Complete Explaination of Margin & Margin Call in forex .....

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Complete Explaination of Margin & Margin Call in forex .....
    Introduction.
    Salam to all friends ksay hian ap sab dear friends aj hum bhot hi aham topic pr bat krain jis ka title margin or margin call hy agr ap is topic ko achi trha smjh lety hian to ap ko trading mian acha khasa faida hasil ho ga.


    Explain The Margin.

    Dear Friends Jab bhi aik trader ya invester kisi forex broker k sath margin account kholta (open) hai, to us trader pe ye lazim hai k wo broker k mang (requirements) k mutabiq kam se kam raqam jama karen. Ye kam se kam raqam (Money) har aik broker ka alihda hota hai. brokers ka ye raqam kam se kam $10 (kuch brokers to $1 bhi accept kar lete hen) aur ziada se ziada $100,000 tak ho sakta hai.
    Jab bhi aik trader forex market me trade open karta hai to aik khas miqdar me us k account se kuch hisa kam ho jata hai, ye hisa trader k trading position (small or large) par munhasir hota hai, jis ko lot kaha jata hai. Lot size hamesha base currency k mutabiq hota hai. Aam tawar par aik lot 100,000 units par mushtamil hota hai. Ziada tar brokers traders/investors ko Standard lot size (100,000 units), Mini lot size (10,000 units) aur Micro lot size (1000 units) ki sahulat muhaya karte hen. Kuch brokers ne to Nano lot size (100 units) me bhi trading dena shoro ki hai.

    Click image for larger version

Name:	margin.png
Views:	2
Size:	40.8 کلوبائٹ
ID:	12543854
    Explain The Margin call.
    Dear Friends Forex trading market me taqreeban tamam brokers apne traders k account ko dekh (observe) kar rahe hote hen. Agar traders/investors ka account margin 80% se kam hota hai to wo apne client ko email ya notification k zarye se agah karega. Agar trader ka account 50% par a jata hai to us sorat me brokers kuch trades ko close karega, ya apne client ko aur raqam apne account me deposit karne ko kahega. Is amal se wo apne client’s k account ko mehfoz karne ki koshash karte hen. Agar account ka magin bohut kam level pe a jata hai to us sorat me brokers tamam trades ko bhi band kar sakta hai. Margin call har aik broker ka alihda ho sakta hai. Is me traders se koi raye nahi le jati k wo kis position pe apne margin call ko muntakhib (select) karte hen. Albata margin call ko traders apne account k leverage ko kam ya ziada karne se badal kar sakte hen.

    Click image for larger version

Name:	margin-call-level-100-and-stop-out-level-50-diagram.png
Views:	3
Size:	12.1 کلوبائٹ
ID:	12543855
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Complete Explaination of Margin &amp; Margin Call in forex .....

    Hello Forex trader.
    Aj mein apko margin or margin call ka know dena chahun ga.
    Forex margin aik faith deposit hai. Jisy aik trader trade shuru krny keliey as aGuarantee k Tor py rakhta hai. basically ye wo minimum raqam hai. Jis ki zaroorat
    Trading account mein new position kholny keliey Hoti hai.
    Ye aam Tor py ghair mulki currency ki trading ki tasawurati qadar k percentage k Tor pr
    Btai jati hai.
    Forex trade k margin ka calculate lgany ka formula asaan hai.
    Sirf trade k size ko margin percentage sy multiply krden. Phir apny account mein Baki
    Equity sy tmaam trades krliey istimaal honey Waly margin ko kam krden.
    Result wo miqdaar hai. Jo ap ny chora hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X