Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Belt-Hold Pattern
Bullish belt-hold pattern aik strong bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k downtrend ya low price area main banta hai. Ye pattern dekhne main same "Piercing Line Pattern" ya "Bullish Thrusting Line Pattern" jaisa dekhaye deta hai, lekin dosri bullish candle ki shape thori si difference honne ki waja se ye uss mukhtalif ban jata hai. Ye pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle bearish aur dosri bullish candle hoti hai. Bullish candle ki haseyat ki waja se ye pattern bullish trend reversal ka kaam karta hai, dosra iss candle ki strongness ki waja se iss pattern ko single candle pattern bhi kaha jata hai.
Candles Formation
Bullish belt-hold pattern ko ko kuch analyst single bullish candle bhi tasawar karte hen, q k iss ki haseyat ki waja se hi pattern bullish trend reversal ka kaam karta hai, jab kuch trader pehli candle k mutabiq dosree candle ki reference banate hen, jiss se ye pattern two candles ka ban jata hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish Belt-Hold Pattern main pehli candle bearish trend k mutabiq hoti hai, iss waja se ye candle aik strong real body main aur black ya red color ki hoti hai.
2. Second Candle: Bullish Belt-Hold Pattern ki dosree candle aik strong real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka open bagher wick ya shadow k hota hai aur ye pehli candle k below gap main open hoti hai, jab k close pehli candle k midpoint ya 50% hissey se above hoti hai. Ye candle bullish trend reversal main aham kirdar ada karti hai.
Explaination
Bullish belt-hold pattern two days candle ka aik bullish trend reversal pattern hai, jo k bearish trend ya low prices area main banta hai. Ye pattern dekhne main ya formation main same "Piercing Line Pattern" aur " Bearish Thrusting Line Pattern" jaisa hi hai, lekin candles ki mamoli si difference ki waja se ye unn se different ban jata hai. "Piercing Line Pattern" k opening side par aik small wick ya shadow hoti hai, jab k belt hold line candle k dosri candle ki shadow ya wick nahi hoti. Jab k "Bearish Thrusting Line Pattern" aik bearish trend continuation pattern hai, aur dosri candle ka high pehle candle k 50% se kam hone ki waja se iss se difference ban jata hai.
Trading
Bullish belt-hold line pattern ki pehli candle normal bearish trend wali candle hoti hai, jo k prices k bearish trend ki alamat hoti hai, jab k dosri candle pehli candle k nechay gap main open honne k bawajood close pehli candle k 50% se above area main hoti hai, jiss se dosri candle ki mazboti zaher hoti hai. Dosri candle k lower side par koi shadow ya wick nahi banta hai, yanni opening prices se hi candle upward jati hai. Bullish belt-hold pattern par trading se pehle market ka downtrend ya prices ka low honna zarori hai. Pattern par trading se pehle trend confirmation ka honna zarori hai. Trend confirmation price action se bhi ho sakti hai aur kisi reliable indicator se bhi ho sakti hai. Pattern k dosri candle k bad agar aik real body bullish candle banti hai, to yahan par market main entry ki ja sakti hai. Stop Loss pattern k sab se lowest point jo umoman dosree candle ka lower ya open banta hai, se aik ya do pips down par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим