Discussion about spinning top candle stick pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Discussion about spinning top candle stick pattern
    INTRODUCTION

    Aik spinning top aik aisa pattern hai jiski aik short real body hoti hai, jo keh vertically centered between long upper aur lower shadows mein banta hai. Candlestick pattern represent karta hai indecision future direction ka asset , na hi buyers nor sellers upper hand gain kar saktay hain.
    Click image for larger version

Name:	IMG_20211101_192432.jpg
Views:	3
Size:	35.8 کلوبائٹ
ID:	12545060
    Spinning Top Candlestick Pattern ki Price Chart mein identification:

    Spining Top Candlestick Pattern two candles sa mil kar banta hai


    Agar tou Spining Top Candlestick Pattern long bullish trend ka top per bannay to second candle bearish ki ban kar bearish trend ka start honay ka signal deti hai aur agar Spining Top Candlestick Pattern long bearish trend ka bottom par banta hai tu es mein second candle bullish ki ban ker bullish trend ka start honay ka signal deti hai.


    1- Es pattern ki first candle Day-1 mein small real body ki bullish ya bearish candle banti hai jiski upper aur lower wick same length k aur length man real body ka double hona chahiye. Is candle ko "Spinning Top Candlestick" kehtay hain. Yeh candle buyers aur sellers k dermiyan indecision ko batati hai.


    2- Is pattern main second candle Day-2 ki long real body ki bullish ya bearish candle banti hai.
    Click image for larger version

Name:	IMG_20211101_192415.jpg
Views:	3
Size:	79.0 کلوبائٹ
ID:	12545061
    Trading strategy of Spining Top Candlestick Pattern:
    Ager Spining Top Candlestick Pattern long bearish trend ka bottom per banta hai to trader ko new candle ka open per ""Buy ki Trade"" kerni chahiye Stoploss ko Spining Top Candlestick ki low per place kerna chahiye aur Take Profit ko next resistance levels per Tp place karen.
    Agar Spining Top Candlestick Pattern long bullish trend ka top per complete ho jay to trader ko new candle ka open per "Sell ki Trade" active karni chahiye. Stoploss ko Spining Top Candlestick ka High per place karen aur Take Profit ko next support levels per Tp place karen
    Click image for larger version

Name:	IMG_20211101_192401.jpg
Views:	3
Size:	88.6 کلوبائٹ
ID:	12545062
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Discussion about spinning top candle stick pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Spinning Top Candlestick


    Spinning top candle aik small real body main banni wali upper aur lower sides par long shadows rakhne wali aik single candle pattern hai, jiss ko aam tawar par price chart pattern par aik neutral candle tasawar ki jati hai. Ye candle market main bullish aur bearish, supply aur demand, resistance aur support taqat main barabari ki waja se banti hai. Candle ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, k aik makhsos ya muntakhib karda timeframe k dowran price chart par pehle investors prices ko aik side par le jane k baad same dosri side par bhi ussi tarah se push karti hai, lekin din k ikhtetam par prices apne aghaz wali position k qareeb close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (248).png
Views:	15
Size:	5.5 کلوبائٹ
ID:	12408793

    Candles Formation


    Spinning top candles umoman prices main ziada tar dekhaye dete hen, q k ye aik neutral candle shumar hoti hai. Ye candle aik hi waqat main market main buyers aur sellers ki equal taqat ki akasi karti hai, jo prices ko aik khas position par mutehkam rakhti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (3) (247).png
Views:	1
Size:	2.6 کلوبائٹ
ID:	12408794

    Spinning Top Candle: Spinning top candlestick prices k darmeyan main ziada tar neutral hoti hai, jab k bottom aur top prices par trend reversal ki salaheyat rakhti hai. Ye candle aik small real body main hoti hai, jab k ye candle single hone ki waja se bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai. Candle k upper aur lower sides par shadow hota hai, jo k dono sides par size main equal hota hai.

    Explanation

    Spinning top candlestick main prices candle k centre ya darmeyan main aik small real body banati hai, jiss k upper aur lower side par aik lamba saya ya shadow hota hai. Ye candle aam tawar aik neutral candle tasawar ki jati hai, jiss ko price chart par bohut ziada dekha jata hai. Ye candle prices k center main ya aik trend k dowran neutral value ki hoti hai, jab k prices k top ya bottom par banne par ye trend reversal ki hososeyat rakhti hai. Spinning top candlestick ki hososeyat bhi long-legged doji candle, high wave candle aur doji star candle ki tarah hoti hai, jiss main market ki prices ziada tar same trend ko hi follow karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (245).png
Views:	22
Size:	5.0 کلوبائٹ
ID:	12408795

    Trading

    Spinning top candlestick trading k leye ziada perfect signals iss waja se nahi de sakti hai, q k ye candles ziada tar neutral behaviour rakhti hai. Ziada tar ye candles price chart main bohut ziada nazar ati hai, lekin aam trend par ye bohut kam asar andaz hoti hai. Price chart k top par banne par ye candles thori bohut trend reversal k asarat ka hamil ho sakti hai. Candle par trading k leye zarori hai, k prices trend k intehaye top ya bottom main hona chaheye, jab k candle k baad aik confirmation candle ka hona zarori hota hai, jo k real body main lazmi hona chaheye. Jab k same trend ki candle banne par ye trend continuation ka role play karti hai. Stop Loss candle k sab se top ya bottom end se two pips above ya below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (119).jpeg
Views:	7
Size:	35.2 کلوبائٹ
ID:	12408796
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Discussion about spinning top candle stick pattern

      Spinning top candle stick pattern:

      Forex mein
      candlestickpattern ko bohat zeada value hasil hai hm kabi bi is pattern ko ignore kr k work nahi ker sakty Q k ye trade k liye aik bohat he eham tool hai spinning top pattern chart par ben'ny wala aik bohat he common pattern hai aur ye market ki slow moment ko dkehty hue top par benta hai is mein sirf aur sirf aik he candlestick hoti hai jo k buyers aur sellers ki equal division ko show kerti hai aur exit point ko provide kerti hai is candle ki body small aur wick large hoti hai is k liye is ka volume bhi previous candle se zeada hota hai ye traders ko ye information deti hai k market mein bohat sary bearsih aur bullish trend aye tou thy lekin wo kisi bhi khaas result par reach nahi kiye aur phir exit ho gaye is candle k ben'ny k baad traders ko trend reversal signals milty hain
      lekin ye candle humen khud kisi bhi trend k bary mein nahi btati jesa k price k closing aur opening ka point agar aik he hota hai tou ye humen kisi bhi future prediction k bary mein bhi koi information nahi dy pati is k liye humen technical indicators ka use kerna parta hai jis se humen trend k reversal k signal bhi milty hain jab bhi long up ya phir down trend mein market slow moment ko kerny lag jaye tou is ka matlab ye hai k trend weak hai aur us k baad ye candle benti hai jis se humen pata chalta hai k trend k reversal ka time aa geya hai jab ye candle benti hai tou humen is k foran bad trade nahi lagani chahiye blky is k baad jab trend reversal stat ho jaye aur two ya phir is se zeada bearsih candles k baad sell ki trade lagani chahiye

      Click image for larger version

Name:	SPINING TOP.png
Views:	2
Size:	3.9 کلوبائٹ
ID:	12408861

      Interpretation in market :

      Spinning top candlestick pattern Ko Jab aap apni trading per reply karna chahte hain to ismein aapko confirmation candlestick Ka Intezar Karna hota hai spinning top candlestick pattern aapko resistance level per bhi mil sakta hai aur support level per Bhi Nahin Sakta Hai Iske bad Jo confirmation is fantastic aap ko milati hai vah aapko further friend se related important information provide kar rahi hoti hai.

      Bearish / Bullish Spinning Top :

      Dear jab aap market Mein spinning top se related information Fazilka Rahe hote hain to ismein aapko bearing spinning top aur bullish spinning top mil sakti hai Jab aapko market mein Main Bole spinning top aur bearish spinning top se related information acid karna hoti hai to aap iski colours team se iski properly recognition kar sakte hain aur iski basis per aapko market Mein Perfect entries mil sakti hai aur aap apni trading ko bahut jyada profitable banaa sakte hain.

      Click image for larger version

Name:	SPINNING TOP.png
Views:	20
Size:	6.2 کلوبائٹ
ID:	12408862

      Ye pattern us sorat ma banta hai jb buyer or sell k darmian indecisive situation hu. Ye candlestick forex trend k possible change hony ko show karti hai Traders ko market ma jb yeh candlestick nazar ah jae to unko apni trade ko hold kar lena chahe or market ki next move k lae wait karna chahe. Ye candlestick market ki support or resistance k bary ma information b deti hai. So age ye Market k uptrend ma agr bullish spinning top candlestick support level par show ho jae to ham es point ko as a entery point hasil kar sakty hain es sorat ma stop loss ham support level k nechy place kar sakty hain k market agr support ko break kar jae to ham maximum loss sy bach jayen koshish karen ke candlestick patterns Ka knowledge hasil Karen aap ko pata Hona chahie kya aapane market ko kaise analyse karna hai to aap Achcha profit Hasil kar Sakenge.

      Click image for larger version

Name:	102023.jpeg
Views:	7
Size:	6.0 کلوبائٹ
ID:	12408863

      اب آن لائن

      Working...
      X