Money Management
Money management forex trading ka aik bunyadi juzz hai. Money management k zarye se traders na sirf apne sarmaye ko mehfoz bana sakta hai, bulke is k zarye se forex trading jaise riski korobar me kamyabi bhi hasil karta hai. Forex trading me money management risk management aur discipline ka aik aham ansar hai, aur ye har aik trader k leye zarori hai, k wo money management se hi trading karen.
Forex trading me money management k hawale se chand zarori points darja-zel hai;
Risk Reward Ratio
Risk reward ratio se murad trader ka wo profit hai, jis k badle me wo apne sarmaye ko risk me dalta hai. Risk reward ratio se trader take profit bhi murad le sakta hai. Take profit hamesha apne kamyabi k tanasub se set karna chaheye. Kabhi bhi aisa risk reward ratio na banaye k us se ya ap ko munafa bohut kam melta ho aur ya ap k losses k chances ziada hon.
Stop Loss ka Istemal
Take profit se ziada aik trader k leye stop loss bohut aham hai. Nuqsan ki sorat me ; aghaz me jis position pe hamari trades khatam ho jayi hai, ye stop loss ki position hoti hai. Ye wo position hoti hai jahan pe hum kisi bhi trade ka loss bardasht kar sakte hen. Is leye is position pe trades ya to close ki jati hai aur ya kuch kam ki jati hai. Stop se hamara sarmaya bohut had tak mehfoz hota hai, is waja se is ka istemal yaqeeni banayen.
Lot Size
Money management me Lot size se murada hai k aap apne aik trade pe kitna risk bardasht kar sakte hen. Agar aap apne trade ka lot size increase karengay to ye apko loss bhi us nisbat se ziada deta hai. Money management k pehlo me traders ko sirf apne apne sarmaye pe losses ko kam karne k bare me sochna chaheye. Is waja se munasib lot size ka istemal kia karen.
Account Leverages
Account leverage bhi usi munasebat se rakhen k wo apne had se ziada trade open na kia karen. Insani fitrat me ye shamil hai, k log ziada munafa k chakar me aksar ziada loss kar jate hen. Jab bhi account ka leverage munasib hogato aap ziada miqdar me trade open karne k position me nahi hongay, isi tarah se apka sarmaya kafi had tak mehfoz rahega.
Jazbaat pe Control
Money management me sab se zarorri point hai, k jab bhi trading karen, apne jazbaat ya emotions ko aik tarraf rakhen. Forex trading hamare emotions ko nahi dekhta aur na hi hamare ehsasat ka lehaz rakhta hai. Is waja se kabhi bhi ghuse ya dosre zehni dabao k waqat trading na kia karen.
Jaldbazi
Jazbaat k baad dosra aham factor jaldbazi bhi hai, aksar awqat traders market ki fast movement ko dekhte howe ya market k high ya low price area me trading shoro kartte hen, jo baad me loss ka sabab bante hen. Aap ko aisi soratehal se door rehna chaheye aur aur proppor apne routine analysis k mutabiq kaam karnna chaheye.