Bullish Harami Cross
Introduction
Bullish Harami Cross pattern do camdles par mushtamil aik trend reversal pattern hai, jis me shamil 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jo k qeematon k downward trend ko show kar rahi hoti hai. Pattern me 2nd candle aik doji candle banti hai, jis k high aur low (complete shadow) 1st black candle k real body k andar hoti hai. Ye pattern qeematon k bearish trend ya low price area me trend ko bullish me badal deta hai. Bullish harami cross pattern prices k bottom par ya bearish trend main banta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad aik doji candle hoti hai, jo k pehli candle k andar banti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k andar high aur low price dono hoti hai.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Bullish Harami Cross pattern aik trend reversal pattern hai, is waja se qeematon ka pehle se low price area ya bearish trend me hona chaheye.
- Pattern ki pehli candle aik bari real body wali black candle honi chaheye.
- Pattern ki dosri candle aik doji candle honi chaheye (candle k open aur close position lazmi same hone chaheye)
- Pattern ki 2nd doji candle k high aur low point (mukamal shadow) black candle k real body se baher nahi hona chaheye.
Pattern ki Tafseel
Bullish Harami Cross pattern ziada tar low pri e area ya bearish trend k baad banta hai, is waja se ye aik trend reversal pattern hai, jis me do candles shamil hoti hai. 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jo k low qeematon ki tarjumani karti hai. Pattern ki 2nd candle aik doji (candle ki open aur close lazmi same hona chaheye, ziada tar ye star doji candle hoti hai) candle hoti hai. Pori Doji candle ki shadow samet black candle k real body me ban jati hai. Ye pattern prices k bottom par ya bearish trend main banne ki waja se prices ko mazeed bottom jane se rokti hai. Ye pattern same to same dekhne main aik "homing pigeon candlestick pattern ki tarah hota hai, lekin dosri candle k doji candle banne se uss se mukhtalif hoti hai. Bullish harami cross pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same point ya price par hota hai.
Pattern pe Trading
Bullish Harami Cross pattern bullish trend k leye buy k signal genrate karta hai, q k ye pattern low price area me banne ki waja se qeematon ko bearish trend se bullish trend me reversal kar deta hai. Pattern ki confirmation k leye 3rd white ya bullish candle ka intezar karna chaheye, nis k baad market me buy ki entry ki ja sakti hai. Stop loss bearish black candle k lower side pe set hoga. Pattern k bottom par buyers ziada active ho jate hen. Trend reversal pattern par trading trend continuation patterns ki nisbat ziada riski hoti hai, iss waja se pattern par trading se pehle market main aik bullish ya white candle ka hona zarori hai. Jiss ki real body honi chaheye, jiss main open aur close same point par na ho.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим