Supply And Demand Zones Drtailed Information
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Supply And Demand Zones Drtailed Information
    Introduction
    Asslam O Alikum doaro aaj ka hamara topic market ke us buniyadi point par hay jis par market ka daromadar hay aur jo moviment market ke hawale se chart main banti hay woh supply aur demand ke waja se he zahir hoti hay to ayye hum is bat par detail ke sath roshni dalte hain aur samajhne ke koshish karte hain take is buniyad se fayda uthaya ja sake

    Under Discussion
    1 Supply And Demand Kiya Hota hay
    2 Supply Aur Demand Main Kya Mukhtlaif Hay
    3 Supply Zone
    4 Demand Zone

    Supply And Demand Kiya Hota hay
    Supply aur demand forex me do aesi chezen hyn jin ka market pe bohat asar hota hy in se hi product ki price ka pata chalta hy k kis chez ki value barrh rhi hy or kis waja se barrh rhi hy or kis chez ki value kam ho rhi hy or kis waja se ho rhi hy ye sara price ki up down ka nateeja isi supply or demand pe depend kr rha hota hy aj ham in k is topic pe baat shuru krty hyn
    Click image for larger version

Name:	images (7).jpeg
Views:	2
Size:	7.2 کلوبائٹ
ID:	12543818
    Supply Aur Demand Main Kya Mukhtlaif Hay
    Is baat ka khaas khayal rakhen k jab bhi kisi market me kisi bhi currency pair ki supply excessive ho jaey or us ki demand kam ho ya na hony k barabar ho tou us currency pair ki price low ho jaey ge yeni bohat kam price me fall kr jaey gi ye hamari normal routine me b isi tarah hota hy k ap market me dekh rhy hoty hyn k ap ko agar kisi cheez ki zroorat na ho or us ki supply bohat ziada market me available ho tou us chez ki koi value nahi rehti or us chezz ko koi khreedta bhi nahi hy jis ki waja se uski value mazeed down ho jaati hy jab kisi currency pair ki supply kam ho ya na hony k barabar ho or us ki demand log bohat ziada kr rhy hon tou us chez ki value barrh jaati hy or automatically us ki price bhi barrh jaati hy for example; jis tarah hamari normal zindagi me agar hamen kisi chezz ki bohat ziada demand ho or hamen wo vhez na mill rahi ho ya us ki supply bohat kam ho rhi ho tou hamary haan uski value bohat barrh jaati hy or value barrhny se uski price bhi barrh jati hy or q k logon ko us chez ki demand hoti hy tou wo mehngy daam bhi aesi chezon ko khareed lete hyn yehi difference hota hy*Ssupply and demand*ka kisi bhi market me bohat ziada asar andaaz hota hy yakinin aap ka jo supply And demand ka jo concipt hay woh clear ho gaya hoga ayye aap Supply zone aur Demand Zon ko samajhte hain

    Supply Zone
    forex me supply zone wo area hota hy k jahan market ki price chal rahi hoti hy us se oper wala area supply zone kehlaata hy yahan per sellers ka pressure bohat ziada hota hy jab k buyers ka pressure kam hota hy jiski waja se price downward move krna start kr deti hy iski picture bhi ma ap se share krta hun taa k ap mazeed samajh aajaey
    Click image for larger version

Name:	20220708_225747.jpg
Views:	1
Size:	23.2 کلوبائٹ
ID:	12543819
    Demand Zone
    forex me demand zone wo hota hy k jahan price value chal rhi hoti hy wahan se neechy wala area demand zone kehlaata hy yaha demand zone me buyers ka pressure bohat ziada hota hy or sellers ka pressure kam hota hy jis ki waja se market ki value upward jana shuru kr deti hy iski picture bhi ma apko dikhata hn zara ghour se dekhen
    Click image for larger version

Name:	20220708_225800.jpg
Views:	1
Size:	23.7 کلوبائٹ
ID:	12543820
    Thank you for your attention
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Supply And Demand Zones Drtailed Information

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Supply and Demand


    Financial market main kisi assets ki value ya qeemat hamesha se aik hi position par barqarar nahi reh sakti hai, jab bhi uss ki demand barhti hai, to uss ki value main izzafa hota hai, value main izzafa hone se uss ki prices bhi increase hona shoro karti hai, jo humen line graph upward jata houa ya bullish candles bante howe dekhaye deta hai. Lekin iss k bar akas jab bhi kisi item ya assets ki demand value kam hoti hai, to uss k sayh hi supply main izzafa hona shoro hota hai, jiss se vlaue main kami waqea hona shoro hoti hai, value main kami ka matlab hoga k qeematen kam hongi. Financial markets supply aur demand k rules k mutabiq chalti hai, jiss main kabhi aik increase hota hai to kabhi dosra, jiss se prices stable nahi rehti aur updown movement karti rehti hia.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (166).png
Views:	12
Size:	17.3 کلوبائٹ
ID:	12408105

    Supply Zone


    Financial market main kisi assets k price chart par ye wo zone hota hai, jahan par market main talab yani demand taqreeba khatam ho chuki hoti hai aur yahan par supply apne urooj par pohunch chuki hoti hai. Supply zone hamesha chart pattern par upward side par hoga, jo k aam tawar par resistance level se bhi jana jata hai. Iss level par assets ki mazeed talab kam ho jati hai aur ziada tar chances hote hen, k un ki ziada supply ki waja se qeematen yakdam ger jayengi.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (167).png
Views:	1
Size:	10.4 کلوبائٹ
ID:	12408106

    Demand Zone

    Financial market main kisi bhi assets ka sab se kam qeemat area jahan par aksar ziada demand peda hone ka hadsha hota hai, jiss se qeematen increase hone ka hadsha hota hai. Iss position par supply bohut ziada ho chuki hoti hai, aur mazeed supply main kami waqea hoti hai. Ye zone price chart par support level bhi kehlata hai, q k aksar prices iss level se wapis ziada demand ki waja se upper jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (168).png
Views:	1
Size:	25.8 کلوبائٹ
ID:	12408107

    Supply aur Demand main Faraq

    Supply aur demand zone main aik wazih faraq hota hai, jin levels ko prices baar baar touch karke nechay gerti hai, wo levels supply zone hota hai, jo resistance levels bhi kehlata hai. Jab wo zone jiss se prices baar baar upper side par movement karne ki koshash karti hai, lekin baar baar touch karne par bhi nechay nahi jati hai, to ye position demand zone hota hai, jiss ko support level bhi kaha jata hai. Supply zone par hamesha demand main kami waqea ho chuki hoti hai, jab k demand zone main hamesha supply ki kami hoti hai. Ye area prices k upper ya lower sides par breakout hone k chances hote hen.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (169).png
Views:	1
Size:	11.3 کلوبائٹ
ID:	12408108

    Trading

    Financial market main aik aseets ki prices updown hoti hai, jiss se traders market main buy ya sell se entry karne profit hasil karne ki koshash karte hen. Traders hamesha supply zone ya resistance level par sell ki trades se entry karte hen, jab k demnad zone ya support levels par buy ki entry karte hen. Agar prices sirf aik mehdod supply aur demand zone k darmeyan trades kar rahi ho to uss sorat main ye range trading hogi, lekin lazmi nahi hai k prices hamesha aik do levels k darmeyan hi trades karen, q k kabhi kabhi ye levels ya zone breakout bhi ho jate hen. Zone ya levels k breakout hone k baad prices new supply aur demand zone create karti hai aur financial market ka silsela chalta rehta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (85).jpeg
Views:	6
Size:	37.2 کلوبائٹ
ID:	12408109

    اب آن لائن

    Working...
    X