Doji Candelistic pattern?
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Doji Candelistic pattern?
    Doji — ya ziyada durust tor par," Doji" — aik session ka naam hai jis mein security ke liye candle stick khuli aur band hoti hai jo amli tor par barabar hoti hai aur aksar patteren ke ajzaa hotay hain. doji mom batian aik cross, ulti cross, ya jama nishaan ki terhan nazar aati hain. akailey, doji ghair janabdaar patteren hain jo kayi ahem namonon mein bhi numaya hain .


    Features of Dogi candele pattern:


    1 Doji aik session ka naam hai jis mein security ke liye candle stick khuli aur band hoti hai jo amli tor par barabar hoti hai aur aksar patteren mein ajzaa hotay hain.


    2 akailey, doji ghair janabdaar patteren hain jo kayi ahem namonon mein bhi numaya hain.



    3 doji farmission teen barri aqsam mein aati hai : qabar ka pathar, lambi tangon wala, aur drign flayi .


    Example!


    mandarja zail chart cyanotech corp. ( cyan ) ke stock mein se aik ahem high volume up trained ke baad aik grave stone doji dekhata hai, jo break out ke baad qareebi muddat mein mandi ke ulat jane ki nishandahi kar sakta hai .



    is misaal mein, qabar ka pathar doji bal tarteeb $ 4. 16 aur $ 4. 08 par 50- ya 200 din ki harkat pazeeri ost ke qareeb khalaa ko khatam karne ke liye mojooda sthon se mazeed kharabi ki paish goi kar sakta hai. tajir mumkina kharabi ki tasdeeq ke liye deegar takneeki asharion par bhi aik nazar dalain ge, jaisay ke rishta daar taaqat index ( rsi ) ya moving average knorjns divergence ( macd ). day traders oopri saaye ke bilkul oopar taqreeban $ 5. 10 par stap las bhi laga satke hain, halaank darmiyani muddat ke tajir rokay jane se bachney ke liye ziyada stap las laga satke hain .













  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Doji Candelistic pattern?

    Doji Candlestick Pattern



    Jab bhi market me qeematon ka opening aur closing aik hi point pe ho to ye doji candle stick hoti hai, is me candle ka up ya down aik lamba ya chota saya ho sakta hai lekin closing position same opening position pe hi hogi. Doji candlestick patterns ka istemal market trend ka strong reversal ya trend k tasalsul ko zahir karta hai. Doji candle stick pattern ko market me aik payedar pattern tasawar kia jata hai. Doji candle ka jitna ziada time frame hoga, utna hi ye acha signal genrate karega. Doji signal akele qeematon ka khud rukh nahi badalta, bulke is k leye agli candles ka hona bhi zarori hota hai. Forex trading market me aam tawar par istemal hone wali doji candles ki char (four) aqsam hen:

    Click image for larger version

Name:	images (107).jpeg
Views:	6
Size:	24.5 کلوبائٹ
ID:	12408181

    Star Doji Candle



    Jab bhi qeematen aik aisi candle create kare, jis ka open, close, up aur down same length k hon aur ye aik plus ya star ko show karen to ye dogi candle stick star candle stick hogi. Star Candlestick ko aam tawar par neutral candle tasawar kia jata hai, q k is position pe na to market me buyers ka pressure hota hai aur na hi sellers ka. Star doji banne pe market dump tasawar kia jata hai.

    Long-legged Doji candle



    Long-legged doji candle market me us waqat ban jati hai, jab qeematen bohut ziada volitile ho rahi ho, lekin pher bhi candle ka opening aur closing point aik hi hota hai, aur ye candle up aur down side pe aik lamba saya banata hai. Ye candle bhi market me neutral hoti hai lekin aik strong buyers aur sellers k dabao k bad.

    Gravestone Doji candle



    Gravestone doji candle ka upside pe to aik lamba saya hota hai lekin down side, opening aur closing position aik hi hoti hai. Gravestone Doji ko market me aik bearish candle k tawar pe dekha jata hai, q market me buyers k dabao ki waja se ye candle pehel up chali jati hai aur bad me wapis apni position pe a k close ho jati hai.

    Dragonfly Doji Candle


    Dragonfly doji candle me down side pe aik lamba saya ban jata hai, lekin candle ki opening aur closing same position pe hoti hai. Is candle me downside pe qeematen jane k bad wapis bullish jane ki koshash karti hai is waja se is candle ko market me bullish candle tasawar kia jata hai.

    Doji Candlestick pe Trading



    Forex trading me doji candle bohut ahmeyat wali candles hen, ye market ki trend reversal aur continuation dono k leye istemal ho sakti hai. Doji candle k bad trend ka inhesar doji k bad banne wali candle pe hota hai, agar agli candle bullish banti hai to trend ka bullish jane k ziada chances hote hen, agar agar bearish candle banti hai to trend bhi bearish hota hai. Lekin agar doji candle k bad normal size se kam choti choti candle banti hai yo ye market k sideways trend ko show karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (106).jpeg
Views:	21
Size:	23.8 کلوبائٹ
ID:	12408182

    اب آن لائن

    Working...
    X