Assalamu Alaikum Dosto!
Falling Window Candlestick Pattern
Falling window patteren aik bearish trend continuation pattern hai, lekin baaz dafa ye double market sentiment analysis k leye bhi jani jati hai, pehli aik bearish impulsive lehar hai, aur doosri bearish price ki trend continuation hai. Yeh pattern aam tawar par supply and demand mein bearish trend ka tasalsul pattern hai. Falling window patteren main do bearish candlestick is baat ki numaindagi karte hen k sellers walay market k ooper mukammal control mein hen, jiss se price ki qader mein musalsal kami waqea hoti rehti hai. Prices ka wese bhi bhi basic trend bearish ka hota hai, jo lower low levels ko tashkeel deta hai. Falling window patteren k leye prices ka bearish trend ka hona aham hai, q k ye prices ko mazeed nechay ki taraf push karta hen.
Candles Formation
Falling window pattern k leye prices ko downward semat ka hona zarori hai. Ye pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main dono candles bearish hoti hai, jo k bearish trend ya low prices ki alamat hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Falling window pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k normal real body main banti hai. Ye candle prices ka bearish trend ko zahir karti hai. Ye candle shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin lazmi bearish candle honi chaheye.
2. Second Candle: Falling window pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se nechay gap main banti hai. Candle ka close open price se lazmi nechay hona chaheye, jab k iss ka gap bhi pehli candle se wazih aur clear hona chaheye. Yani dono candles k wicks ya shadows candles k darmeyan main banne wale gap main ana chaheye.
Explanation
Falling window pattern prices main sellers ki market main strong hold ki sorat main banta hai, jiss main prices bearish trend k tasalsul ko barqarar rakhti hai. Pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil dono candles bearish hoti hai. Bearish candles k darmeyan downnside par aik wazih gap hota hai, jo k aik qisam ka bearish candles ka kicking pattern dekhaye deta hai. Pattern ki dono bearish candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k darmeyan banne waley gap ko koi candle (bashamole shadow) cover na kare. Bearish candles aksar market k darmeyan banne wale waqfay main banta hai, jiss me fundamental asarat ki waja se prices mazeed lower jane ki koshash main hoti hai.
Trading
Falling window pattern prices ko mazeed nechay push karne k leye jana jata hai, q k ye aik bearish trend continuation pattern hai, jo trend reversal pattern se ziada reliable aur accurate signals deta hai. Pattern ki dosri bearish candle ziada strong aur gap main banti hai, jiss se market main trend continuation ziada strong hoti hai. Pattern par trade entry karne se pehle aik bearish confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main honi chaheye. Jab k pattern k baad bullish candle banne par pattern ka tasur khatam hoga. CCI indicator aur stochastic oscillator par reading 50% se below honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se upper position ya pehli candle k top se two pips above set karen.