MACD Moving Average Convergence Divergence ka mukhafif hai.Ye takneeki indicator aik aisa tool hai jp harkt pazeer oston ki nishan dahai karny kaliye istamal hota hai. jo aik New Rujhan ki nishan dahai kar rahy hen, chaye wo tezi ka ho ya mandi ka. Barhal trading main awaleen tarjeeh rujhaan ko talash karny k qabil hona hai, kiyunky es sy sab sy ziada paisa kamaya jata hai.Chart k sath ap ko aam tor par 3 MACD number nazar aen gy jo es ki tartibaat kaliye istamal hoty hen. sab sy pehly in periods ki tadad hai jo tezi sy chalny wali ost ka hisaab lgany kaliye istamal hoty hen.۔ dosra in adwaar ki tadad hai jo sust harkat ost main istamal hoty hen.۔Or tesra market ki tadad hai jo tez or sust harkat karny waly ost k darmiyan fark ki mutharik ost ka hisab lgany kaliye istamal hoti hai.۔
MACD ka istamal karty huay Trading kesy karen?
Chonky mukhtalif raftar k sath 2 harkat pazeeri osten hen, es liye wazih tor par sust raftar k muqably qemat ki naqal o harkat par tezi sy rad-e-amal zahir kary ga.۔jab koi naya rujhaan hota hai, tez tareen line pehly rad-e-amal ko zahir kary gi or akhir line MACD line slow moving average ko aboor kary gi.jab ye cross over hota hai or fast moving average line dorg hony lagti hai ya slow moving average line sy hat jati hai, to ye aksar es bat ki nishan dahai karta hai k aik naya rujhaan ban gia hai.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим