Trading With Hammer Candlestick Pattern & Details...!

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading With Hammer Candlestick Pattern & Details...!
    Asslam.u.Aliakum Dosto...

    dosto umeed ha k ap sab kheriat sa hon ga, aur forex market sa daily basis per ak acha gain le raha hon ga. Dear traders forex trading ak risky business ha is man traders ko bhot losses hota han. Isliye forex ko acha sa seekh ker karain.

    Importance of Candlestick Patterns:

    dosto forex trading k doran trader currency pairs aur commodities ki price movements ko smajhna k liye price chart ko read kerta ha, q k price chart patterns man changes, momentum aur price k trend man change ko accuracy k sath identify kerta ha. Candlestick Patterns currency pairs aur commodities k price chart man price ki movement ko track kerna k liye use hona wala most important technical tool han. Trader forex trading man kisi b currency pair ya commodity ko buy/sell kerna k liye candlestick patterns per depend kerta ha. Aj man apka sath ""Hammer Candlestick Pattern"" per trading k related apna knowledge share krta hun.

    Hammer Candlestick Pattern:

    dosto hammer candlestick bhot important candlestick hai or es ki formation ki bat karyn to es candlestick ki long wick hoti hai or es ki body small hoti hai. Agr dekha jaye to es ki wick es ki body ki lenght k double in size hoti hai. Ye candle chart ma frequently nazar ati hai or ye trend k bary ma analysis karny ma help karti hai. Hammer candlestick downward trend k end par nazar ati hai or ye indicate karti hai k market ma bullish trend any wala hai. Es candlestick ki 2 types hoti hai but important en ma bullish hammer candlestick ko he samja jata hai. Bullish hammer candlestick ki small bullish body hoti hai or long tail hoti hai. Click image for larger version

Name:	images (31).jpeg
Views:	14
Size:	35.1 کلوبائٹ
ID:	12544151

    Identification of Hammer Candlestick Pattern in Price Chart:

    Hammer Candlestick Pattern price k bullish trend ko bearish trend man change ker deta ha is liye is pattern ko Bullish Candlestick Pattern kehta han. Hammer Candlestick Pattern two candles per moshtamil hota ha.

    1) Is pattern man first candle Day-1 ki Hammer Candlestick banti ha, jo buyers aur sellers k dermiyan indecision ko batati hai.

    2) Is pattern man second candle Day-2 ki long real body ki bullish candle banti ha, jo first candle ki real body k sath gap-up k sath open hoti hai.
    Hammer Candlestick ki lower long wick no price action area man banna bhot zarori ha. Ager long wick no price action man ho to ye candle trend reversal ka signal deta ha lakin ager long wick price action area man ho to isko ""Fake Hammer Candlestick"" kehta han aur ye current trend ki continuation ka signal deti hai. Click image for larger version

Name:	images (51).png
Views:	18
Size:	11.9 کلوبائٹ
ID:	12544152

    Trading with Hammer Candlestick pattern:

    dear friends is topic mn apko bahut impirtant bat pata chly ga isko lazmi read krna Hammer Candlestick Pattern pr trading krny k liye trader ko es pattern ko complete hona ka wait krna chahiye Jb yeh pattern complete ho jy to trader ko chaheye k wo new candle k open pr buy ki trade lga dyn or safe trading k liye zaruri hy k trader es trade k sath Stoploss or Take Profit ka use krein. Hammer Candlestick Pattern pr trading k doran trader ko Stoploss hammer candlestick ke low sy down place krein or Take Profit ko next resistance levels pr place karain is pattern ko smjhny k liye hmary pas knowledge Hona bht zaruri Hy.agr knowledge mahi hoga to hum is main acha kam aur achi trade nahi laga sakty is kiliye mehnat bahut zaruri hai. Click image for larger version

Name:	images (50).png
Views:	21
Size:	12.6 کلوبائٹ
ID:	12544153
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Trading With Hammer Candlestick Pattern &amp; Details...!

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Hammer Candlestick


    Hammer candlestick aik long lower tail k sath short body ki candle stick pattern banti hai. Candle ki open aur close price aik dosre k qareeb hone chaheye. Ye candle dekhne main doji candles ki tarah lagti hai, lekin doji candlestick se mukhtalif hoti hai, q k doji candlesticks me body banti hi nahi hai aur is me short body hoti hai. Hammer ki aik long lower tail is baat ka ishara karti hai, k ab yahan se price reject ho gaye hai. Is waja se wo dosre(reversal) semat me apne trend ko continue karti hai. Is me trend ki semat (reversal) change nahi hoti hai bulke jo candlestick hammer banti hai us k tail ki reversal trend shoro hoti hai. Hammer candlestick pattern bullish aur bearish dono tarah ki candle main ho sakti hai, lekin market aur prices k ziada lower area main hone ki waja se ye bullish trend reversal k leye ziada mashahoor candles hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (198).png
Views:	65
Size:	20.5 کلوبائٹ
ID:	12408336

    Candles Formation


    Hammer candle prices k bottom main ziada supply aur kam demand k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k downward side main kisi bhi color ki real body main ho sakti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;

    Click image for larger version

Name:	hammer-1024 (1).jpg
Views:	37
Size:	51.1 کلوبائٹ
ID:	12408337

    Hammer [COLOR="#006400]Candle:[/COLOR] Hammer candlestick agar prices k bottom main banti hai, to ye bullish ya bearish dono main se jiss color main bhi ban jaye, ye bullish candle hi tasawar ki jati hai, q k ye point trend reversal ki position ho sakti hai. Candle k leye prices k position zarori hai, color nahi hai.

    Explanation

    Hammer candlestick price chart par aksar bottom ya top prices par nazar ati hai aur aksar issi position prices reversal ho jati hai. Ye candle aik spike ki sorat main nazar ati hai, jab bhi kisi strong news ki waja se prices teezi k sath downward fall karne k baad wapis apne upper open price k qareeb ja kar close hoti hai. Ye candle aik long lower shadow k sath hoti hai, jiss k upper side psr aik small real body hoti hai. Candle k upper side par small wick banne se candle ki performance par koi asar nahi parta hai, lekin ziada lamba shadow banne se candle ki hososeyat neutral ho jayi hai. Real body ka color kisi khas pattern ka hona zarori nahi hai, lekin iss candle ki lower prices main hona ziada aham hai. Dekhne main ye candle bottom prices par banne wali dragonfly doji candle ki hi tarah lagti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (199).png
Views:	2
Size:	9.0 کلوبائٹ
ID:	12408338

    Trading

    Hammer candle prices k bottom main ziada bearish pressure parne par banti hai, jiss se aik small real body ki candle k lower side par aik lamba saya hota hai, jo k candle k real body se taqreeban dugna ya uss se bhi ziada banta hai. Ye candle aik strong bullish signal genrate karti hai, jiss par confirmation k baad buy ki entry ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bullish real body main hona zarori hai, jab k bearish candle banne se ye candle invalid ho jati hai. CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main trade karni chaheye, jis se confirmation aur bhi ziada mustehkam hoti hai. Stop Loss pattern k sab se lower position ya candle k shadow k lower side par jo k prices k leye support level hoti hai, se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (197).png
Views:	45
Size:	13.1 کلوبائٹ
ID:	12408335
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Trading With Hammer Candlestick Pattern &amp; Details...!

      Hammer Candle


      Introduction

      Hammer aik trend reversal candlestick pattern hai, jo umoman prices ko uptrend main badalta hai, aur ye prices k bottom par ya bearish trend k baad paya jata hai. Hammer candle aik strong bullish trend reversal candle hai. Candle ki real body bohut small hoti hai, jo k umoman candle ki shadow k muqabele main adhi hoti hai, yani shadow bohut ziada lengthi hota hai. Ye candle upper side par shadow nahi rakhti hai, lekin bohut small si wick mumkin hai, jo k candle ki formation par ziada asar andaz nahi hoti hai. Hammer candle ki real body ka open aur close same nahi hona chaheye, take ye candle dekhne main dragonfly doji candle s3 mukhtalif dekhaye den. Price chart pattern par baaz awqat single candles bhi dosre candlestick charts pattern ki tarah k asarat rakhte hen, jab bhi ye candles prices k top ya bottom par bante hen. Hammer candle bhi aik single candle pattern hai, jo k prices k bottom ya bearish trend main banti hai. Hammer candle k aik small real body hoti hai, jiss ka lower side par aik lon shadow banti hai. Ye shadow hammer candle ki real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai.

      Click image for larger version

Name:	images (3) (203).png
Views:	45
Size:	16.1 کلوبائٹ
ID:	12408341

      Candle ki Pehchan k Rules
      1. Hammer candle k leye prices ka lower, bottom ya bearish trend hona zarori hai, ye candle aik bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai.
      2. Candle ki real body small honi chaheye, jis ka open aur close same nahi hona chaheye.
      3. Candle k lower side par aik long shadow honi chaheye.
      4. Candle ki shadow real body k muqabele main double size main ya uss se ziada hona hai.
      5. Candle ki real body black ya white dono ho sakti hai, lekin agar green ho to ziada behtar hai.


      Click image for larger version

Name:	images (2) (95).jpeg
Views:	4
Size:	9.1 کلوبائٹ
ID:	12408342

      Pattern ki Tafseel


      Hammer candle single pattern candle hai, jiss ka lower side par aik long real body hoti hai, jab k candle ki real body shadow k muqabele main bohut small hoti hai. Candle ki real body ka open aur close same price par nahi hona chaheye, jab k real body kisi bhi color main ho sakti hai, lekinagar ye candle lower prices par bullish banti hai to ye pattern se ziada mushabehat rakhti hai. Candle ka upper side par shadow nahi hona chaheye, lekin chota sa small wick acceptable hai. Hammer candle ki volume aksar pechle do candles se ziada hota hai. Ye candle aik small real body, jiss ka open aur close same nahi hona chaheye, k sath lower side par aik long shadow rakhti hai. Candle ka shadow real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Candle k real body k upper side par aik small si wick to acceptable hai, lekin ziada lengthi nahi hona chaheye, jiss se candle ki hososeyat par faraq par jata ho, lekin bagher upper shadow ki ye candle ziada perfect hoti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (3) (202).png
Views:	1
Size:	5.6 کلوبائٹ
ID:	12408343

      Pattern par Trading


      Hammer candle k prices k bottom par buyers aur sellers k psychology ki waja se banti hai. Jab bhi sellers prices ko bearish push karti hai, lekin usi time buyers bhi market main active ho kar prices ko mazeed nechay nahi jane deti haito us waqat ye candle banti hai. Prices ka bottom hone ki waja se prices trend reversal main badal jati hai. Prices aik small real body wali candle hoti hai, jis ka lower side par aik long real body hoti hai, jab k stop loss pattern k lower side par set karen. Ye candle bullish trend ya top prices par banne wali Hanging Man candle ki tarah hi hoti hai, lekin prices ki position change hoti hai. Hammer candle ki inverse Inverted Hammer candle hoti hai, jo k same bearish trend main bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Hammer candle par trade entry se pehle iss ki bearish trend ya bottom prices position ka hona bohut ziada zarori hai.

      Click image for larger version

Name:	images (3) (196).png
Views:	41
Size:	18.3 کلوبائٹ
ID:	12408340

      اب آن لائن

      Working...
      X