What Do Three White Soldiers
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What Do Three White Soldiers
    Three white soldiers

    three white sipahi aik blush candle stuck patteren hai jo qeematon ke chart mein mojooda kami ke rujhan ke ulat jane ki paish goi karne ke liye istemaal kya jata hai. patteren mein teen lagataar lambay jism wali shammen shaamil hain jo pichli mom batii ke asli jism ke andar khulti hain aur aik band jo pichli mom batii ki oonchai se ziyada hoti hai. un mom btyon ke saaye bohat lambay nahi honay chahiye aur misali tor par patteren mein Sabiqa ​​mom batii ke asli body ke andar khulay honay chahiye. chart par jab aik mom batii chhootey ya baghair saaye ke sath band ho rahi hai, to yeh batata hai ke bail session ke liye qeemat ko range ke oopri hissay par rakhnay mein kamyaab ho gaye hain. bunyadi tor par, bail poooray session mein really ko sambhaal letay hain aur lagataar teen sishnon tak din ki oonchai ke qareeb pahonch jatay hain. is ke ilawa, patteren se pehlay deegar candle stuck patteren ho saktay hain jo ulat jane ki tajweez karte hain, jaisay dogi. etf teen safaid sipahiyon ke patteren mein taizi se taizi ke ulat jane se pehlay kayi hafton ke douran shadeed mandi ke rujhan mein tha. patteren yeh bta sakta hai ke really jari rahay gi, lekin tajir faisla karne se pehlay deegar mutaliqa awamil ko bhi dekh satke hain. misaal ke tor par, ho sakta hai ke stak muzahmat ke ilaqay tak pahonch gaya ho ya harkat kam hajam par hui ho .
    Trading

    chunkay teen safaid sipahi aik taiz basri namona hai, is liye usay dakhlay ya kharji nuqta ke tor par istemaal kya jata hai. jin taajiron ke paas security ki kami hai woh bahar nikaltay hue nazar atay hain aur woh tajir jo taizi se position lainay ka intzaar kar rahay hain teen safaid faam fojion ko dakhlay ke mauqa ke tor par dekhte hain. teen safaid sipahiyon ke patteren ki tijarat karte waqt, yeh note karna zaroori hai ke ziyada mazboot harkatein earzi had se ziyada kharidari ke halaat peda kar sakti hain. rishta daar taaqat index ( rsi ), misaal ke tor par, ho sakta hai 70. 0 ki satah se oopar chala gaya ho. kuch mamlaat mein, teen sipahiyon ke patteren ke baad mazbooti ki mukhtasir muddat hoti hai, lekin qaleel aur darmiyani muddat ka taasub badastoor taiz rehta hai. ahem iqdaam aala muzahmati sthon tak bhi pahonch sakta hai jahan stock bulandi ko jari rakhnay se pehlay istehkaam ka tajurbah karsaktha hai .
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What Do Three White Soldiers

    Three White Soldiers Pattern

    Three white soldier pattern teen white candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai agar ye prices k bottom main banta hai, jab k trend continuation ka kaam prices k top ya darmeyan me karta hai. Pattern ki teeno candles white hoti hai, jo k market me qeematon ki upward side ki mazboti ki nishan-dahi karti hai. Pattern low prices ya bearish trend me banne par prices ko teezi k sath bullish le k jati hai. Pattern ka top prices par hona trend continuation pattern ka bhi kaam karta hai. Ye pattern teen bullish candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle aik strong real body wali hoti hai, jiss ka upper aur lower side par shadows ya wick nahi hote hen. Pattern ki dosri candle bhi bullish candle hoti hai, jiss ki real body bhi sams pehli candle ki tarah long hoti hai, jab k ye bhi bagher shadow ki candle hoti hai. Pattern ki last candle bhi dosri candle ki tarah hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (239).png
Views:	3
Size:	6.2 کلوبائٹ
ID:	12408829

    Pattern k Pehchan m Rules
    1. Three white soldier pattern k leye prices ka low hona ya bearish trend hona zarori hai q k ye aik bullish trend reversal pattern hai.
    2. Pattern teen candles par mushtamil hota hai, jis me teeno ki teen candles white candles hoti hai.
    3. Pattern me shamil teeno candles aik dosre k higher high par banti hai. Yanni aik k close hone k baad dosri cabdle open hoti hai.
    4. Pattern ki 1st candle k muqabele me 2nd aur 3rd candle aksar large hoti, jis se pattern k upward side ki mazboti zahir hoti hai.
    5. Pattern prices k darmeyan up side par banne par trend continuation pattern ka kaam bhi karta hai.
    6. Pattern me teeno candles k upper ya lower side par koi shadow ya wick nahi honi chaheye.


    Click image for larger version

Name:	images (238).png
Views:	21
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12408830

    Explaination

    Three white soldier candlestick pattern teen white candles ka aik bullish trend reversal ya continuation pattern hai, jo k prices k bottom ya top par ban sakta hai. Pattern prices k leye bohut strong bullish movement ki indication deta hai, jab bhi ye prices k bottom ya darmeyan me banta hai. Pattern teeno candles white strong rel body wali hoti hai, jiss se market bears ka pressure kam hota hai. Pattern k leyw zarori hai, k candles k uper aur lower side par wicks ya shadow na ho, jiss se candles ki hasseyat kam na ho. Ye pattern advance block pattern ki tarah teen bullish candles par mushtamil hota hai, lekin uss k bar aks bullish trend reversal ka kaam karta hai. Three white soldier candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k ziada tar bagher shadow k ya small wick k sath hoti hai, ye candle prices main bullish trend ki mazboti ka ishara deti hai. Pattern ki dosri aur teesri candles umoman size main same hoti hai, jo k pehli candle se bari ho sakti hai, jab k ye candles bhi bagher shadow ki hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (237).png
Views:	72
Size:	8.9 کلوبائٹ
ID:	12408828

    Pattern par Trading

    Three white soldier pattern trading k leye market me buy k signals ya qeematen nechay se upper side par jane ki nishan-dahi karti hai. Market me buyers ka power mazbot hota hai, jiss se qeematen yakdam upper side par move hona shoro karti hai. Pattern k top par entry karni chaheye, jo k confirmation candle k bagher bhi ho sakti hai. Jiss se prices mazeed teezi k sath upper ja sakti hai. Stop loss pattern k center candle ya small candles hone ki sorat me nechay ya lower par set kia ja sakta hai. Three white soldier candlestick pattern buyers ko market main entry ka moqa deta hai, jiss main wo market main bullish candle k baad entry karte hen. Bullish candle trend confirmation k leye zarori hai, jo k real body main honi chaheye. Pattern ki teesri candle prices ko mazeed bullish upward push karti hai, jo k aik strong real body wali bullish candle hoti hai. Pattern k baad bearish candle banne par ye pattern invalid ho jayega, jo k trade k leye reliable nahi rahega.

    Click image for larger version

Name:	images (140).jpeg
Views:	16
Size:	10.2 کلوبائٹ
ID:	12408827
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: What Do Three White Soldiers

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Three White Soldiers Candlestick Pattern


      Three white soldier candlestick pattern teen mutawater bullish candles aik bullish trend reversal pattern hai, jiss main sari candles aik strong real body ki bullish candles hoti hai, jo k prices k downtrend main paya jata hai. Ye pattern aik strong signal deta hai, k market ka yahan par demand khatam ho chuka hai, jiss k baad prices ziada supply ki waja se gerna shoro ho jati hai. Price chart pattern hamesha aik leading indicator ka role us waqat play karti hai, jab inn ki market main aik strong hold a jata hai. Three white soldier candlestick pattern bhi aik strong bullish trend reversal ka signal deta hai.

      Click image for larger version

Name:	08-Three_White_Soldiers-01-300x300.png
Views:	3
Size:	2.4 کلوبائٹ
ID:	12408832

      Candles Formation


      Three white soldier pattern main teen bullish candles aik dosre k top par open aur close hoti hai. Ye pattern bottom price pe bearish trend reversal aur bullish prices par bullish trend continuation ka kaam karta hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

      Click image for larger version

Name:	images (3) (252).png
Views:	30
Size:	7.0 کلوبائٹ
ID:	12408833

      1. First Candle: Three white soldier candlestick pattern main main pehlee candle aik strong aur real body wali bullish candle bantti hai. Jo k trend k main tasalsul ki alammat hai. Ye candle white ya green color main hotti hai.

      2. Second Candle: Three White Soldiers pattern main dosree candle bhi pehlee candle ki tarrah aik strong aur real body wali bullish candle hotti hai, jo k color main white ya green main bantti hai.

      3. Third Candle: Three White Soldiers pattern main teesree candle bhi same pehlee two days candles ki tarrah bullish candle hi hotti hai, jo k color main white ya green hotti hai. Ye candle bullish pattern ki mazzbotti main mazzeed izzafa kartti hai.

      Explanation

      Three white soldier candlestick pattern teen bullish candles ka pattern hone ki waja se aik bullish signal deta hai. Pattern ki teeno candles mutawater teen bullish marubozu candles banti hai, jiss k upper aur lower sides par aksar shadow nahi banta hai, lekin small si wick banne par bhi ye pattern same kaam karta hai. Pattern ki teeno candles aik dosre k upper side par close hoti hai, jiss main candles ka close price open price ki nisbat ziada hoti hai. Pattern ki teeno bullish candle aksar aik dosre k real body main ya aik dosre k close price k baad open hoti hai. Pattern ki teeno candles size main lazmi aik dosre k barabar honi chaheye, ya uss pe kam az kam difference hona chaheye.

      Click image for larger version

Name:	images (3) (253).png
Views:	4
Size:	4.4 کلوبائٹ
ID:	12408834

      Trading

      Three white soldier candlestick pattern trading k leye aik strong bullish signal deta hai, jiss par trader market main buy ki entry karte hen. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai. Confirmation candle real body main bullish honi chaheye, jo teeno bullish candles k top par close honi chaheye, jab k bearish candle banne par entry nahi karni chaheye. Ye pattern sideways ya bullish trend k dowran bullish trend continuation ka kaam karta hai. Pattern ki confirmation indicators jaise, CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main honi chaheye. Stop Loss k sab se bottom position ya pehli bullish candle k lower se two pips below set karen.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (123).jpeg
Views:	54
Size:	27.3 کلوبائٹ
ID:	12408831

      اب آن لائن

      Working...
      X