What is Rickshaw man candlestick patterns?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Rickshaw man candlestick patterns?
    Assalamualaikum Kise ho ap sab log me bilkul thek or khariyat se ho or umeed karta ho ke ap sab log bhi bilkul thek or khariyat se ho ge aj is thread me apkoMe rickshaw man candlestick patterns ke bare me btao ga or me umeed karta ho ke jo information me apse share karo ga wo apke knowledge or ap sab logo
    Ke experience me zaror izafa kare ge or agar ap mere is thread pe Amal karte he to ak ache trader ban sakte he ak or bat jo me apko btana chahta ho ke agar
    Ham Pakistan forex forum pe apni pori mhenat or himmat se Kam karte he or apna ziyada se ziyada time bhi Pakistan forex forum pe guzarte he to ham ak
    Ache or kamyab trader ban sakte he or bhot sare paise bhi kama sakte he .

    What is Rickshaw man candlestick patterns?
    Rickshaw aadmi lambi tangon wali dogi candle stuck ki aik qisam hai jahan jism mom batii ke beech mein ya is ke bilkul qareeb paaya ja sakta hai .

    Click image for larger version

Name:	download (51).png
Views:	2
Size:	1.6 کلوبائٹ
ID:	12544979

    Key Takeaway;
    rickshaw wala bazaar mein ghair faisla kin honay ka ishara kar raha hai. rakshay walay ke oopri aur nichale saaye lambay hotay hain, mom batii ke markaz ke qareeb aik chhota sa asli jism hota hai. rickshaw walay ko dosray takneeki isharay, qeemat ke amal ke tajziye, ya chart ke namonon ke sath mil kar istemaal kya jana chahiye taakay mumkina rujhan ki tabdeeli ya tasalsul ka ishara kya ja sakay .

    Understanding;
    aik candle stick ziyada, kam, khuli aur band qeematon ko dekhata hai. rickshaw mean candle ka khula aur band aik hi qeemat ki satah par ya is ke bohat qareeb hai, jo dogi banata hai. onche aur neech bohat daur hain, shama daan par lambay saaye peda karte hain. yeh market mein shurka ki janib se Adam faisla ko zahir karta hai. rickshaw mean candle is waqt hoti hai jab bail aur reechh aik hi muddat ke douran mukhtalif auqaat mein security ki qeemat ko control karte hain. yeh tafawut muddat ke liye aik wasee tijarti range banata hai, is terhan mom batii par taweel saaye peda hotay hain. rickshaw walay ki taraf se numaya utaar charhao ke bawajood, yeh wazeh samti harkat ki taraf ishara nahi karta, aur qeemat is ki ibtidayi qeemat ke bilkul qareeb band ho jati hai .
    Click image for larger version

Name:	download (50).png
Views:	5
Size:	2.5 کلوبائٹ
ID:	12544980
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Rickshaw man candlestick patterns?

    Rickshaw Man.

    Rickshaw man long legged doji candlestick ki ik kisam hai jis mn body middle candle k uper ya esk kareeb hoti hai. Ye candlestick open close high or low ko show krti hai. Is mn open or close bhot kareeb yani ik he price level par hoty hain jo k ik doji ki shape banaty hain. Es pattern ma high or low ik dosray sy bhot door hoty hain jo high shadow banaty hain. Rickshaw man candle stick market ki indecisive state ko kaha jata hai. Ye pattern kio reliable pattern ni hai. Rickshaw man candlestick ko other technical indicators k sath use kiya ja sakta hai price action anlysis k lae ya market ka trend change ya continue hony k liye hy.

    Click image for larger version

Name:	images (11).jpeg
Views:	9
Size:	29.6 کلوبائٹ
ID:	12408558

    Explanation:-

    Rickshaw man candlestick Pattren mn price action aur market k trend ko bhot Focus karna prta ha. Rickshaw man long legged doji candlestick ki hi aik kisam hai jis ma body middle candle ky uper ya is ky kareeb hoti ha Ye candlestick open close high or low ko show karti hai is mein open or close bhot kareeb yani ik he price level par hoty hain jo ky ik doji ki shape banaty hain is pattern mein high or low ik dosray sy bhot door hoty hain jo high shadow banaty hain Rickshaw man candle stick market ki indecisiveness state ko kaha jata ha Ye pattern koi reliable pattern ni ha Rickshaw man candlestick ko other technical indicators ky sath use kiya jaa sakta hai price action anlysis ky lye ye market ka trend change ya continue hony k lye Rickshaw man candlestick ki body small hoti hai or eski upper aur lower shadow bhot large hoti hain is Pattren ko samjhny ky lye apko chart ko achy sy Read karna chahiye.

    Click image for larger version

Name:	images (8).png
Views:	4
Size:	9.4 کلوبائٹ
ID:	12408559

    Ye pattern tb banta hai jb market ko bull or bear alag alag time ma dominate karyn. Es candlestick ma high move hota hai kiu k market es ma up b jati hai or down b but still ye move kisi trend ki direction ko show karny ma kamyab ni hota. Es pattern ma buyer or seller apas ma price action par war karty hain but still market waha he close ho jati hai jaha sy open hoe thi. So es ka matlab ye hai k es candlestick ma buyer or seller k darmeyan jo war hoe wo tie pae end ho gae. Kuch condition ma ye previous trend k continue hont ko b suggest karti hai. Kuch cases ma ye market ma reversal trend ko b suggest karti hai.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: What is Rickshaw man candlestick patterns?

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Rickshaw Man Doji Candlestick


      Rickshaw man doji candle aik doji candle bagher real body main banni wali upper aur lower sides par long shadows rakhne wali aik single candle pattern hai, jiss ko aam tawar par price chart pattern par aik neutral candle tasawar ki jati hai. Ye candle market main supply aur demand, khareed aur ferokht bullish aur bearish, resistance aur support taqat main barabari ki waja se banti hai. Candle ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, k aik makhsos ya muntakhib karda timeframe k dowran price chart par pehle investors prices ko aik side par le jane k baad same dosri side par bhi ussi tarah se push karti hai, lekin din k ikhtetam par prices apne aghaz wali position par a kar close hoti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (3) (242).png
Views:	3
Size:	1.7 کلوبائٹ
ID:	12408773

      Candles Formation


      Rickshaw man doji candles umoman prices main ziada tar dekhaye dete hen, q k ye aik neutral candle shumar hoti hai. Ye candle aik hi waqat main market main buyers aur sellers ki equal taqat ki akasi karti hai, jo prices ko aik khas position par mutehkam rakhti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

      Click image for larger version

Name:	images (3) (240).png
Views:	23
Size:	2.6 کلوبائٹ
ID:	12408774

      Rickshaw Man Doji Candle: Rickshaw man doji candlestick prices k darmeyan main ziada tar neutral hoti hai, jab k bottom aur top prices par trend reversal ki salaheyat rakhti hai. Ye candle bagher real body ki hoti hai, jiss main candle k open aur close same point par hota hai. Candle k upper aur lower sides par shadow hota hai, jo k dono sides par size main equal hota hai.

      Explanation

      Rickshaw man doji candlestick main prices candle k center ya darmeyan main aik line si real body banati hai, jiss k upper aur lower side par aik lamba saya ya shadow hota hai. Ye candle aam tawar aik neutral candle tasawar ki jati hai, jiss ko price chart par bohut ziada dekha jata hai. Ye candle prices k center main ya aik trend k dowran neutral value ki hoti hai, jab k prices k top ya bottom par banne par ye trend reversal ki hososeyat rakhti hai. Rickshaw man doji candlestick ki hososeyat bhi small Spinning top candle, high wave candle aur doji star candle ki tarah hoti hai, jiss main market ki prices ziada tar same trend ko hi follow karti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (117).jpeg
Views:	37
Size:	8.1 کلوبائٹ
ID:	12408775

      Trading

      Rickshaw man doji candlestick trading k leye ziada perfect signals iss waja se nahi de sakti hai, q k ye candles ziada tar neutral behaviour rakhti hai. Ziada tar ye candles price chart main bohut ziada nazar ati hai, lekin aam trend par ye bohut kam asar andaz hoti hai. Price chart k top par banne par ye candles thori bohut trend reversal k asarat ka hamil ho sakti hai. Candle par trading k leye zarori hai, k prices trend k intehaye top ya bottom main hona chaheye, jab k candle k baad aik confirmation candle ka hona zarori hota hai, jo k real body main lazmi hona chaheye. Jab k same trend ki candle banne par ye trend continuation ka role play karti hai. Stop Loss candle k sab se top ya bottom end se two pips above ya below set karen.

      Click image for larger version

Name:	images (3) (241).png
Views:	12
Size:	6.8 کلوبائٹ
ID:	12408776

      اب آن لائن

      Working...
      X