bearish breakaway candlestick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    bearish breakaway candlestick pattern
    Introduction
    Assalamu Alaikum dear kya हाल-चाल hai main ummid karta hun aap sab log khairiyat se Honge aur Market Mein Lena se kam kar rahe Honge aur bonus bhi bahut Achcha Hasil kar rahe Honge dear aaj main aapko mere ko ke bare mein batana chahta hun aur dear bahut hi important topic Hai Is per apni knowledge ko aapke sath share bhi karna chahta hun ummid hai aapko Pasand aaega aur aap isko apni trade Mein use Karke Achcha profit bhi Hasil Karenge iske liye aapko Judi Yahi aap apne knowledge aur experience ko Hamesha improve Karte Rahe aaj ka jo topic hai isko Ham बीरous break abhi Kahate Hain isko Ham apni trade Mein kaise use karte hain aur Kis Tarah ise Apne Ko profit table banaa sakte hain to Chalte Hain Apne topic per discuss karte hain Apne knowledge ko share karta hun ummid hai ki aap bhi apni knowledge ke improve Karenge

    Click image for larger version

Name:	download (8).png
Views:	12
Size:	3.0 کلوبائٹ
ID:	12547295

    bearish breakaway candlestick pattern


    Dear Veeresh brake brake and the stick pattern basically Ek Aisa candle pattern hai jo aapko market Mein bear confirmation deta hai aur ISI confirmation per aap market Mein entry Lekar maximum profit Hasil kar sakte hain Jab aap scandal pattern coasty Karte Hain To ismein aap iski complete identification aur interpretation ka idea Hona chahie Jab aap pattern ko focus karte hain to ismein aapko focus karna chahie

    Click image for larger version

Name:	download (4).jpeg
Views:	1
Size:	6.3 کلوبائٹ
ID:	12547296

    Candle formation


    Dear Veeresh break candle stick pattern basically 5 different candlest Mal Hota Hai Jab aap Iske andar stick pattern ko study karte hain to ismein aapko sabse pahle marke Mein police trend mil raha hota hai aur Market mein aapko regularly basis per completely Bully candle Mein Rahi Hoti Hai Jab aap market Mein regular police ke andar ko find out karte hain aur Iske bad aapko suddenly Ek Aisi candidate milati hai jo market Mein completely cover kar Leti Hai

    Click image for larger version

Name:	images (1).png
Views:	1
Size:	3.6 کلوبائٹ
ID:	12547297

    Detail of break away candlest pattern


    Break away candlestick pattern price ke top Mein banta hai jo ki later top Aur conceling Baby Shadow pattern se Milta julta Hai Lekin candle ki formation Mein Thoda Sa difference hota hai is pattern Mein 5 candles hoti hai jismein Pahli candle long real body wali police candle Hoti Hai pattern ke bad Mein banne wale the Sambhal real party mein hoti hai jo ki police aur Viresh donon Tarah Se Hoti Hai yah candle pahle candle party ki vajah se price hoti hai Pahli aur dusri candle Ke Darmiyan banne wali cab Mein close hoti hai
    Click image for larger version

Name:	images (3).jpeg
Views:	3
Size:	6.8 کلوبائٹ
ID:	12547298

    Trading

    Stick pattern ki Aakash Mein wire market mein bahut jyada strong hote hain Kyunki pahle Ek long real body wali police scandal Hoti Hai pattern ke Labh the generals small hone ki vajah se price Kozhi police Jaane Mein rukavat ka Samna karna hota hai jabki last candle ka sab Badalti Hai pattern ki aakhri candle ke bad Ek Friend confirmation ki jarurat hoti hai jo ki real party mein hone chahie train confirmation CCI indicator Se Ki Ja sakti hai Upar bahut Dur Mein indication Hona chahie jabki train ke mutabik naam banne per pattern Jaya Ho Jaega pattern ka top ka sabse upar point mein vah sabse niche point party Jaati Hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: bearish breakaway candlestick pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Breakaway Candlestick Pattern


    Financial market main candlestick patterns ya chart patterns ko supply aur demand ke darmiyan tawazun ko zahir karti hai. Jab koi stock oopar jata hai to buyers matket par control mein hotay hain. Market ki iss situation main supply se ziyada demand hoti hai. Buyers stock haasil karne ke liye ziada active hote hen, jiss se wo ask price par buy karte hen. Jab koi stock fall kar raha hota hai to uss waqat market ki condition iss se mukhtalif hoti hai. Sellers market ko mojooda qeemat par sell karke uss ki qadar main kami karte hen, jiss wo nechay jata hai. Bearish Breakaway candlestick pattern prices k top par jahan par stock ki supply ziada aur demand kam hoti hai, banta hai, jo k aik bearish trend reversal ka kaam karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (509).png
Views:	18
Size:	4.6 کلوبائٹ
ID:	12412662

    Candles Formation


    Bearish Breakaway candlestick pattern prices k top main panch candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil pehli aur akhari candles long real body main hoti hai, jab k darmeyan main teen small real body ki candles hoti hai, jo k prices k main pause peda karti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai ;

    Click image for larger version

Name:	breakaway-bear-1024.jpg
Views:	3
Size:	64.2 کلوبائٹ
ID:	12412665

    1. First Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki pehli candle aik strong real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka close open se upper hota hai. Ye candle long real body majn hoti hai, jiss main pattern ki real body shadow k muqabele main ziada hoti hai. Ye candle prices k mojoda bullish trend ki akasi hoti hai.

    2. Second Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali hoti hai, jo k pehli candle se above gap main banti hai. Ye candle wese to ziada tar bullish hi hoti hai, lekin zarori nahi hai, k aisa hi ho. Pattern ki dosri candle umoman pehli candle k top par banti hai.

    3. Third Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki teesri candle bhi dosri candle ki tarah small real body main hoti hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, lekin aksar ye dosri candle k inverse main banti hai. Ye candle dosri candle k top ya parallel main banti hai.

    4. Fourth Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki fourth candle aik ziada tar dosri candle ki tarah hoti hai, jo k same small real body wali candle hoti hai. Ye candle teesri candle k top par banti hai, lekin aksar ye bullish candle hoti hai, jo k zarori nahi hai, q k ye bearish bhi ho sakti hai.

    5. Fifth Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki akhari candle aik bearish candle hoti hai, jo k strong real body main banti hai. Ye candle prices main sellers ki mazboti ki akasi karti hai. Ye candle fourth k baad banti hai, jo k teeno small real body wali candles ko cover karne k baad pehli aur dosri candle k darmeyan wae gap main close hoti hai. Bearish candle ki strong real body se bullish ka trend khatam ho jata hai, aur market sellers k control main a jata hai.

    Explanation

    Bearish Breakaway candlestick pattern prices k bottom ya bullish trend main banta hai. Ye candle akhaz main market par buyers ka control, darmeyan main prices ka pause aur akher main market par sellers k dabao ko dekhaya jata hai. Ye pattern panch candlestick par muheet aik bearish trend reversal pattern hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo market par buyers ka control zahir kia jata hai. Pattern ki agli teen candles small real body main hoti hai, jab k ye bearish aur bullish dono ho sakti hai. Teeno small candles pehli candle k top par gap main banti hai. Pattern ki akhari candle aik bearish candle hoti hai, jo k strong real body main hoti hai. Ye candle teeno small candles ko cover karti hai, jo k open fourth small real body k upper par ho kar aur close pehli aur dosri candle k darmeyan gap main hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (508).png
Views:	26
Size:	9.2 کلوبائٹ
ID:	12412663

    Trading

    Bearish Breakaway candlestick pattern majn strong bullish trend k baad prices sellers k control main a jati hai, jo traders ko sell ka signal deti hai. Ye pattern high prices area main hona chaheye, jab k last bearish candle k baad aik confirmation candle ka hona zarori hai. Confirmation candle real body main bearish honi chaheye. Pattern k baad bullish candle banne par pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation CCI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jo k overbought area main hone chaheye. Pattern k leye stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se upper par ya small candles k top se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (229).jpeg
Views:	12
Size:	32.3 کلوبائٹ
ID:	12412664

    اب آن لائن

    Working...
    X