Tasuki Gap up kia hota hai?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Tasuki Gap up kia hota hai?
    Asslam O Alaikum!
    Dear members, Aaj hum jis topic ko discuss karain gy wo hai tasuki Gap up, is k bary mai information share krty hain r knowledge increase krty hain.

    Introduction.
    Upside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend continuation pattern hai . Ye pattern same " Bullish side by side white lines " pattern jaisa hi hai , lekin difference sirf 3rd candle ki color ka hai . Upside Tasuki gap me 3rd candle bearish hoti hai , jab k " Bullish side by side white lines " me 3rd candle same bullish trend ki hi hoti hai , baqi dono pattern bullish trend continuation ka kaam karti hai . Ye pattern ya to qeematon k darmeyan me aur ya bullish trend me banta hai .
    Click image for larger version

Name:	images (1).png
Views:	30
Size:	14.6 کلوبائٹ
ID:	12545207


    Identification of candlestick.
    1. Upside Tasuki gap candlestick pattern ziada tar bullish trend ya qeematon k darmeyan me banta hai q k ye aik trend continuation pattern hai .
    2. Pattern me shamil 1st candle bullish ya white hpti hai .
    3. Pattern ki 2nd candle bhi bullish candle hoti hai , jo k 1st candle se above gap me open aur close hoti hai .
    4. Pattern me shamil 3rd candle aik bearish candle hoti hai , jo k same 2nd candle k parallel me banti hai .
    5. Pattern ki 2nd aur 3rd candle 1st candle se above gap me open aur close hoti hai .

    Trading of Tasuki.
    Upside Tasuki gap candlestick pattern trend continuation ka kaam karti hai , is waja se agar ye pattern qeematon k darmeyan me banta hai , to ye k muasar hone k asarat ziada hotw hen . Bullish trend me banne k baad pattern ki confirmation hona zarori hai , is waja se 3rd bearish trend k baad 4th candle ka intezar karna chaheye . Agar pattern k baad 4th candle aik bullish candle banti hai to ye market me buy ki entry ki position hogi . Stop loss k leye pattern k sab se lower area yani 1st candle k open position ko select karen .

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Upside Tasuki Gap Candlestick Pattern
    Upside tasuki gap candlestick pattern chart price main teen candles k darmeyan upward side par aik kicking type pattern hai. Pattern ki pehli aur sosri candles bullish hoti hen, jiss k darmeyan upside par aik gap ban jata hai. Pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo dosri candle k baad ban kar gap main close hoti hai. Pattern ki pehli candle k high price (bashamole shadow or wick) aur dosri candle k lower price (bashamole shadow or wick) k darmeyan aik wazih gap ya khali jagah hoti hai. Upside tasuki gap candlestick pattern aik bullish trend continuation pattern hai, jiss main shamil pehli aur dosri candles bullish pattern k aur teesi candle bearish pattern k hote hen. Ye pattern prices main buyers ki mazboti aur upward side par prices ka mazeed move karne ka aik wazih indication hota hai.
    Candles Formation
    Upside tasuki gap candlestick pattern prices main aksar aik waqfay k dawran banta hai, ye pattern waqfay k doaran events ya strong news ka sabab banta hai, jiss ki waja se fundamentals asarat assets ki prices ko teezi k sath upper push karte hen, pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Upside tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices k normal sabeqa trend ki akasi karti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin real body ka wazih hona zarori hai.
    2. Second Candle: Upside tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle k tarah bullish hoti hai. Lekin ye candle pehli candle k high price se above gap main banti hai. Dosri candle ka low price pehli candle k high price se wazih upside gap main hona chaheye. Ye candle bhi aik bullish body main honi chaheye, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.
    3. Third Candle: Upside tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k taqreeban parallal se thora sa below banti hai, lekin close gap main ya gap se above honi chaheye. Ye candle prices ko bearish push karne ki nakam koshash karti hai, lekin buyers ki mazboti prices ko upward move karti hai.
    Explaination
    Price chart pattern par gap pattern hamesha assets ki bohut ziada high volitilety ki waja se bante hen. Ye volitilety aksar awqat aik khas waqfay k dowran prices par fundamental asarat ki waja se hota hai. Upside tasuki gap candlestick pattern main bullish trend k dowran do bullish aur aik bearish candles k darmeyan upward side par aik gap banta hai, jo k prices k bullish trend confirmation ki alamat hoti hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle k high price aur dosri candle k low prices k darmeyan aik wazih aur clear gap hota hai, jab k teesri bearish candle dosri bullish candle k top pe open ho kar gap main ya gap se above close hoti hai. Ye pattern buyers ki market main mazboti aur prices ka mazeed bullish jane ka aik clear message hota hai.
    Trading
    Upside tasuki gap candlestick pattern prices k uptrend main banta hai, aur iss pattern ki mazboti candles ki real body se pata chalta hai. Strong real body wali candles prices ko teezi k sath bullish push karegi, jo k resistance level se upward side par hone chaheye. Pattern par trading se pehle confirmation candle ka hona zarori hai, aur pattern lazmi resistance line k upward hona chaheye. Confirmation candle real body main bullish candle honi chaheye, jab k bearish candle banne ki sorat main trading ka khatra mol nahi lena chaheye. Ye pattern agar resistance level se nechay banta hai, to ye bearish trend reversal bhi ho sakta hai, iss waja se pattern ka resistance point k top par hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se lower position ya pehli candle k bottom price se two pips below set laren.
    • #3 Collapse

      Tasuki Gap Up ek candlestick pattern hai jo ke financial markets mein dekha jata hai, khaaskar stock trading mein, aur jo technical analysts istemal karte hain taake woh future price movements ke baare mein predictions bana sakein. Ye pattern teen consecutive candlesticks se bana hota hai aur ise bullish continuation pattern ke roop mein jaana jaata hai.

      Understanding Candlestick Patterns:
      Tasuki Gap Up pattern ke tafseelat mein dakhil hone se pehle, candlestick charts ke basic samajh ka hona zaroori hai. Candlestick charts ek tarah ka financial chart hai jo kisi maal ki keemat ke movements ko darust karta hai ek khaas muddat mein. Har candlestick aam tor par ek trading din ko deta hai aur chaar mukhya hisson se bana hota hai: opening price, closing price, sab se ooncha price high, aur sab se kam price low us muddat ke dauraan.




      Components of the Tasuki Gap Up Pattern:
      Tasuki Gap Up pattern teen musalsal candlesticks se bana hota hai. Yahan har candlestick ka tajziya diya gaya hai:
      • Pehli Candlestick Bullish: Pattern mein pehli candlestick ek lambi green bullish candlestick hoti hai, jo maal ki keemat mein taizi se izafa ko dikhata hai. Aam tor par yeh candlestick ek mojooda uptrend ke andar hoti hai.
      • Dusri Candlestick Bearish: Dusri candlestick ek bearish candlestick hoti hai, aksar laal ya kaali, jo peechle din ke close se upar khulta hai magar peechle din ke open se neeche band hoti hai. Yeh candlestick peechle din ke close se ek gap up banata hai, isiliye iska naam Gap Up hai.
      • Teesri Candlestick Bullish: Teesri candlestick doosri din ke close se upar khulti hai, ek gap up banate hue. Dusri candlestick ke mukhaalif, teesri candlestick pehli candlestick ke darmiyan band hoti hai.
      Interpretation of the Tasuki Gap Up Pattern:
      Tasuki Gap Up pattern ko ek bullish continuation pattern ke roop mein tabeer diya jata hai ek mojooda uptrend ke andar. Yeh ishaara karta hai ke ek choti si rokawat ke bawajood jo doosri bearish candlestick dwara darust kiya jata hai, bullish momentum jari rehne ka imkaan hai. Teesri candlestick jo pehli candlestick ke darmiyan band hoti hai yeh dikhata hai ke buyers ne dobaara control hasil kiya hai, jisse asset ki keemat mein mazeed izafa hone ka ishaara mil sakta hai.

      Significance of the Tasuki Gap Up Pattern:
      • Bullish Continuation Signal: Tasuki Gap Up pattern ki primary ahmiyat yeh hai ke yeh ek mojooda uptrend ke andar bullish continuation ka ishaara hai. Traders aksar is pattern ko long positions mein dakhil hone ka signal samajhte hain ya mojooda long positions ko barhaane ke liye istemal karte hain.
      • Confirmation of Uptrend: Uptrend ki continuation ko ishaara dene ke ilawa, Tasuki Gap Up pattern mojooda uptrend ki taqat ki tasdeeq ke tor par bhi kaam karta hai. Yeh ke baad bullish momentum dobaara shuru hone se yeh tasdeeq karti hai ke market mein buyers control mein hain.
      • Psychological Aspect: Pattern bhi market ke participants ke psychology ko dikhata hai. Dusri bearish candlestick dwara dikhayi gayi choti rokawat kuch traders ko pareshan ya uptrend ki taqat par shak karne par majboor kar sakta hai. Magar doosri bullish candlestick un traders ko yakeen dilata hai aur bullish momentum mein izafa hone ka confidence mazid barhata hai.
      Trading Strategies Based on the Tasuki Gap Up Pattern:
      Traders Tasuki Gap Up pattern par mukhtalif strategies istemal karte hain. Yahan kuch aam approaches di gayi hain:
      • Long Position Entry: Sab se seedha rasta long position (kharidna) mein dakhil hona hai jab Tasuki Gap Up pattern tasdeeq ho jaaye. Aksar is mein shaamil hai ek dakhil order rakhna doosre din ke open par teesri bullish candlestick ke banaavat ke baad.
      • Stop Loss Placement: Khatra nigrani ke liye, traders aksar ek stop-loss order peechle bearish candlestick ke kam se kam keemat ke neeche lagate hain. Yeh madad karta hai agar keemat ghaflat se ulta chal jaaye aur bullish continuation pattern ki baat na maane jaye.
      • Profit Target: Traders mukhtalif technical indicators ke base par ek faida maqsad set kar sakte hain, jaise peechle swing highs ya Fibonacci retracement levels. Doosri taraf, kuch traders trailing stop strategy istemal karte hain takay woh uptrend par chal sakein jitna mumkin ho aur faiday ko mehfooz rakh sakein.
      • Confirmation from Other Indicators: Jab Tasuki Gap Up pattern ko tasdeeq karna hai, to kuch traders doosre technical indicators ya chart patterns ki madad se iski tasdeeq karte hain. Misal ke taur par, woh Relative Strength Index (RSI) jaise oscillators se ittefaq talab karte hain ya moving averages se tasdeeq karwate hain.
      ​​​​​​​
      Believe in yourself and your abilities. When you fight for your dreams, you can achieve anything.
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Tasuki Gap up kia hota hai? Click image for larger version

Name:	download - 2024-02-23T113132.432.png
Views:	12
Size:	4.6 کلوبائٹ
ID:	12839468




        Tasuki Gap Up:

        Tasuki Gap Up ek candlestick pattern hai jo market analysis mein istemal hota hai. Yeh pattern ek bullish reversal signal provide karta hai aur price chart mein gap up ke sath dikhai dene wala hai.

        Behavior of Tasuki Gap Up:
        1. Gap Up Opening: Pattern ka shuru hota hai ek bullish gap up opening ke saath, jisme naya candle pichle candle ke upper range se shuru hota hai.
        2. Dusra Candle: Dusra candle gap up opening ke baad aata hai, lekin yeh candle thoda chhota hota hai aur pichle candle ke andar fit hota hai.
        3. Tasuki Gap: Teesra candle phir se gap up opening ke saath shuru hota hai, lekin yeh pichle candle ke beech mein fit hota hai aur iski close pichle candle ke andar hoti hai, tasuki gap banate hue.
        4. Volume Analysis: Is pattern ke saath volume ka bhi dhyan diya jata hai. Agar teesre candle ke saath volume increase hota hai, toh yeh bullish reversal signal ko aur bhi strong banata hai.

        Trading Strategies with Tasuki Gap Up:
        1. Confirmation Wait: Traders is pattern ko confirm karne ke liye thoda wait karte hain. Agar teesra candle ke saath price continue karta hai, toh yeh confirmation hoti hai ke bullish reversal ho sakta hai.
        2. Long Entry: Agar confirmation mil jaati hai, toh traders long positions le sakte hain, expecting a bullish trend.
        3. Stop Loss Placement: Stop loss ko thoda sa niche set kiya jata hai, taki market volatility ke bawajood bhi trade safe rahe.
        4. Target Setting: Target ko previous downtrend ke high levels ke hisab se set kiya jata hai.

        Conclusion:

        Tasuki Gap Up pattern ek reversal signal provide karta hai, lekin iske istemal se pehle market conditions ka dhyan rakhna zaroori hai. Traders ko hamesha market analysis aur risk management ka bhi dhyan rakhna chahiye jab woh is pattern ka istemal karte hain.




        اب آن لائن

        Working...
        X