Details of Bearish Stalled Candlestick Pattern in Forex Trading....
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details of Bearish Stalled Candlestick Pattern in Forex Trading....
    Assalamu Alaikum dear member I hope of sab theek Honge aur forex market mein Achcha profit banaa Rahe Honge Jab aap ismein work kar rahe hote hain to ismein aapko bahut Soch samajhkar aur acchi planning ke sath kam karna hota hai jo members is market Mein hard work Karte Hain aur Chhoti Si Chhoti mistakes Ka Khyal rakhte Hain vah Hamesha kamshabi Hasil kar lete hain aapko Hamesha Koshish Karna Hogi ki aap is market Mein hard work Karen aur acchi strategies ke sath kam Karen Jab aap is market Mein daily ka target complete Karenge aur acchi learning ke sath kam Karenge to aapko Achcha result Milega main aaj aapse bahut hi perfect information share karne ja Raha Hoon jo aapki trading ko profitable banaa sakti hai to Mera topic hai bearish stalled pattern kya hai Ham is per Kaise kam Karke Achcha result Hasil kar sakte hain..

    What Is Bearish Stalled Pattern:

    Dear member for studying mein bearish stalled pattern ki taski Le 3 white candle per mustamel hai aur jo price chart per bottom price per banne wali 3 white soldier pattern same Shahabad Rakhta Hai bear is called pattern Ek lambi white candle Hai Jiske Upar ya lower side per Shadow bahut Kam Banta Hai but dusri candles ke Apar side per Shadow bahut Lamba Hota Hai...

    Click image for larger version

Name:	download (10).png
Views:	8
Size:	1.7 کلوبائٹ
ID:	12543677

    Identification Of Bearish Stalled Pattern:

    Dear member for a trading Mein bearish stalled pattern Ek trend reversal pattern Hai Is vajah Se price ka Pahle Se high price area Bull is trend Mein hona chahiye pattern teen lagatar white candles per mustamel hai jismein Pahli aur dusri white candle normal real body ke sath Hoti Hai pattern ki Teesri candle Sambhal real body Mein banti hai jo ki ek do ji candle bhi ho sakti hai pattern ki Pahli aur dusri candle Teesri candle se real body mein bahut badi Hoti Hai pattern ki Teesri candle ke Apar side per Shadow thoda sa Lamba Hota Hai..

    Click image for larger version

Name:	images (8) - 2022-07-07T223438.696.jpeg
Views:	9
Size:	21.1 کلوبائٹ
ID:	12543678

    Dear bearish stalled pattern ke liye market Kota area Hona important hai yah pattern teen white candles by Mr male hai jo ki price ke liye bear stand reversal pattern ka work Karta Hai pattern Dekhne Mein same teen white soldier pattern Jaisa Hai Kyunki teenon candles white hone ke साथ-साथ higher high per close Hoti Hai pattern ki Pahli candle Ek long real body wali white Mara Bujurg candle Hoti Hai last third candle bazu candle hoti hai but size mein Pahli candle se bahut Sambhal Hoti Hai pattern ki dusri candle upper Shadow ke sath hoti hai..

    Trading On This Pattern:

    Dear member Forex trading Mein bearish start pattern may 1st candles strong Bullet stand ki alamat hoti hai but bad wali dusri aur Teesri candle market Mein Bole Ki weakness karti hai jo ki market mein dilchas bhi Lena kam Karti Hai pattern ki teenon candles Se Kya white hone ki vajah se confirmation candle Ka Hona important hai jo ki real body mein Black honi chahie aur last white candle ke bottom per close honi chahie pattern ke bad white candle banne se pattern invalid tasawar Hoga Jab Ke trend ki confirmation indicator Se Bhi ki Ja sakti hai agar indicator aur osilator per value over both zone Mein trade kar raha ho.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-07-07T223453.786.png
Views:	21
Size:	2.8 کلوبائٹ
ID:	12543679

    Dear stalled candlestick pattern teen candles Par mustameez Ek bearish trend reversal pattern hai jo ki price banta hai yah pattern teen bullish candles par mustameez hota hai but last small real body candle ki vajah se pattern continuation pattern ki jagah bearish trend reversal pattern ka work Karta Hai stalled pattern ko deliberation pattern bhi Kaha jata hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Details of Bearish Stalled Candlestick Pattern in Forex Trading....

    Stalled Pattern


    Stalled candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k top ya bullish trend k baad banta hai. Ye pattern teen bullish candles par mushtamil hota hai, lekin akhari small real body candle ki waja se pattern continuation pattern ki jagah bearish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Stalled pattern ko "Deliberation Pattern" bhi kaha jata hai. Stalled Stalled me shamil teeno candles white real body wali honi chaheye, jis me 1st aur 2nd candle ki real body bare size me honi chaheye. Ye pattern teen bullish ya white candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli, dosri aur teesri teeno candles bullish candles hoti hai. Ye candles lagatar higher high par close hoti hai. Pattern ki pehli aur dosri candles strong bullish candles hoti hai, jab k teesri candle aik small real body wali ya Spinning top bullish candle hoti hai. Spinning top candle dosri candle k qareeb ya gap dono tarah se ho sakti hai, jo k top trend ko mazeed bullish jane main rukawat banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (192).png
Views:	6
Size:	1.8 کلوبائٹ
ID:	12408074

    Pattern ki Pehchan ka Qayeda:
    1. Stalled pattern k leye market me pehle se high prices area ya bullish trend ka hona zarori hai, q k ye aik bearish trend reversal pattern hai.
    2. Pattern me teen white candles shamil hongi, aur har aik high-close honi chaheye (candles ki close price lazmi open price se ziada honi chaheye).
    3. 1st aur 2nd candle bari real body wali candles honi chaheye.
    4. Pattern me shamil 3rd candle ki real body small (spinning top candle) honi chaheye, baaz dafa ye candle 2nd candle se uper gap me bandi hai.
    5. Pattern ki 3rd candle prices k leye sakht resistance ka role play karti hai, jahan par bullish trend k khatma mumkin hota hai.


    Click image for larger version

Name:	images (100).jpeg
Views:	1
Size:	4.5 کلوبائٹ
ID:	12408075

    Pattern ki Tafseel:

    Stalled aik bearish trend reversal pattern hai jo k teen candles par mushtamil hota hai. Pattern ki formation same "Three White Soldier Pattern" ki tarah hoti hai, lekin is ki akhari candle aik small real body wali white hoti hai, jo ziada tar Spinning top ya doji candle bhi ho sakti hai. Pattern me shmail 1st aur 2nd candles aik lambi real body wali white candles hoti hen, jo market me buying pressure dekhati hai. Pattern me shamil teeno white candles high pe close hoti hai. Pattern me banni wali 3rd candle aik small real body wali hoti hai aur aksar ye candle aik Spinning top candle hi hoti hai, jo k 2nd candle k high k sath close ho jati hai. 3rd candle qeematon k buying pressure ko khatam karti hai, jis se market ka agla trend reversal ho jata hai. Stalled candlestick pattern prices k top par ya bullish trend main banne k baad prices ko teezi k sath downward ki taraf pressurized karti hai. Iss pattern main pehli aur dosri candles teesri candle ki nisbat real body main bari hoti hai. Pattern k aghaz main prices teezi k sath bullish move karti hai, lekin baad main buyers ki adam dilchaspi ki waja se pattern k top par aik Spinning top candle banti hai, jo k prices ko mazeed bullish jane se rokhti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (101).jpeg
Views:	33
Size:	10.8 کلوبائٹ
ID:	12408076

    Pattern pe Trading ka Amal:

    Stalled pattern bhi "Advance Block pattern" ki tarah Stalled pattern bhi bullish trend k khatme ka ishara deta hai, jo k 3rd number par banni wali spinning top candle se zahir hota hai. Stalled pattern agar high price area ya bullish trend k baad banta hai, to yahan se qeematon ka reversal hone k chances bohut ziada barh (increase) jate hen. Stalled pattern me 3rd candle k baad sell ki entry karni chaheye. Trend confirmation k leye 4rth candle ka intezar karna chaheye, agar wo bearish banne k baad 2nd aur 3rd candle k lower close hoti hai, to is se trend reversal ka amal mukamal hota hai. Pattern k baad confirmation candle ka hona zarori hai, jo k indicator se bhi asani se trend confirmation ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bearish real body main hona chaheye, jab k CCI oscillator aur Stochastics oscillator main value overbought zone main hon to uss waqat ye pattern ziada payedar k sell k signals de sakta hai. Pattern k baad white candles banne se iss k asarat mutasir ho sakte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (193).png
Views:	1
Size:	9.9 کلوبائٹ
ID:	12408077

    اب آن لائن

    Working...
    X