three white soldiers pattern ka tafseeli jaizah

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    three white soldiers pattern ka tafseeli jaizah
    Three White Soldier Candlestick Pattern ak bearish trend reversal candlestick pattern ha jo currency pairs aur commodities k price chart man commonly bearish trend k bottom per support level k qareeb banta ha. Ye pattern tamam timeframes man banta ha. Is man three consecutive White (Bullish) candles banti han is liye is pattern ko ""Three White Soldier Candlestick Pattern"" kehty han. Teen bullish ya white color ki candle sticks shmail hone ki waja se is ko three white soldier candle stick kaha jata hai, ye teeno (three) candle sticks lagatar bullish trend me honi chaheye. Kam qeemat wale area me ya mustahkim (stable) qeematon k trend k bad ye uptrend (Bullish trend) ka signal deti hen.
    Click image for larger version

Name:	download (1).png
Views:	55
Size:	2.0 کلوبائٹ
ID:	12544376
    Pattern kaisy banta hy.
    Three white soldiers main bullish candle hoti hain jo market main movement k change honay ki predication karti hai thoda tafseel say samajhne ki koshish ktry hain three soldiers esi 3 lagatar bullish candle hoti hain jo size main big hoti hain jo previous candle say hi start hoti hain or in main say ek candle last candle say size main zyada hoti hy in candle k large shadows nhin hoty hain jab yeh candle show ho jain to ap ko smjh jana chahey k market ki movement change ho nay wali hy or ap is pattern ko achi trha analysis kr ik achi or profit abale trade open kr acha profit hasil kar sakte hain aap ko chahey k ap mehant ko samjhna aur seekhany ki koshish karin jab ap is ko seekh jain gy to ap expert trader ki category main shamil ho jaty hain.
    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	20
Size:	1.9 کلوبائٹ
ID:	12544377
    Identification of three white soldiers;
    Three white soldiers candle stick pattern teen din ka pattern hota hey or yeh lagatar lamby green or white candlestick per moshtamel hota hey jo pechlay den kay mokabllay mein ahesta ahesta close bhe hote hey or open bhe hote hey yeh downtrend kay bad bohut strong bullish pattern ka signal daytay hein. three white solider candle stick pattern mein teen kesam ke candle stick hote hey jo keh continuation up trend mein he hote hein yeh candle stick higher open or close hote hein dosre candle stick ke body 1st candle stick say bare hote hey 2nd candle stick or 3rd candle stick ke body same hote hey teeno candle stick mein koi wick bhe nahe hone chihay es say yeh zahair hota hey keh buyer nay market par mokamall control sanbhal lea hey or es bat say yeh indicate hota hey keh prices market par mokamall control sanbhal lea hey or yeh pattern support zone mein he banta hey candle stick down trend ko follow karte hein or yeh pattern ke rally ko reversal janay ko indicate karte hey
    Click image for larger version

Name:	download.jpg
Views:	25
Size:	8.5 کلوبائٹ
ID:	12544378
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: three white soldiers pattern ka tafseeli jaizah

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Three White Soldier Candlestick Pattern


    Three white soldier candlestick pattern price chart par ziada selling ki sorat main banne wala aik bullish trend reversal pattern hai, jo k teen candles par mushtamil hota hai. Pattern main shamil teeno candles bullish candles hoti hai, jo k long real body main hoti hai. Pattern ki teeno candles prices k bottom par bearish trend k khatme ka bahis bante hen. Bullish candles ki long body hamesha market main kam supply aur ziada demand ki waja se banta hai. Ye pattern dosre two days candles ya dosre candlestick pattern ki nisbat iss waja se aik strong bullish trend reversal ka signal deta hai, q k iss pattern ki teeno candles long aur strong bullish trend ko zahir karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (99).jpeg
Views:	2
Size:	28.4 کلوبائٹ
ID:	12408372

    Candles Formation


    Three white soldier pattern teen candles par mushtamil pattern hai, jo marlet main bullish trend ka aik strong reverse ya continuation ka ishara deta hai, pattern ki teeno candles bullish hoti hai, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (3) (210).png
Views:	1
Size:	2.0 کلوبائٹ
ID:	12408373

    1. First Candle: Three white soldier pattern main shamil pehli candle aik strong bullish candle hoyi hai, jo k white ya green color main banti hai. Ye candle long bullish candle hai, jo k market main bullish trend reversal ka ishara deti hai.

    2. Second Candle: Three white soldier pattern ki dosri candle bhi pehli candle ki tarah bullish hoti hai, jiss ka color bhi same white ya green hoti hai. Ye candle pehli candle se ziada strong banti hai, q k aksar ye candle size main pehli candle se ziada hoti hai.

    3. Third Candle: Three white soldier pattern ki teesri candle bhi pehli do candles ki tarah hi bullish hoti hai. Ye candle size main dosri candle ki tarah hoti hai, jo k pehli candle se thori si bari hoti hai. Ye candle bhi color main white ya green banti hai.

    Explanation

    Three white soldier candlestick pattern main shamil candles long real body main hone ki waja se market main bullish strength ki akasi karti hai. Pattern prices k support level par bearish trend ko reject karke prices ko teezi k sath ooper ki taraf push karti hai. Price chart k bottom area ya low bearish trend main aksar supply ki kami hoti hai, jiss se market ko trend reversal ka samna karna parta hai. Lekin jab prices k bottom par ziada buying pressure ki waja se prices teen lagatar bullish candles bananti hai, to ye pattern aik three white soldier pattern banta hai, q k pattern ki teeno candles white soldier ki tarah hoti hai, jo k aik dosre k baad banti hai. Pattern main teeno candles aik strong real body main banti hai, jiss k upper aur lower sides par shadow bohut kam size main hota hai.

    Click image for larger version

Name:	image5.png
Views:	1
Size:	51.6 کلوبائٹ
ID:	12408382

    Trading

    Three white soldier candlestick pattern prices main aksar strong calendar events, news, fundamental impacts ya social impacts ki waja se prices k bottom par banta hai, jiss ki waja se prices teezi k sath upward rise shoro karti hai. Pattern par trading candles k size k mutabiq kia ja sakta hai, yanni agar candles strong real body main long size main banti hai, to iss k leye trend confirmation ki zarorat nahi parti hai, lekin prices ka lower area ya bearish trend main hona zarori hai. Lekin pattern uss waqat invalid ho jayega, jab pattern k baad aik bearish candle banegi. Indicator par trend confirmation k leye oversold zone ka hona zarori hai, jiss k baad hi entry karen. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya pehli candle k lower price se two pips below set karen.


    Click image for larger version

Name:	images (2) (101).jpeg
Views:	39
Size:	31.0 کلوبائٹ
ID:	12408371
    • #3 Collapse

      Re: three white soldiers pattern ka tafseeli jaizah

      Three White Soldiers (Bullish) Candlestick



      Teen bullish ya white color ki candle sticks shmail hone ki waja se is ko three white soldier candle stick kaha jata hai, ye teeno (three) candle sticks lagatar bullish trend me honi chaheye. Kam qeemat wale area me ya mustahkim (stable) qeematon k trend k bad ye uptrend (Bullish trend) ka signal deti hen. Jab bhi market me Three White Soldiers candle stick pattern banta hai to ye aik mazbot trend reversal ki taraf ishara karta hai, khas kar jab wo bearish trend k bad bane ya kam qeemat (low price) area me bane. Jab ye teen candles mutawater higher high aur higher low pe banti hai to ye bullish trend ka signal de rahi hoti hai. Yeh pattern ziada tadad main nahi banta, lekin dekhne main ya nazar ane main sab se wazih pattern hai. Three white soldier candlestick pattern price chart par musalsal bullish trend ke amal ko zahir karta hai. Prices k top ya bearish trend main zahir hone wala three white soldier candlestick pattern teen lagatar bullish candles par mushtamil hota hai, jiss ki strong real body hoti hai, jab k candles k upper aur lower sides par shadow ya to bulkul hota hi nahi aur ya aik small si wick ho sakti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (100).jpeg
Views:	1
Size:	12.2 کلوبائٹ
ID:	12408383

      Pattern ki Pehchan k Rules:
      1. Three White Soldiers candlestick pattern hamesha bearish trend ya low price area me banta hai, q k ye aik bullish trend reversal pattern hai.
      2. Pattern me teen lagatar white candles is tarteeb se bane gi k dosra candle pehle candle k uper (high) pe band hogi aur isi tarah teesri candle dosre ki.
      3. Pattern me har agli candle pechle white candle k real body k andar open honi chaheye, lekin ye overlap lazim nahi hai. Agar ye pechle candle k real body se thora oper (gap) pe open ho jaye to bhi thek hai.
      4. Teeno candles me har aik apne higher price pe ye us k qareeb band hona chaheye.
      5. Pattern me agar candles bagher shadow k long real body me banti hai, to ye aik strong pattern hai, jab k candles shadow samet bhi ho sakti hai.

      Click image for larger version

Name:	download (28).png
Views:	55
Size:	2.0 کلوبائٹ
ID:	12408384

      Pattern ki Tafseel


      Three White Soldiers pattern me lagatar teen bullish candles shamil hoti hai, is waja se ye pattern aik strong bullish trend pattern ban jata hai. Pattern ki teeno candles aik dosre k highs me close hoti hai. Ye pattern agar qeematon k low area ya bearish trend k baad banta hai, to ye strong bullish trend reversal pattern hoga. Pattern me shamil har aik candle ki strong real body hoti hai, jis me up ya down side pe saya ya shadow bohut kam hi hota hai. Ye pattern assets k prices par sellers k pressure ki kami jab k market main strong bullish pressure ki waja se banta hai. Assets k demand main izzafay se aksar prices teezi k sath bullish move karna shoro karti hai, jiss k nateejay main three white soldier candlestick pattern wajood main ata hai. Ye pattern teen consecutive strong bullish candles par mushtamil hota hai, jiss main har aik candle apne se pechli candle k upper side par close hoti hai.

      Click image for larger version

Name:	download (29).png
Views:	8
Size:	2.9 کلوبائٹ
ID:	12408385

      Pattern pe Trading


      Three White Soldier candle market me ye bullish trend ka signal hai, q k ye pattern market k lower price ya bearish trend k baad banta hai. Teesri (3rd) candle k baad market khareedari (buy) k leye ready ho jati hai, jis k leye confirmation ki zarorat nahi hai, albata long term traders 4th white candle ka intezar kar sakte hen. Pattern ka stop loss position pehle white (sab se lowest) candle k nechay ki position (lower price) hogi. Three white soldier candlestick pattern prices main asani se pehchana ja sakta hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Lekin pattern k leye long timeframe ka hona zarori hai, jab k candles ka strong real body main aur aik dosre k upper side par close hona chaheye.

      Click image for larger version

Name:	images (111).jpeg
Views:	23
Size:	32.6 کلوبائٹ
ID:	12408387
      • #4 Collapse

        Re: three white soldiers pattern ka tafseeli jaizah

        WHAT IS THREE WHITE SOLDIERS PATTERN :





        Three white soldiers pattern ak candlestick pattern ha jo ka market ka downtrend ka end ma banta ha is pattern ka kam hota ha market ke reversal karna ya market ko downtrend sa reverse kar ka uptrend ke traf la kar jay ge. Ya pattern market ka chart ma ak specific sequence ma banta ha is pattern ka banay sa phalay market ak strong downtrend ke traf move ho rahe hote ha or is pattern ka banay sa phalay huma market ka chart ma do ya teen bearish candles dakhna ko mila ge jo ka long bearish candle ho ge is ka bad market ma is pattern ke three candles banay ge jo ka reversal kara ge or al sequence ma ya three candles upward ke traf banay ge. Is pattern ke three long bodies candlestick ho ge jo ka open previous candle ka high point sa ho ge or close opening point sa high ma ho ge. Is pattern ke in three candles ka koi long upper or lower shadow ni ho ga ya candles with in ho ge pattern ke previous candle ka. Is pattern ke conformation ka liya traders different technical indecators ko use karta ha jasa ka is ma traders relative strength index (RSI) indecator ko use karta ha jo is pattern ke conformation ma help karta ha.





        HOW TO IDENTIFY THREE WHITE SOLDIERS PATTERN :





        Is three white soldiers pattern ko identify karna ka liya traders market ko downward ma dakha ga or ya pattern jab banay ga to is ma market downtrend ma ho ge or ya pattern downtrend ka end ma banay ga jab ya pattern market ka chart ma banay ga to is ke candlestick ka banay sa phaly market ma kuch bearish candles ho ge jo ka strong bearish ka pressure ka batay ge or jab ya pattern banay ga to is ma three long bodies candlestick banay ge jo ka green ya white colour ke ho ge jo ka market ka trend ko change kar ka market ka high bullish pressure ka batay ge. Is pattern ke jo each candle banay ge os ka previous candle sa high ma open or close hona ho ga jo ka market ko uptrend ke traf la kar jay ge. Is pattern ke candlestick ke big body ho ge or is ke big body ka upper or nitcha small wick ho bhi sakta ha or ni bhi.





        UNDERSTANDING THREE WHITE SOLDIERS PATTERN :





        Three white soldiers pattern ka matlab ya ha ka market ma advance buying pressure ana wala ha jo ka downtrend ka bad ay ga. Three white soldiers ak bullish pattern ho ga or ya bullish pattern signal data ha market ke price ka momentum ka reversal hona ka. Ya three white soldiers pattern huma batata ha market ka stock ka strong change hona ka or jab is pattern ke candle close hote ha small or no shadow ka sath to ya huma batata ha ka market ka sellers na market ka control ko loses kar diya ha or buyers na market ke price ko manage kar liya ha ab market ke price top ma jay ge. Jab is pattern ke third candle close ho jay ge to is ca dle ka high sa market ka bull overtake ho jay ga. Ya pattern or reversal pattern ke trha kam kara ga jasa ka jab koi doji pattern banta ha to market ma reversal ata ha asa he is pattern ma bhi market ka reversal ho ga.





        HOW TO TRADE WHEN YOU SEE THREE WHITE SOLDIER PATTERN :





        Jab ap three white soldiers pattern ko market ka chart ma dakha ga to is pattern ma different trha sa trade ke jay ge. Is ma trade karna sa phalay traders ko chaiya ka wo sab sa phaly is pattern ka signal ke conformation kara is pattern ke conformation karna ka liya traders is ka sath indecator ko use kara ga jo is ke conformation ka liya madad kara ga jasa ka relative strength index indicator. Jab ap is pattern ko market ka chart ma downtrend ma dakha ga to jab ap ko laga ga ka ab sa market ma reversal hona wala ha to ap is ka sath RSI indecator ko use kar la ga jo ka is pattern ke reversal ma ak strength ko produce kara ga. Traders is pattern ke conformation or is ka market ka chart ma downtrend ma identify ho jana ka bad js ma buy ke trade ko enter kara ga q ka is pattern na bearish to bullish reversal karna hota ha ya buy ke trade is pattern ke last white candle ka top point sa enter ke jay ge or is ka enter karna ka bad is ma risk sa batchna ka liya is pattern ke first candle ka low ya phir is pattern ka low point par sell stop ko place kiya jay ga or is ma profit target high par rakha jay ga.





        DIFFERENT BETWEEN THREE WHITE SOLDIER AND THREE BLACK CROWS PATTERN :





        Three black crows pattern opposite ma ho ga three white soldiers pattern ka ya pattern bhi three large candle sa mil kat banay ga magar is ke candles opposite ho ge three white soldiers pattern ke candles sa is ke candles bearish ma ho ge or ya pattern market ka top ma uptrend ka end ma banya ga. Ya traders ko market ka bullish sa bearish ka reversal ka signal da ga is pattern ka banny sa phalay market uptrend ka flow ma move kar rahe ho ge or jasa he ya pattern banna start ho ga yo market ma reversal a jay ga or market previous trend ka opposite ma ana lag jay ge or traders ke selling ka signal da ge is ma traders sell ke trade ko is ke last candle ka low sa enter kar da ga jes ka stop loss point is pattern ka high point par rakha ga.
        • #5 Collapse

          Re: three white soldiers pattern ka tafseeli jaizah

          Assalamualikum dear forex member ma idma mazeed 2 cheze confirmation ka lie add kar du jab 3 white soldiers downtrend ma dikhaye dein to apko, 3 rd candle ka vreakour ka bad jab price dobara retrace kara waha par apko emtry lani ha, or profit book karna ka lie apko major resiatance pa lock lrna ha.
          Shukria.
          • #6 Collapse

            Re: three white soldiers pattern ka tafseeli jaizah

            Three white soldier pattern
            dear forex member ager forex mein kamyab hona chahtein hain tu apko three white soldier pattern ke bare mein maloomat hasil karna hongi.es ly hamein apne knowledge ko zyada se zyada increase karna hoga tabhi hum forex trading mein expert ban sakte hai jab hamare pass tamam patterns ka knowledge hasil karna hoga.
            dear member aj hum three white soldier pattern ke bare mein complete maloomat lein gy.yeh aik bearish trend reversal candlestick pattern hai jo mostly bearish support level ke kareeb banta hai.yeh aik reversal candlestick pattern hai.es pattern ke dauran three consecutive bullish candles support level par banti hain jis ki vaja se hum es ko THREE WHITE SOLDIER CANLESTICK PATTERN kahtey hain.en candles ki bahut zyada importance hoti hai jis ki vaja se es pattern ke bare mein maloom karna zroori hai hum es pattern ko follow karke kamyab trader ban sakte hain.
            THREE WHITE SOLDIER PATTERN KA BANNA
            dear member ap knowledge ki madad se hi market ka trend maloom kar sakte hain.yeh pattern mostly tub banta hai jub top trend per market jane wali ho es trend mein mostly BULLISH CANDLES hoti hain aur three bullish candle hone ki vaja se hi eska naam three soldier pattern hai.es pattern ke duaran last small candle per big bullish candles banti hain jo without head and tail wali hoti haines tarah market exact apna trend up le jati hai aur es tarah ap es pattern ke mutabik apni trade ko open karke apni trade se acha profit hasil kar sakte hain aur forex mein kamyab businessman ban sakte hain.
            IDENTIFICATION
            es trend ki identification up tafseel se biyan ho chuki hai ye three bullish candles hoti hain aur har bullish candle aik strong bullish candle hoti hai jis ke head aur tail nhi hoti jis ap es ko asani se identify kar sakte hain.es trend ko follow karne se ap three candles tak asani se profit hasil kar sakty hain.
            • #7 Collapse

              Re: three white soldiers pattern ka tafseeli jaizah

              INTRODUCTION
              dear member umeed karta hn keh sub log thk honge forex trading mein kamyabi hasil karne ke lyie forex market ki movement ko different techniques ki madad se analyse karne ki different techniques ka tamam knowledge hona chachie tabhi ap forex market ki movement ko ache tarikey se analyse kar saktey hain aur forex trading mein kamyabi hasil kar sakte hain.dear member aj hum three white soldier pattern ke bare mein completely read karengey.
              THREE WHITE SOLDIER CANDLESTICK PATTERN
              dear forex member jis tarah naam se represent ho rha hai keh yeh aik three candles ka pattern hota hai jo zyada tar bullish candles par shamil hota hai es pattern ke dauran three bullish candles banti hain aur ye three candles without head and tales ke hoti hain jis ap andaza laga sakte hain keh ye kitni strong bullish candles hoti hain.ye pattern zyada tar support level se strong three bullish candles par mushtamil hota hai tu yeh THREE WHITE BULLISH SOLDIER CANDLESTICK PATTERN kahlata hai.islyie es pattern ko ache seread karen aur eska knowledge hasil karne ki try karen.
              trading with three white candlestick pattern
              dear memberthree white candlestick chart pattern aik important reversal bullish indicator hai jo keh hamen up trend ke bare mein btata hai.yeh pattern tub banta hai jub bottom level pe aik resistance small candle banti hai aur market apna trend tabdeel kar leti hai aur fori tour par aik strong bullish candle ban jaati jo top trend ko represent karti hai tu jub ap trading kar rhe ho tu apkoes tarah ke pattern ke bare mein maloom hona chahie aur is traha ka trend nazar any par apko pta chal jana chhie keh ab market up trend mein jana chahti hai tu apko fori tour par buy ki trade open kar deni chachie takeh ap apni trade se acha profit hasil kar saken.
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                Re: three white soldiers pattern ka tafseeli jaizah

                What Do Three White Soldiers Mean?



                three white sipahi aik blush candle stuck patteren hai jo qeematon ke chart mein mojooda kami ke rujhan ke ulat jane ki paish goi karne ke liye istemaal kya jata hai. patteren mein teen lagataar lambay jism wali shammen shaamil hain jo pichli mom batii ke asli jism ke andar khulti hain aur aik band jo pichli mom batii ki oonchai se ziyada hai. un mom btyon mein bohat lambay saaye nahi honay chahiye aur misali tor par patteren mein Sabiqa mom batii ke asli body ke andar khilna chahiye .

                Click image for larger version

Name:	types-of-3-white-soldiers-candlestick-patterns.jpg
Views:	36
Size:	31.3 کلوبائٹ
ID:	12408755

                How to Identify the Three White Soldiers

                teen safaid sipahi candle stuck patteren chart par qeemat ke amal ko bananay walay stock, commodity ya jore ke lehaaz se market ke jazbaat mein zabardast tabdeeli ka mahswara dete hain. jab aik mom batii chhootey ya baghair saaye ke sath band ho rahi hai, to yeh batata hai ke bail session ke liye qeemat ko range ke oopri hissay par rakhnay mein kamyaab ho gaye hain. bunyadi tor par, bail poooray session mein really ko sambhaal letay hain aur lagataar teen sishnon tak din ki oonchai ke qareeb pahonch jatay hain. is ke ilawa, patteren se pehlay deegar candle stuck patteren ho saktay hain jo ulat jane ki tajweez karte hain, jaisay doji.yeh teen safaid sipahiyon ki aik misaal hai jo vaneck vectors fallen angel high yeld bond exchange traded fund ke liye qeematon ke chart mein dikhayi day rahay hain .

                How to Use the Three White Soldiers to Identify Entry and Exit Points

                three safaid sipahi aik taiz basri namona hai, usay dakhlay ya kharji nuqta ke tor par istemaal kya jata hai. jin taajiron ke paas security ki kami hai woh bahar nikaltay hue nazar atay hain aur woh tajir jo taizi se position lainay ka intzaar kar rahay hain teen safaid faam fojion ko dakhlay ke mauqa ke tor par dekhte hain .teen safaid sipahiyon ke patteren ki tijarat karte waqt, yeh note karna zaroori hai ke ziyada mazboot harkatein earzi had se ziyada kharidari ke halaat peda kar sakti hain. rishta daar taaqat index ( rsi ), misaal ke tor par, ho sakta hai 70. 0 ki satah se oopar chala gaya ho. kuch mamlaat mein, teen sipahiyon ke patteren ke baad mazbooti ki mukhtasir muddat hoti hai, lekin qaleel aur darmiyani muddat ka taasub badastoor taiz rehta hai. ahem iqdaam aala muzahmati sthon tak bhi pahonch sakta hai jahan stock bulandi ko jari rakhnay se pehlay istehkaam ka tajurbah karsaktha hai .

                اب آن لائن

                Working...
                X