Demand And Supply in Forex Trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Demand And Supply in Forex Trading
    What is Demand And Supply.?
    Demand or supply ka mtlb ye hota hai k cheezon or khidmaat ki wo miqdaar hai, jo logon k kharidny keliey available hoti hai.
    is k muqably mein jo log kharidny chahty hain, agr koi product awaam ki khawahish sy kam matlab thori paida ho to isko demand
    and supply ka qanoon kehty hain, k cheezon keliey ziada qeemat wasool ki ja skti hai,
    Demand or supply ki pic k zariey bhi apka concept clear kr deta hn mein,
    Click image for larger version

Name:	demand and supply.jpg
Views:	1
Size:	32.2 کلوبائٹ
ID:	12543837
    Supply:
    kisi bhi cheez ki asaani sy availability ko supply kehty hain,
    for example USA kisi product ki daily ki ten million dollars ki productiojn krta hai.
    Click image for larger version

Name:	supplu.png
Views:	13
Size:	80.9 کلوبائٹ
ID:	12543838

    Demand:
    kisi bhi cheez ki maang ko demand kehty hain,
    for example pakistan ko daily ki buniyaad par 100 beral oil ki demand hai.
    Click image for larger version

Name:	Demand-Zone-Example.png
Views:	4
Size:	23.2 کلوبائٹ
ID:	12543839

    Difference between Demand and Supply:
    Demand or supply kisi bhi cheez ki kharidari mein aham kirdaar adaa krti hai, for example kisi cheez ki supply ziada ho
    oe demand kam ho, jaisa k pakistan mein aalu ki supply ziada or demand kam hai, jis ki wja sy price neechy aa jati hai,
    isko supply kehty hain, isi trah kisi cheez ki maang ziada ho or supply kam ho to price increase hona shuru ho jati hai,
    for example cooking oil ki demand ziada hai,or supply kam hai, to is wja sy price increase hona shuru ho jati hai,

    Pattern of demand and supply:
    demand or supply k four patterns hain,
    1: Rally Base Rally
    2: Drop Base Rally
    3: Drop Base Drop
    4: Rally Base Drop
    Demand or supply bht asaan c strategy hai. jis ko agr forex trader achi trah samjh k or seekh k forex trading shuru krta hai,
    to forex trader ko nuksaan k chances kam or profit ratio barh jati hai. or wo aik acha trader bn jata hai,
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Demand And Supply in Forex Trading

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Supply and Demand


    Financial market main kisi assets ki value ya qeemat hamesha se aik hi position par barqarar nahi reh sakti hai, jab bhi uss ki demand barhti hai, to uss ki value main izzafa hota hai, value main izzafa hone se uss ki prices bhi increase hona shoro karti hai, jo humen line graph upward jata houa ya bullish candles bante howe dekhaye deta hai. Lekin iss k bar akas jab bhi kisi item ya assets ki demand value kam hoti hai, to uss k sayh hi supply main izzafa hona shoro hota hai, jiss se vlaue main kami waqea hona shoro hoti hai, value main kami ka matlab hoga k qeematen kam hongi. Financial markets supply aur demand k rules k mutabiq chalti hai, jiss main kabhi aik increase hota hai to kabhi dosra, jiss se prices stable nahi rehti aur updown movement karti rehti hia.

    Click image for larger version

Name:	images (83).jpeg
Views:	6
Size:	37.2 کلوبائٹ
ID:	12433725

    Supply Zone


    Financial market main kisi assets k price chart par ye wo zone hota hai, jahan par market main talab yani demand taqreeba khatam ho chuki hoti hai aur yahan par supply apne urooj par pohunch chuki hoti hai. Supply zone hamesha chart pattern par upward side par hoga, jo k aam tawar par resistance level se bhi jana jata hai. Iss level par assets ki mazeed talab kam ho jati hai aur ziada tar chances hote hen, k un ki ziada supply ki waja se qeematen yakdam ger jayengi.

    Click image for larger version

Name:	images (117).png
Views:	4
Size:	19.4 کلوبائٹ
ID:	12433726

    Demand Zone

    Financial market main kisi bhi assets ka sab se kam qeemat area jahan par aksar ziada demand peda hone ka hadsha hota hai, jiss se qeematen increase hone ka hadsha hota hai. Iss position par supply bohut ziada ho chuki hoti hai, aur mazeed supply main kami waqea hoti hai. Ye zone price chart par support level bhi kehlata hai, q k aksar prices iss level se wapis ziada demand ki waja se upper jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (118).png
Views:	8
Size:	23.4 کلوبائٹ
ID:	12433727

    Supply aur Demand main Faraq

    Supply aur demand zone main aik wazih faraq hota hai, jin levels ko prices baar baar touch karke nechay gerti hai, wo levels supply zone hota hai, jo resistance levels bhi kehlata hai. Jab wo zone jiss se prices baar baar upper side par movement karne ki koshash karti hai, lekin baar baar touch karne par bhi nechay nahi jati hai, to ye position demand zone hota hai, jiss ko support level bhi kaha jata hai. Supply zone par hamesha demand main kami waqea ho chuki hoti hai, jab k demand zone main hamesha supply ki kami hoti hai. Ye area prices k upper ya lower sides par breakout hone k chances hote hen.

    Click image for larger version

Name:	images (84).jpeg
Views:	1
Size:	32.6 کلوبائٹ
ID:	12433728

    Trading

    Financial market main aik aseets ki prices updown hoti hai, jiss se traders market main buy ya sell se entry karne profit hasil karne ki koshash karte hen. Traders hamesha supply zone ya resistance level par sell ki trades se entry karte hen, jab k demnad zone ya support levels par buy ki entry karte hen. Agar prices sirf aik mehdod supply aur demand zone k darmeyan trades kar rahi ho to uss sorat main ye range trading hogi, lekin lazmi nahi hai k prices hamesha aik do levels k darmeyan hi trades karen, q k kabhi kabhi ye levels ya zone breakout bhi ho jate hen. Zone ya levels k breakout hone k baad prices new supply aur demand zone create karti hai aur financial market ka silsela chalta rehta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (85).jpeg
Views:	2
Size:	23.1 کلوبائٹ
ID:	12433729

    اب آن لائن

    Working...
    X