysts ko high, low aur open, close k sath sath qeematon k bullish ya bearish movement ki bhi information deti hai. Candlestick ki gennral baat karen to ye do hisson par mushtamil hoti hai, aik real body aur dosra wick (shadow).
Wick candlestick k upper ya lower side pe aik dhaga numa line hoti hai, jo aik muntakhib karda timeframe k mutabiq candles ki sab se ziada ya sab se kam area tak jane k bare me batati hai. Ya area candle k open close position nahi hote.
Candle Upper Wick
Kisi candle ki upper wick wo hoti hai, jo timeframe k mutabiq qeematen upper high area tak ja chuki hoti hai, lekin selling pressure ki waja se wo is level ko barqarar nahi rakh pati aur candle ki closing point wick k high se lower hota hai.
Candle Lower Wick
Candle ki lower wick wo hoti hai, jis me qeematen aik timeframe me lower side pe teez chali jati hai, lekin buyers pressure ki waja se wapis above close ho jati hai.
Zero Real Body Wick Candle
Jin candles ki body bulkul nahi hoti, yani open aur close same point pe hota hai, lekin upper ya lower side pe wick banti hai, to ye candles doji candles kehlati hai. Doji candles ki market me bohut ziada importance hai, khas kar jab ye low price ya high price area me banti hai. Doji candles ki mukhtalif aqsaam hen aur har aik candle ki apni apni hososeyat hen.
Wick ka Trading me Istemal
Wick pe trading karne se pehle is ki position ka baghawar mutalea karna hoga. Q k agar wick candle qeematon k darmeyan me banti hai, to is ki importance ziada nahi hai, aur ye neutral candle tasawar ki jatai hai. Agar upper high wick candle bullish trend me banyi hai, to ye sell ka signla deti hai. Lekin agar lower wick candle low price area me banti hai, to ye buy signal genrate karti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим