Support and resistance

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Support and resistance
    Forex market ek online business platform ha or is kam krna k leay hmain market k bary ma knowledge ka hona bahot zrori hota ha q k business koi bhe ho us ki basics ko smjhty bghair hum kbhe bhe comfortable or profitable trading nahin kr skty.Dear market ma trading krny k leay knowledge k sath sath kuch main points ko smjhna zrori hota ha or kuch important fectors k bary ma apny concept clear krny hoty hain.


    Explanation:
    Dear aj ka topic he yah ha k concept of resistance and support tw agr hum market ko smjhna chahty hain tw hmain market ma kuch cheezon yani resistance or support ka bary ma apny concept ko clear krna ho ga resistance or support kia hain or ye kia trha bnti hain or trader k leay q important hoti hain.


    General concept:
    Dear resistance or support k bary ma apny concept ko clear krna k leay in ko alag alag discuss krty hain or in ka concept forex market ma q ha is ko bhe discuss krty hain.


    Resistance:
    Dear kbhe kbhe market ma bhot ziada time k leay movement stop ho jati ha mtlb market ek he Price k aas pas resistance krti rahti ha is state ma trader k leay market kia mjhna asaani ho Jaya ha or trader market ma is lavel sy pahly market ko analysis krta ha or phr un analysis ko use kr k trading krty hain. Dear support or resistance lavel ki ak khaas bat ye ha k jb bhe market resistance lavel khtm hota ha tw us k bad support lavel start hota ha or support lavel khtm hota ha tw resistance lavel bnna shrou ho jata ha.

    Support:

    Dear support ko hum forex market ma resistance k upposite Kathy hain q k resistance ma market utni ziada movement nhn krti or resistance k bad down trend deti ha jb k support lavel py market apni peak py hoti ha or downward trend show krti ha dear market ma support or resistance ko identify krna bhot ziada important hota ha or is k leay technical analysis bhot important hain hum sirf technical analysis ki help sy market ki price or support ya resistance lavel ko identify kr k trade lga skty hain.


    Importance:
    Dear forex market ma agr ap resistance lavel py ya support py trading krna chahty hain tw ap ko petterns ko smjhna ho ga q k jb bhe resistance ka petterns bnta ha tw akser market ma wo upwards trend krta ha is sy hum market ma resistance lavel ko use kr k market k upword movement ko smjh skty hain.jb k support lavel ma hum market k downward movement ko ya phr downward movement ka andaza lga skty hain.


    Take profit strategy:
    Agr hum support or resistence lavel ko use kr k market ma upwards price movement or downward price movement ko identify kr lety hain or in labels k petterns ko smjh lety hain tw hmain market ma acha result milta rhy ga or hum planning or stretegy k sth profit bnaty rhain gy.

    Entry on Support Breakout:

    Market price man musalsal fall ki waja sa market price apny minor ya major support level per a ajti hai short term trading karny waly ager M30 ki ya H1 time frame ki candle support level sa nicha closing dy deti hain to is per trader ko Sell ki Trade active karni chahiye Aur "Stoploss" ko support level k oper place kerna chaheye aur "Take Profit" ko next support level per place kerna chahiye. Agar trader breakout par apni trade nahi ley pataa hai tu apko re-test ka wait karna cahiye retest hota hai aur is main haam trade ly sakty hain.

    Entry on Resistance Breakout:

    Jesa keh haam nay daikha support point paar tu usi tarah market main price gradually bullish tren main hoti hain tu market apny resistence point p jati hai aur yaah paar agar aap timeframe M30 AY H1 main daikhain tu amrket main bulls power resistence paar touch hony sy market ko nechy ly jati hai agar tu market main minor resistence hai tu is main yeah cahnces hain k merket main apko buy ki entry mil sakti hai aur sath main he apko retest main bhi achi entry mil sakti hai aur acha profit ho sakta hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Support and resistance

    Market mein support or resistance bht sy traders trading krty hain. Or profit earn krty hain. Market mein sport aur resistance bahut ahmiyat ki hamil hai market mein agar support ko market break Karti hai to isko re test karne lajmi aati hai aur agar resistance ko break Karti hai to isko bhi break karne lajmi aati hai support hamesha nichle level per banti hai aur resistance hamesha upar wale level per banti hai
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Support and resistance

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Support and Resistance


      Technical analysis k leye support aur resistance levels aik aham point k tawar par dekhe jate hen, jiss se prices aksar baar baar rebound ho jati hai. Ye levels analysis main market main entry, exit aur stop loss k leye istemal keye ja sakte hen. Support aur resistance zone do aham aur trading k leye strong point hote hen, jiss k bare main janna analysis k keye bohut aham hai. Jab bhi ye support aur resistance level breakout ho jatti hai, to ye samjha jatta hai k supply aur demand ki forces jinhon ne in sathon ko bannaya hai munttaqil ho gaye hai, aisi sorrat me naye support aur resistance levels k banne ka imkan hotta hai, jahan par assets ki supply aur demand main wazih tabdeeli a jati hai.



      Support


      Support prices k leye wo zone hota hai, jahan par sellers ki market main dilchaspi khatam ho jati hai, jiss se assets ki demand main supply ki nisbat izafa hona shoro ho jata hai. Support satah par qeematon ko nechay main dushwaree hotti hai, ye is waja se hotti hai, k jab bhi qeemat gerti hai, aur support level k qareeb atti hai, to market main buyers khareedne ki taraf ziadda mayel ho jatte hen, aur sellers market me ziadda kam mutaharek hotte hen, ye zone prices k taqat deti hai k yahan se prices mazeed nechay na jayen.



      Resistance


      Resistance wo zone hai jiss main buyers ki dilchaspi assets main khatam ho jati hai, aur assets ki value kam hoti ya demand kam ho jati hai, jiss se supply main izafa hota hai. Resistance levels stock ko mazzeed upper janne se roktti hai. Jab bhi kisi stock ki qeemat resistance levels k qareeb jatti hai, to us ko ziadda upper janne me mushkil pesh atti hai, is ki wajja ye hai, k jaise jaise prices resistance levels k qareeb pohunnchti hai, to sellers sell karne ki taraf mayyel ho jate hen, jo demand main izafay ka bahis bante hen.



      Explantion of Support and Resistance


      Support aur resistance k pechay market main buyers ki waja se demand aur sellers ki waja se supply main izafay ka sabab hote hen, ye levels stock main kisi bhi position par ban sakte hen, lekin wo position baar baar prices ko breakout se bachane k leye iss ko reject karti hai. Misal k tawar par buyers ka ek group support area main stock ko khareed rahe hotte hen, aggar yahan par support level $50 ka hai. Buyers $50 par kuch stock ko buy kartte hen, aur prices yahan se move kar $55 par challi jatti hai. Is par buyers khush hotte hen aur wo mazzeed $50 par stock khareedna chahte hen, lekin $55 par nahi. So wo faisela karrte hen jab bhi qeemat wapis $50 par jayegi to wo mazzed stocks ko bay karengay, yahan par wo $50 par demand set kartte hen.



      Ab aik dosra traders ka group aisa hai, jo k $50 par stock ko khareedne par tazzabzub ka shikar they, lekin $55 par stock janne ki waja se wo $50 par stock buy na katke pechta rahen hen, aur faisela karte hen, k jab bhi stock wapis $50 par jayega to wo lazzmi buy karengay aur wo bhi $50 par demand set kar lette hen.
      Ab buyers ka ek teesra aisa bhi group hai, jis ne $40 par stock ko buy kia hotta hai, lekin wo $50 par us ko sell karte hen. Lekin jab wo dekhtte hen k stock $55 pe chala gaya to wo apne selling par pechtate hen, is waja se wo bhi faisele kartte hen, k jab bhi aggar stock dobbara $50 pe ayega to wo khareedengay. Ye group bhi $50 par stock k leye demand set karte hen, jis se demand bohutt mazzbot hotti hai.
      Resistance k mesal main bhi hum stock ki maojooda qeemat $50 hi tasawar kartte hen, aur buyers stock ko $50 par buy karte hen. Ab aggar qeemat $50 se $55 par chali jatti hai, to traders koshash kartte hen, k wo stock ko $55 par sell karden, bajaye ia k keh ye wapis $50 par aye, aur maximum traders aisa hi karrne ki koshash karrte hen. Jab bohut zyada miqdar main stock market me ferokht k leye pesh hogga to qeematen wapis support level ki taraf chalna shoro kartti hai. Stock par teen qisam k groups ka bohut ziadda pressure parne ki waja se stock $50 k level se wapis mor jata hai, lekin $50 par dobara demand ziadda hone ki waja se qeematen mazzeed nachay nahi jatti hen.
      Technical analysis main ka aik key concept hai k jab bhi prices support aur resistance levels kp breakout kartti hai, to is ka role reversal ho jata hai. Aggar qeemat support level se nechay atti hai to wo level resistance ban jayegi, aur aggar qeemat resistance level se upper jatti hai to ye aksar support level ban jatti hai. Jaise jaise qeemat support ya resistance levels se guzzarti hai, to ye khayal kia jata hai, k supply aur demand main tabdelli aye hai, jis ki waja se ye tabdeeli reversal role kartti hai, aur prices main faraq parhna shoro hota hai.

      Trading


      Support aur resistance levels trading k leye market main entry exit aur stop loss k leye bohut hi ziada zarori aur aham points hen. Traders lazmi trades entry leye support aur resistance indicators ko trading main istemal karte hen. Support aur resistance indicators main sab se ziada istemal hone wala indicators main fabonacci retracement aur extension indicator, pivot point indicator hai. Ye indicators prices ki bunyadi support aur resistance levels ki information dete hen, jiss ko buy, sell, stop loss aur take profit k leye istemal kia ja sakta hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X