Trading Plan
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading Plan
    What is necessary for trading plan?

    Assalamu Alaikum respected members,
    A trading plan outlines how a trader will find and execute trades, including under what conditions they will buy and sell securities, how large of a position they will take, how they will manage positions while in them, what securities can be traded, and other rules for when to trade and when not to.
    forex market Mein kam karne ke liye hamare pass koi trading plan available Hona chahie Jiske through Ham is market Mein kam Karke successful ho sake Kyunki Jab Ham is market Mein trading plan banate hain to usmein bahut sary important points hoty hain jinko Apne mind Mein rakhkar trading plan set karna hota hai agar Ham is market Mein bagair trading plan ke kam Karte Hain To Humse bahut jyada mistake Hoti Hai Jiski vajah se Hamen Kafi jyada nuksan ho sakta hai Hamen chahie ki Ham is market Mein Apna target set Karen aur uske hisab Se Apna trading plan banaen Kyunki trading plan Mein Hamari trading strategy Shamil Hoti Hai jisse Ham Apna target achieve karte hain aur apne trading plan ke hisab se trade karty huy Apne account ko nuksan Se bachate Hain Jab Ham is market Mein Achcha trading plan banate hain to hamen kamyabi bhi Jaldi milati Hai Agar Ham Apne trading plan per disciplin ke sath kam Karte Hain To Hamen iska Achcha result Mil Jata Hai.es trah hum successful hoty hain.
    Click image for larger version

Name:	trading-plan.png
Views:	1
Size:	182.3 کلوبائٹ
ID:	12545300

    Goals to achieve

    Jab Ham trading plan banate hain ismein bahut sari Baton Ka Khyal Rakhna Hota Hai Magar ismein sabse Jyada important Apna target Hota Hai Jab Ham is market Mein Apne account size ke hisab se target set Karte Hain To is per Ham aasani ke sath acche tarike se kam kar sakte hain Jab Ham Apne account per Jyada risk Nahin lete aur Apna target Itna rakhte Hain Jo Ham aasani ke sath Hasil kar sakte hain To Ham Apne trading plan ko strong banaa sakte hain aur ismein acche tarike se earning kar sakte hain Hamara trading line tabhi Achcha work out karta hai Jab Ham uske liye Apna target set karte hain aur is per Ek proper method ke through kam Karte Hain Jab Ham trading plan ke liye target ko achieve karne ke liye time Lagate Hain To Hamen is market mein discipline ke sath kam karna Hota Hai.
    Click image for larger version

Name:	images (1) (3).png
Views:	1
Size:	16.4 کلوبائٹ
ID:	12545301
    Strategy of Trading:

    Jab Ham is market Mein trading plan banaa Rahy hote hain to ismein Hamari trading strategy ki bahut jyada value Hoti Hai Kyunki is market Mein Jab Hamari trading strategy acchi Hoti Hai To Ham ismein Achcha result hasal kar sakte hain market Mein Koi Bhi trading strategy hundred percent Aisi Nahin Hoti jismein Hamen nuksan Na Ho Hamari Har trading strategy Mein Kuchh trades per loss hota hai isliye Hamen apni trading strateg banate Hue staff loss aur ek profit use karna hota hai agar Ham trading strategy banati Hai To Hamen koi aisa method select karna hota hai Jiske jarie Ham is market Mein trade lagakar apni trades ko profitable banaa sake market Mein trading strategy acchi banane ke liye Hamen pahle practis Karni Hoti Hai Taki Ham is market Mein Apna experience increase kar sake.
    Click image for larger version

Name:	abstract-background-day-trading-strategies-technical-analysis-chart-graph_35887-1109.jpg
Views:	1
Size:	196.1 کلوبائٹ
ID:	12545302
    Lot Size For Account:

    Forex market Mein Jab Ham trading plan banaa Rahe Hote Hain To Hamen ismein Apne account per trade Lagane ke liye lot size decide karna hota hai Kyunki Ham Apne account per Jitna Jyada risk lete hain Itna Jyada fayda aur nuksan Hota Hai Magar Hamen is market Mein secure hokar trading Karni Hoti Hai Jiske Liye Ham is market Mein Khud decide Karte Hain Ki Humne Kitna risk lena hai agar Ham forex market Mein acche tarike se kam karna chahte hain To Hamen is market Mein yah Pata Hona chahie ki Ham is market Mein acche tarike se kam Karte Hain To Hamen ismein Kafi jyada fayda ho sakta hai Hamen Apne account per trading player banate Hue lot size Aisi decide Karni chahie jisse Hamare market opposite bhi Chali Jaaye To Hamara account open Rahe aur Hamen ismein Jyada nuksan Na Ho.
    Thankyou
    Click image for larger version

Name:	images (6)_1.jpeg
Views:	1
Size:	62.7 کلوبائٹ
ID:	12545303
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Trading Plan

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Trading Plan


    Forex trading jaise risky business main kaam karte howe jahan zaati ya inferadi faisele munafa ya nuqsan me tabdeel hote hen, to aik asaan aur behtareen trading plan kamyabbi aur nakammi k darmeyan faraq kar sakta hai. Zindagi k kisi bhi shobey me kaam karne ka jahan bhi koshash ki jatti hai, wahan pe planning ki zarorrat parti hai, lekin bagher kisi planning k forex trading ya kisi dosre financial market main karne ka matlab nakammi hai. Forex trading me kamyabbi k leye take profit, stop loss, entry aur exit point ko pehle se tay karna aur is k baare me janna bohut zarorri hai. Munafa k leye trading ko khatam katna bhi bohut aham hai. Financial markets main taqreeban har ek trader appni kamyabbi k leye kisi na kisi plan ya guidline par munhasir hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (290).png
Views:	1
Size:	8.9 کلوبائٹ
ID:	12409196

    Advantages of Forex Trading Plans


    Forex trading ko shoro karne se planning karnna aisa hai, jaisa k saffar shoro karne se pehle apne pass naqsha rakhna hota hai. Kia aap ye janne bagher safar karengay k aap kahan ja rahen hen? Yahan tak k aggar aap k pass demo account ka tajrubba bhi ho, lekin trading Plan k bagher forex trading main trading karna, aik baar real money pe trading karna aik challenging experience ho saktta hai.
    Basically, trading plan rakhne se traders ko forex trading ko ek karobbar ki tarah samajhne main madad melti hai. Forex trading main dilshasppi rakhne wale ziada tar log pehle hi jante hen, k karobbar ko chalane wale ko aam tawar par aik trading plan ki zarorrat hotee hai, takeh aik mazbot basic ho jis se ziadda kamyabbi hasil ki ja sake.
    Forex trading me traders k leye trading plan ka sab se bara faida ye hai k achahy confidence k sath kam emotional ho kar apna trading maqqsad hasil kia jaye. Risky karobbar jaise forex trading me aik trader ko jazbaati tawar par financial loss hone k baad bhi kafi had tak pur-aitemad hona kamyabbi aur nakammi k darmeyan aik aham ansar ho sakta hai.

    Forex Trading k waqat Jazbati hona bohut Nuqsan deh hai



    Trading plan k rules traders ko trading psychology aur trading k jazzbaat ko kam karrrne me maddad detee hai. Aik kamyyab trader ko market ki semat ya us ki kami ka khouf bulkul nahi hotta hai. Yani aik successful traders ko market k up-down harkat se koi maslla nahi hota hai.
    Aam trader jazzbaat jaise lalach, khouf aur umeed trading k dauraan sangeen pareshanni ka bahes bann sakte hen, lehaza in massayel par qabbo pane k leye ek achcha trading plan aap ko forex trading k bohut se aam nuqsannat par qabbo panne main maddad kar saktta hai.
    Bohut sare traders apnne trading plan par amal karne k leye discipline ki kammi ki waja se apnna pora account zayya ya wash kar jate hen. Trading k dowran discipline khatam hone k baad, trader k jazzbatti tawar par trading karne ka immkaan bohut ziada ho jate hen, aur us k nateejay me mumkinna tawar par bohut zyada loss ho jatte hen.
    Isi waja se trading karrte waqqat kamyyabi k chances ko ziadda karne k leye apnne trades ki proper plan karke trading shoro karne se pehle apne aapko ko tayyar rakhen aur pher jitna mumkin ho sake sakhti aur pur-sakoon tareeqay se appne plan ko trading k leye azmayen.

    Aik Achah trading plan appka darjazzel awamel me madad detta hai;

    • Aap ko ahdaf ko malom karne me maddad deta hai.
    • Aap k market ki analysis aur trading activities me maddad karta hai.
    • Aap ko batati hai k kis waqqat market main entry karni hai aur kis semat me karnni hai.
    • Jab bhi Aap trade shoro karen to ye aap k jazzbaat aur trading risk ko manage karta hai.



    Trading Plan ki Ahmeyyat


    Trading plan trader k leye aik road map ka kaam karta hai, jis se wo apni manzil tak jata hai, traders k trading plan un k trading strategy k mutabiq hote hen. Jab bhi aap kisi dosre trader ki trading plan ko follow katna chahay to ye dekh kar ghabrana nahi chaheye, k trading plan bohut mushkil ya samajh se balatarr hai. Hamesha wo trading plan follow karen jo aap ko easy lagay aur us pe proper discipline se kaam bhi ho.
    Trading plan me mukhtalif qissam k elements ho sakte hen, jis se trading plan ki afadeyyat me izafa hota hai, aur ye trading plan ka aik lazmi juzz bhi hote hen. Trading plan k mutabiq market ki strategies set karen aur market ki conditions ko lazzmi samjhen. Kuch trading plan k zarori elements ye hen;
    • Munafa bakhsh maqased
    • Trading me lot size ko muntakheb karne ka tareeqay kar
    • Trade ko entry karne k leye market me apni position ko mustehkam kaese karna hai.
    • Market analysis karna
    • Risk management se trading karna

    اب آن لائن

    Working...
    X