Downside tasuki gap bearish????
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Downside tasuki gap bearish????
    assalium o alekum

    good morning
    friend umed karti hun ap sub kharyt sy hun gy or mahnat s apna work complete kr k acha profit hasil kr rhy hn gy chlty h aj k topic ki trf



    neechay ki taraf tasuki gap - bearish


    downside tasuki gap aik teen mom batii ka patteren hai jo down trained mein paaya jata hai jo aam tor par neechay ke rujhan ke tasalsul ki taraf ishara karta hai. pehli mom batii lambi aur surkh hoti hai, is ke baad aik choti surkh mom batii is ki ibtidayi qeemat ke sath hoti hai jo pichli mom batii ke jism se neechay hoti hai. teesri mom batii sabz hai aur yeh pehli do mom btyon ke zareya banaye gaye khalaa ke andar band hojati hai, usay mukammal tor par band karne se qassar hai. is farq ko band karne mein bail ki na-ahli ishara karti hai ke neechay ka rujhan jari reh sakta hai .

    davn side tasuki gape patteren ka blush version espaided tauski gape candle stuck patteren hai .
    Click image for larger version

Name:	gDxxhQi9NW-0lBj8Z_UxdAuimtLrYbjDTQ.png
Views:	4
Size:	86.9 کلوبائٹ
ID:	12545336

    inputs;

    riwayati tor par, is candle stuck patteren ko aik makhsoos rujhan ki simt ke sath mil kar pehchana jata hai, yani yeh patteren ke liye ahem ho sakta hai agar qeemat aam tor par oopar ya neechay ja rahi ho.' detect trend based on' option aap ko yeh bitanay ki ijazat deta hai ke rujhan ka pata laganay ke liye darj zail tareeqon mein se kon sa istemaal karna hai :

    ✔️sma50 - isharay alamat ki mojooda qeemat ka is ke saada moving average ( sma ) se 50 ki lambai ke sath mawazna karta hai. agar mojooda qeemat sma se kam hai, to qeemat ki is harkat ko neechay ka rujhan samjha jata hai. agar qeemat sma se oopar hai, to yeh oopar ka rujhan hai .

    ✔️sma50, sma200 - isharay allag allag mojooda qeemat ka sma50 aur sma50 ka sma200 se mawazna karta hai. agar mojooda qeemat sma50 se oopar hai aur sma50 sma200 se oopar hai, to usay oopar ka rujhan samjha jata hai. agar qeemat sma50 se kam hai aur sma50 sma200 se neechay hai, to yeh kami ka rujhan hai .


    ✔️koi pata nahi - isharay qeemat ke rujhan ko mad e nazar nahi rakhta hai .


    ✔️do mukhtalif smas ka mawazna kar ke,' sma50, sma200' option sirf mazboot rujhanaat ka pata lagaata hai. jab rujhan kamzor ho aur oopar di gayi shart poori nah ho to koi namona nahi miley ga. is ke bar aks,' sma50' option kamzor rujhanaat ka bhi pata lagaye ga .
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Downside tasuki gap bearish????

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Downside Tasuki Gap Pattern


    Downside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil aik mazbot trend continuation pattern hai, jo k prices k low level ya bearish trend main banta hai. Pattern k pehle do candles jo k bearish candles hotti hai, jin k darmeyan main downside par gap banta hai, jiss se pattern ki mazboti main mazzeed izzafa ho jata hai. Dosri bearish candle k baad aik bullish candle banti hai, jo ziadda tar small real body main hotti hai. Bullish candle dosree bearish candle k real body main open hoti hai aur pehli aur dosri candle k gap main close hoti hai. Ye pattern market k bearish pattern k mazboti ko brahati hai aur prices aur bhi lower level par jane ki koshash karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (294).png
Views:	11
Size:	6.3 کلوبائٹ
ID:	12409208

    Candles Formation


    Downside Tasuki gap candlestick pattern teen candles ka aik bearish continuation pattern hai, jis main pehle do candles black ya red color k yanni bearish candles hoti hai, jab k last ya teesri candle white ya green color ki yanni bullish candle hoti hai. Candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (2) (140).jpeg
Views:	15
Size:	14.4 کلوبائٹ
ID:	12409209

    1. First Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle bearish candle hotti hai, jo k black ya red color main banti hai, ye candle normal bearish size ki candle hoti hai, jo k bearish trend ko show kar rahi hoti hai.

    2. Second Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se gap main downside par banta hai. Dono candles k darmeyan ye gap wazih honna chaheye, yanni dono candles ki wick bhi gap ko cover nahi karna chaheye.

    3. Third Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik white ya green color main yanni bullish candle hoti hai, jo k small size main banti hai. Teesri bullish candle dosri candle k real body main open aur gap main close hoti hai. Ye white candle bullish trend reversal pattern ki nakam koshash karti hai.

    Explaination


    Continuation patterns trend reversal pattern ki nisbat ziada payedar hen, jiss k kamyabi ka tanasub bhi ziada hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil pattern hai jo k bearish trend continuation ka kaam karta hai. Ye pattern bearish trend ya haleya bullish ya sideways trend se bearish breakout k baad banta hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli aur dosri candles bearish candles hoti hai, jin k darmeyan downside par aik wazih gap banta hai. Pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jiss ka open bearish candle ki real body main hoti hai, jab k close pehli aur dosri candle k gap main hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (292).png
Views:	13
Size:	9.2 کلوبائٹ
ID:	12409210

    Trading


    Downside Tasuki gap candlestick pattern aapko market main sell ka signal faraham karta hai, ye pattern dosre trend reversal pattern se ziadda reliable hota hai, jab k candles k darmeyan banne wala gap bearish trend continuation pattern ka signal hotta hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle ki closing point gap k darmeyan ya gap se pehle hona chaheye. Pattern ki bullish candle k baad confirmation k leye aik bearish candle ka hona zarori hai, ya kisi reliable indicator se bhi trend confirmation ki ja sakti hai. Confirmation bearish candle par market main sell ki entry ki ja sakti hai, jab k Stop Loss pattern k sab se top side ya pehli candle k open position par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (142).jpeg
Views:	1
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12409213
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Downside tasuki gap bearish????

      Downside Tasuki Gap Candlestick Pattern


      Introduction


      DoDownside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil hota hai, jo k bearish trend continuation k leye jana jata hai. Ye pattern qeematon k darmeyan me ya low price area me banta hai. Ye pattern dekhne me same " Bearish side by side black lines" jaisa hi hai, lekin faraq dono pattern ki last candle ka hota hai. Downside Tasuki gap me last candle opposite pattern ki yani bullish hoti hai, jab k "Bearish side by side black lines" me 3rd candle same bearish trend ki hi hoti hai. Candlestick ka currency pairs k technical analysis k leye bohut aham hen, jiss se traders na sirf in ka istemal dosre indicators k sath mela kar karte hen, bulkeh ye akele bhi aksar aik leading indicators ka kaam karte hen. Tasuki gap down pattern k pattern main pehli aur dosri candles bearish jab k last wali candle aik bullish candle hoti hai, jo k trend reversal karne ki nakam koshash karti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (3) (295).png
Views:	6
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12409216

      Pattern ki Pehchan

      1. Downside Tasuki gap pattern qeematon k darmeyan me ya low prices area me bearish trend continuation ka kaam karta hai.
      2. Pattern ki 1st candle sabeqa trend k mutabiq black ya bearish candle hoti hai.
      3. Pattern me shamil 2nd candle bhi same bearish hoti hai, lekin open aur close 1st candle se downside pe gap me hoti hai.
      4. Pattern ki 3rd candle hoti to bullish hai, lekin ye taqreeban same 2nd candle k parallel me banti hai.
      5. Pattern ki 2nd aur 3rd candle 1st candle se nechay gap me open aur close hoti hen.
      6. Pattern ki 3rd white candle ko gap se upper vlose nahi honi chaheye, q k ye strong reaction nahi deti hai.


      Click image for larger version

Name:	images (3) (293).png
Views:	6
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12409217

      Pattern ki Tafseel


      Downside Tasuki gap candlestick pattern me teen candles hoti hai, jo k bearish trend k baad banta hai, ya qeematon k darmeyan me bhi ban sakta hai, jo k bearish trend continuation ka kaam karta hai. Pattern me shamil 1st candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k sabeqa trend bearish trend ki nishan-dahi karti hai. Pattern ki 2nd candle bhi same beariah candle hoti hai lekin ye 1st candle se nechay gap me banti hai, jis k baad 3rd candle bhi same gap me 2nd candle k parallel me banti hai. Pattern ki 2nd aur 3rd candles 1st candle se downside pe open aur close hoti hai. Downside Tasuki gap pattern same "Bearish side by side black lines" pattern jaisa hi hai, lekin dono patterns me 3rd candle ki opposite formation ki waja se thori si tabdeeli ho jati hai. Downside Tasuki pattern me 3rd candle aik bullish candle jab k "Bearish side by side black lines" me ye candle same trend k yani bearish candle hoti hai, baqi dono patterns ka kaam same trend continuation k leye hota hai. Tasuki gap down candlestick pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka close price open price se kam hota hai. Pattern ki dosri candle bhi bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se nechay gap main banti hai. Pehli aur dosri candle k darmeyan banne wala gap wazih hona chaheye, yanni dono candles k shadows bhi gap main nahi ana chaheye. Pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body main open ho kar pehli aur dosre candle k darmeyan banne wale gap main close hoti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (3) (291).png
Views:	10
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12409218

      Trading on Pattern


      Downside Tasuki gap candlestick pattern qeematon k darmeyan me banne par bohut zyada muasar hota hai, jab k bearish trend ya low price area me banne par pattern k leye confirmation zarori hai. Agar pattern k baad 4th candle aik real body wali bearish candle banti hai, to ye area market me sell k ka signal de raha hota hai. Downside Tasuki gap pattern me stop loss pattern k sab se up side ye 1st candle k sab se high price area pe set karen. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur agar ye candle teesri candle k bottom par close hoti hai, to ye aur bhi reliable pattern hota hai. Pattern k baad bullish candle banne par trade ki entry nahi karni chaheye. Pattern ki trend confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (141).jpeg
Views:	12
Size:	22.8 کلوبائٹ
ID:	12409215

      اب آن لائن

      Working...
      X