Rising three method candle stick pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Rising three method candle stick pattern
    what is rising three method candle stick pattern




    rising three method candle stick pattern aik trend consolidation pattern hota hey jo keh forex market mein price kay chart par 5 candle stick par moshtamell hota hey yeh forex mein trend saz market kay hallat kay doran banta hey or yeh indicator eshara karta hey keh trend jare rahay ga
    candle stick pattern aik zaroore technical analysis ka instrument ban geya hey jo keh forex market mein trend ke direction ke paishan goi karta hey candle stick kay rising three method mein aik trading system mein madad karta hey jaisa keh ya to kese trading system ko stop karna ya es system ko jare rakhna shamel hota hey yeh ap ko zyada say zyada profit or loss ko kam karnay mein madad dayta hey
    Click image for larger version

Name:	nnn.png
Views:	1
Size:	23.9 کلوبائٹ
ID:	12545606



    identification of rising three method candle stick pattern




    pehle candle stick aik bare bullish candle stick hote hey jes ke body to wick 60% ratio zyada hota hey or es bat ko indicate karta hey keh buyer control mein hein
    bullish candle stick ko bananay kay bad teen chte bearish candle stick hone chihay bullish candle stick kay lower hesay kay opar bante hey es bat ko yad rakhen chothe candle stick pehle bullish candle stick kay nechay close nahe hone chihay
    three bearish candle stick ko aik small wick or baray shadow kay nechay close nahe hona chihay
    three bearish candle stick ko aik chote body or baray wick kay sath lower low or lower high bananay chihay
    60% say zyada body to wick ratio ke bare bullish candle stick kay bad teen bearish candle stick kay bad banane chihay essay pechalay 4 candle stick ke peaks ko break karna chihay
    Click image for larger version

Name:	mmm.png
Views:	1
Size:	39.9 کلوبائٹ
ID:	12545607


    rising three method candle stick pattern trader ko jo batata hey




    es candle stick ke tashkeel kay pechay sahi mantaq hota hey kese bhe technical indicator ko estamal karnay kay doran ap ko har tool ko manay kay tor par estamal karna chihay ap kp apnay ap ko jawab dayna chihay keh ap yeh trading tool kun estamal kar rahay hein




    trade with rising three method candle stick pattern





    es candle stick pattern ko estamal kartay hovay trade kartay hovay ap ko trade ke entry , close stop loss or take profit level or risk o reward ko achay say wazahat karte hon
    Click image for larger version

Name:	bb.png
Views:	1
Size:	38.3 کلوبائٹ
ID:	12545605




    best working condition


    rising three method candle stick pattern trend ke average kay ley kam karen gay
    candle stick kay pattern say parhaiz karen jo keh forex mein reversal point par bantay hein jaisay resistance zone
    overbought condition kay doran es candle stick pattern par trade na karen




    trading strategy




    rising three candle stick pattern ke confirmation kay bad buy ke trade karen or pehle bullish candle stick ke low say nechay stop loss ko adjust karen Fibonacci tool ka estamal kartay hovay take profit level ko adjust kea jana chihay 1.618 or 2. 618 ke level ko profit ke level kay tor par estamal kea jana chihay
    Click image for larger version

Name:	cccc.png
Views:	1
Size:	41.6 کلوبائٹ
ID:	12545604
    دیتے جائیںThanksحوصلہ افزائی کے لیے
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Rising three method candle stick pattern

    dear member umeed karta hon ap sub log bilkul thk hongey aur khairiyat se hongey aur fit hokar apni trading kar rhe hongey.dear brother trading mein kamyabi hasil karne ke lyie apke pass trading ke tamam features ka tamam knowledge hona chahie takah ap market ko achey se analyse karke market ka exact trend maloom kr saken aur apni trade se acha profit hasil kar saken.
    RISING THREE METHOD CANDLESTICK PATTERN
    dear member yeh aik technical indcator pattern hai aur naam se represent ho rha hai keh yeh pattern three rising candles per mushtamil hota hai yeh rising candles BULLISH CANDLES kehlati hain.yeh pattern bullish trend mein continue rehta hai yeh pattern jub fifth bullish candle tak jata hai tu es baat ki indication deta hai keh trader market ko reverse trend mein nhi la sakey aur market top trend ki taraf continue rhe gi es tarah market mein hamein aik strong bullish pattern mil jata hai aur hum apni trade es pattern mein buy mein lga kar apni trade se acha profit hasil kar saktey hain.aur es tarah forex mein kamyab businessman ban saktey hain.
    TRADING AND IDENTIFICATION
    dear member market mein yeh trend hamein tub nazar ata hai jub market ke andar prices volume increase ho rhe hon ya phir sudden buyer rate volume peak per ja rha ho tub hamein bottom level se sudden recistance show hoti hai aur hamari market reverse pattern mein with strong bullish candles top trend ki taraf move karna start kar deti hai jub hamari market fith bullish candles tak ja pahonchti hai tu yeh es baat ko indicate karti hai keh ab market bullish pattern mein three rising candle ki surat mein jari rhe ga.dear member agar market esi tarah same pattern se down trend mein chali jaati hai tu yeh pattern rising pattern ke opposite FALLING PATTERN kehlata hai.
    yeh pattern start mein aik big bullish candle with real body candle appear hoti hai aur phir three small bullish candles appear hoti hai aur esi tarah phir aik big bullish candle with real body ati hai aur uske baad phir three bullish candles banti hain aur har fifth candles aik strong bullish candle with real body pattern mein nazar ati hai es tarah yeh pattern continue rehta hai aur market mein esko identify kar ke hamein apni trade ko up trend buy mein open kar deni chahie aur kuch pips per stop loss bhe lga dena chahie jub recistance weak hone per market falling three candle pattern mein move karey tu hamein zyada nuksan na ho aur hum safe trading kar saken.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Rising Three Candlestick Pattern
      Rising three candlestick methods pattern price chart par up-trend k dowran banne wala aik bullish trend continuation pattern hai, jo k panch ya panch se ziada candles par mushtamil hota hai. Pattern main shamil pehli aur akhari candle bullish hoti hai, jab k darmeyan wali teeno candles bearish candles banti hai, jo k small real body main hoti hai. Pattern ki teeno small bearish candles prices k bullish trend k dowran bearish trend reversal ki koshash karte hen, lekin high demand ya strong buyers pressure ki waja se aisa mumkin nahi ho pata hai. Ye pattern dosre trend reversal pattern ki nisbat iss waja se aik strong signal deta hai, q k continuation pattern ki success ki ratio trend reversal ki nisbat kafi high hoti hai, aur ye pattern same sabeqa trend ko follow karte howe prices ko ussi semat main push karti hai.
      Candles Formation
      Rising three methods trend bullish continuation pattern ki waja se prices k uptrend ya newly bullish breakout trend main banta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hote hen; 1. First Candle: Rising three methods ki pehli candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle aik long real body main banti hai, jiss k upper aur lower side k wicks ya shadow real body se kam hona chaheye. Ye candle bullish trend ki alamat hoti hai, jo k white ya green color main banti hai. 2. Second Candle: Rising three methods ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jiss ki real body bohut small hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main top par banti hai, yanni candle ka open aur close pehli candle k andar hota hai. 3. Third Candle: Rising three methods ki teesri candle bhi aik real body wali bearish candle hoti hai, aur same dosri candle ki tarah small bhi hoti hai, jiss ka open aur close pehli candle k andar hota hai. Ye candle dosri candle k nechay aur pehli candle k real body main banti hai. 4. Fourth Candle: Rising three methods ki forth candle bhi dosri aur teesri candle ki tarah bearish bhi hoti hai aur small real body main hoti hai. Ye candle teesri candle k baad lower par banti hai lekin ye candle bhi same dosri aur teesri bearish candles ki tarah pehli candle k andar hota hai. 5. Fifth Candle: Rising three methods ki last candle bullish hoti hai, jo k pehli candle ki taqreeban parallel main banti hai, lekin open forth candle k baad hoti hai, jab upper side par ja kar close hoti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jo k bullish trend continuation ka kaam karti hai.
      Explanation
      Rising three candlestick methods pattern panch ya uss se bhi ziada candlestick ka aik aisa pattern hai, jo uptrend k dowran banne par trend reversal ki bajaye prices ko same bullish side par tasalsul main jari rakhti hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jab k baad main teen small bearish candles hoti hai. Bearish candles aik to size main bohut kam hoti hai, aur dosra ye candles pehli bullish candle k low price se nechay close bhi nahi hoti hai aur na hi iss ka low price nechay jata hai. Small bearish candles ziada tar small size k Spinning top candles hoti hai, jo aik dosre k lower low par close hoti hai. Pattern ki akhari candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo small bearish candle k baad open ho kar teeno candles k top par close hoti hai.
      Trading
      Rising three candlestick methods pattern ki teeno small bearish candles prices main aarzi waqfa peda karti hai, jab k akhari bullish candle bearish trend reversal k asarat ko mukamal khatam karti hai. Ye pattern price chart par bullish trend main banne par same buy ki signal genrate karta hai, jiss par aik confirmation candle k baad entry ki ja sakti hai. Confirmation candle same sabeqa bullish trend ki candle honi chaheye, jo last bullish candle k top par close honi chaheye, jab k bearish candle pattern k asarat ko khatam karti hai. Pattern ki confirmation indicator par value darmeyan se above trade hona chaheye, aur Stop Loss pattern k sab se lower price, yanni pehli candle k open price se two pips below set karna chaheye.

      اب آن لائن

      avatar Ayn
      Working...
      X