Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish / Black Candlestick
Bearish or black candles price chart par uss waqat banti hai, jab bhi aik timeframe k dowran candles ki close price, open price se nechay ya below hoti hai. Ye candle aam tawar par black ya red color se zahir ki jati hai, lekin ye zarori nahi hai. Bearish or black candles market main kisi assets par selling pressure ya uss waqat active ferokht kunanda ki taqat dekhati hai. Kisi assets ki prices main kami ko price chart par bearish or black candles se zahir kia jata hai. Ye candles mukhtalif formate k ho sakte hen jiss ki apni apni value hoti hai.
Bearish Candles Ki Aqsaam
Price chart main banne wali bearish candles ki kaye (mukhtalif) aqsaam ho sakti hen, jo k candle ki value ya taqat dekhati hai. bearish candle main real body aur shadow dono ho sakte hen aur ya ye shadow k bagher bhi ho sakti hai. Bearish candles ki kuch aqsaam darjazzel hai:
Normal Bearish Candlestick
Normal bearish ya white candlestick price chart par aik bearish real body wali candle hoti hai, jiss k upper aur lower sides par small si shadows hote hen. Ye candle market par sellers ka control dekhati hai, jiss main candle ka close price open prices se low hota hai. Lekin candle k high aur low price se candle ka open aur close kam hota hai.
Bearish Marubozu Candlestick
Bearish marubozu candle main aik timeframe k dawran jab sellers bohut ziada active hote hen aur buying pressure kam hoti hai, to uss waqat ye candle banti hai. Iss candle main open aur high price same hota hai, jab k low aur close price same hote hen. Ye candle bagher upper ya lower shadow ki hoti hai. Kuch candles jiss k lower side par shadow nahi hota lekin upper side par aik small wicks ban jati hai to wo candle close marubozu candle hoti hai, jab k upper side par shadow na hone par ye candle open marubozu candle ban jati hai, agar iss k lower side par small wick banti hai to.
Bullish Spinning Top Candlestick
Bearish Spinning top candles small real body wali candles hoti hai, jiss k upper ya lower side par small shadow hote hen. Candle ki real body same black ya red color main hoti hai, jab k upper aur lower side ka shadow same length main hota hai. Ye candle prices k bottom ya top main aksar dosre candles k sath mel kar trend reversal ka kaam karti hai. Spinning top candle price chart par sellers ki assets main mamoli si dilchaspi dekhati hai.
Bearish High Wave Candlestick
Bearish high wave candles Spinning top ki tarah small real body main hoti hai lekin candle k upper aur lower side par long shadow banta hai. Ye candle bhi Spinning top candle ki tarah hososeyat rakhti hai, jo k prices k top ya bottom main dosre candles k sath trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jiss main buyers aur sellers market main control hasil karne ki koshash kartw hen, lekin yahan par bhi mamoli si jeet sellers ki hoti hai.
Bearish Pin Bar Candlestick
Bearish pin baar candlestick main aik small real body wali bearish candles k upper ya lower side par long shadow hota hai. Candle ka ye shadow taqreeban candle k dugne se bhi ziada hota hai. Pin baar candle prices k top ya bottom main trend reversal ka kaam karti hai, jab k ye aksar aik trend ya support ya resistance level bhi sabit hoti hai. Pin baar candle bhi buyers aur sellers market k control k leye fight karte hen, lekin jeet mamoli si real body k sath sellers k haq main hoti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим