Average True Range (ATR) Kiya hai ?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Average True Range (ATR) Kiya hai ?
    Average True range ( ATR )

    average true range aik takneeki indicator hai jo kisi asasay ki qeemat ke utaar charhao ko manpta hai .chunkay (ATR) aik utaar charhao ka indicator hai. yeh zahir karta hai ke aik muqarara waqt ke douran aosatan qeemat mein kitna utaar charhao aata hai .average true range ( ATR ) makhsoos muddat ke douran haqeeqi ranges ki ost hai. average true range qeematon ki naqal o harkat mein kisi bhi farq ko mad e nazar rakhtay hue utaar charhao ki pemaiesh karta hai. aam tor par, ae tea are ka hisaab 14 adwaar par mabni hota hai, jo intra day, rozana, hafta waar ya mahana ho sakta hai .usay welles wilder ne apni kitaab," technical trading systems mein naye tasawurat" mein muta-arif karaya tha. herat angaiz baat yeh hai ke is kitaab mein parabolic sar, RSI, aur direcational movement ka tasawwur ( ADX) bhi shaamil hai .jab qeemat mein utaar charhao bara aur taiz hota hai to ost sahih range aik aala qader tak pahonch sakti hai .isharay ki kam qadren lambay doraniye ki side way harkat ke adwaar ke liye makhsoos hain jo market ke oopri hissay mein aur consolidation ke douran hoti hain .average true range ( ATR ) ki tashreeh darj zail tareeqay se ki ja sakti hai .isharay ki qader jitni ziyada hogi, rujhan mein tabdeeli ka imkaan itna hi ziyada hoga .indicator ki qader jitni kam hogi, rujhan ki harkat itni hi kamzor hogi .

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_2022-07-09-15-00-19-59.png
Views:	1
Size:	54.1 کلوبائٹ
ID:	12543889

    Ahem Baten:

    Average True Range ( ATR) takneeki tajzia mein istemaal honay wali market mein utaar charhao ka ishara hai .yeh aam tor par true range ke indcators ki aik series ke 14 din ki simple moving average se akhaz kya jata hai .ATR asal mein ashya ki mandiyon mein istemaal ke liye tayyar kya gaya tha lekin is ke baad se har qisam ki securties par laago kya gaya hai .
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Average True Range (ATR) Kiya hai ?

    Assalamualaikum dear forex membersKesy hain sab kheriyat sy hongy ap ny boht sary indicators ki study ki hogi aj main ap sab sy ak important average true range indicator k bary main kuch information share karnga k apny isko kesy use karna hai or kesy trade leni hai to apko is sy acha knowledge mily ga or faida hoga

    Average true range kia hai?
    Dear members average true range ATR ek technical indicator hai jo oscillator market sy hai or market main volatility ko measure karta hai by decomposing the price for that period true range infact eek moving average hoti hai jo k 14 days ki hoti hai isy ap apni merzi sy bhi change kar skty hain
    Volatility is situation ko kehty hain jab jab market main kafi ziada trading volume ho or prices tezi sy tabdeel ho rhi h ye time bhi trading k liye best hota hai or risky bhi ager ap achi entry lety hain to volatile market mein acha profit mil sakta hai or average true range indicator isi chez main apki help karta hai or kis time market mai volatility hai ta k ap achi entry ly saky ziada tar traders in indicators ko trade exit karny k liye use karty hain qk jab low volatility me to price boht ahista move karti hai tab trader exit kr lety hain ye indicator position sizing main bhi help karta hai k kitny size sy kab entry leni hai

    Click image for larger version

Name:	ATR.png
Views:	1
Size:	161.9 کلوبائٹ
ID:	12411132
    Average true range indicator ko kesy Use kia jata hai??
    Dear members true range indicator closing price py apply hota hai or ye humy perfecr signal nahi deta sell ka or buy ka lkin phr bhi ye humy. Trading main madad deta hai ager price ATR k closing k uper trade karti hai to hum yahan sy buy ki trade ly sakty hain jb asa hota hai to iska mtlb hai k volatility change ho chuki hai or ab price uper ki trf jaye gi is liye hum long position lety hain


    Click image for larger version

Name:	ATR2.png
Views:	1
Size:	159.7 کلوبائٹ
ID:	12411133
    Average true range ki limitations #
    Dear members (ATR) ki pehli or ahm limitation ye hai k ye indicator humy sirf kr sirf volatility k bary main batata hai ye market k trend or directionk bary main nahi batata is k sath sath humy koi trend indicator bhi use karna chahye ta k hum isko sath main use kark confirmatiom k bad trade len or hamari trade profit main jayen or dosra ye humy is bary main bhi ni batata k trend kab reverse hona hai or kab tak koi trend continue rehna hai

    اب آن لائن

    Working...
    X