Asslam O Alaikum!
Dear members, Aaj hum jis topic ko discuss karain gy wo hai Advance Block Candlestick. Hum is k bary mai information share krty hain.
Introduction.
Advance block candlestick pattern prices k top par ya bullish trend main uss waqat banta jab buyers ki market main ahesta ahesta dilchaspi khatam hoti rehti hai . Ye pattern teen bullish candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai , jiss ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai . Ye candle aik strong real body wali hoti hai , jiss ka upper aur lower side par shadows ya wick bohut small hote hen . Pattern ki dosri candle bhi bullish candle hoti hai , jiss ki real body small hoti hai , jab k shadow lamba hota hai . Pattern ki last candle aik shooting star candle hoti hai . Advance block candlestick pattern prices k bottom main banne wale Descend block pattern ka opposite hota hai .
Formation.
Advance block candlestick pattern teen bullish candles par mushtamil hota hai , jiss ki formation bhi three white soldier candlestick pattern se melti julti hai , lekin iss main shamil candles main shadow thora sa ziada hota hai . Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai ;
1. First Candle : Advance block candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai . Ye candle ziada tar bagher wick ya shadow k hoti hai , jo k white ya green color main hoti hai . Pattern prices k pehle se a rahe uptrend trend ki taraf ishara karta hai .
2. Second Candle : Advance block candlestick pattern ki dosri candle bhi bullish candle hoti hai , lekin ye candle small real body main hoti hai , jiss k sath lamba shadow hota hai . Ye candle prices ko pehli candle ki tarah teezi se bullish push nahi karti hai .
3. Third Candle : Advance block candlestick pattern ki teesri candle aik shooting star candle hoti hai . Ye bhi pehli do candles ki tarah bullish candle hoti hai , lekin ye candle unn ki nisbat bohut small real body main hoti hai . Candle ka shadow upper side par ziada hota hai , lekin small lower side par bhi mumkin hai .
Trading.
Advance block candlestick pattern sellers ko market main entry ka moqa deta hai , jiss main wo market main bearish candle k baad entry karte hen . Bearish candle trwnd confirmation k leye zarori hai , jo k real body main honi chaheye . Pattern ki teesri candle prices ko mazeed bullish jane se reject karti hai , jo k aik small bullish body create karti hai . Ye candle bullish candle hone k bawajood bhi bearish trend reversal ka kaam karti hai . Trade entry CCI indicator aur Stochastic oscillator se bhi confirm ki ja sakti hai . Jab k Stop Loss pattern k sab se top position ya shooting star candle k high price se two pips above par set kia ja sakta hai .

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим