Explain Gravestone Doji Candlestick Pattern & Details..

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Explain Gravestone Doji Candlestick Pattern & Details..
    Asslam.u.Aliakum

    dosto umeed hai ap sab theek hon gy dosto aj ham bat karain gain gravestone doji candle k bare main qk dosto agr ap forex trading main apni trade ko profitable banana chahte ho to apko candles k bare information hona zarori hai isliye aj gravestone doji candle k bare apse kuch information share karta hun.

    Gravestone Doji Candlestick Pattern:

    dosto gravestone candlestick chart pattern trading market mein powerful strong pattern hai iski identification ke liye main aapko bhi visual-shaped bata deta hun. graveStone candlestick pattern apko market mein kuch is tarah se nzar aye ga iski body nahin hoti hai candlestick ki wick up side per hoti hai. Gravestone candlestick pattern aapko use karne ke liye kon kon si baton ka khiyal rakhna chahiye main aapko bata deta hun. Step by step risk manage krna chahiye. Click image for larger version

Name:	images (1).png
Views:	57
Size:	4.7 کلوبائٹ
ID:	12543342

    Description:

    dosto gravestone doji candlestick pattern bahut profit provide kar sakti hai agar aap isko intime review karte ho aur market mein candlestick chart par plot hone ke sath hi aap is pet rate manage karte ho. Candlestick chart pattern mein yah pattern tab confident ke sath use keya ja sakta hai jab aap ko friend ke bare mein maloom ho ki market mein currently kaun sa train chal raha hai. Bullish trend per gravestone doji aapko selling opportunity provide kar sakti hai is candle ko use karne ka most important time kya hota hai ki aapko friend changing indication provide karti hai jismein selling and buying pressure ko fighting karte hue dikhaya jata hai. Is dauran jo pressure increase hota hai market usi taraf chali jati hai kyunki yah ek liquidator market hai aapko malom hai. Click image for larger version

Name:	images (2).png
Views:	8
Size:	10.3 کلوبائٹ
ID:	12543341

    Explaination:

    dosto gravestone doji candle prices k top par us waqat bannti hai, jab bull ka dabao qesmaton ko bullish push karti hai, lekin ziadda selling dosrre side se dabbao farhham kartta hai, jis se qeematon ko session k ibtedayye sattah par wapis dekhel deta hai jis se zahir hota hai k bullish trend ko market ne mustarrad kar deya hai. gravestone doji candle ki shape aik (stone) jaisi dekhai deti hai, is waja se is ka ye nam bhi hai. Baaz trader is ko bulls ka muqbarra bhi k3hte hen, q k yahan par se control bearish sambhalte hain.

    Trading With Gravestone Doji Candlestick Pattern:

    dosto gravestone candlestick pattern use karte hue trade entry bahut easy ho jaati hai mostly gravestone doji candlestick pattern bullet train change hone ke saath ban jaati hai aur aap buying opportunity le sakte ho is candlestick ko use karte hue. Is candlestick pattern ko use karte hue aapko stand-alone decision nahin lena hota balki iske sath bhi aapko helping tools required hote hain jinko use karke aap apni trading strategy ko confident banate ho aur aap without any fear stop loss and take profit set kar sakte ho. Click image for larger version

Name:	images (4).jpeg
Views:	21
Size:	34.1 کلوبائٹ
ID:	12543339

    Definition:

    dosto analysis versus fundamental analysis & sentimental analysis three most important technical analysis ke sath off market mein apni trade manage kar sakte ho aur trade entry ly sakte ho. Forex trading market mein multiple candles use hoti hai jo powerful hoti hai. gravestone doji candlestick pattern powerful hai lkn is ko smjhna hota hai. Gravestone pattern perfect hai jisko aap use kar sakte ho aur market mein trade entry ke liye profit earning kar sakte ho.
    AP KA IK THANKS BOUT IMPORTANT HAI
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Explain Gravestone Doji Candlestick Pattern &amp; Details..

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Gravestone Doji Candle


    Gravestone doji candle uss waqat banti hain jab security open hone ke baad numaya tor par ooper chali jati hai, lekin din k ahtetam par prices wapis apne open position par close ho jate hen, iss prosses mein anay wali candlestick aik lambi ooper saye (upper shadow) ke sath ulta T shap ki tarah dikhaye deti hai. Mandarjabala candlestick agar bullish trend ya high price area main banta hai, to iss ko gravestone doji candlestick kehte hen, jo k bearish candle ki hososeyat rakhti hai aur bearish trend reversal ka sabab bhi banti hai. Gravestone doji candle ka taluq doji family se hai, jiss main candle ki downside bagher real body ki hoti hai, jab k upper par aik long shadow hota hai. Candle k open aur close point k lower side par shadow ka nahi hona chaheye, lekin small wick acceptable hai.

    Click image for larger version

Name:	download (12).png
Views:	9
Size:	1.6 کلوبائٹ
ID:	12407515

    Candle ki Formation


    Gravestone doji candle aik signle candle pattern hai, jiss ka pattern bullish ya high prices area main ziada moasar hota hai. Ye candle baqi doji candles ki tarah trend reversal ka sabab banti hai. Prices main candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai:

    Click image for larger version

Name:	images (3) (86).png
Views:	4
Size:	6.2 کلوبائٹ
ID:	12407517

    Gravestone Doji Candle: Gravestone doji candlestick ziada buying pressure ki waja se banti hai, jiss main candle ki ziada tar hososeyat bearish trend ki hoti hai. Ye candle bagher real body main hoti hai, jiss ka upper side par aik long shadow hota hai. Ye candle bagher real body hone ki waja se aik black lines jaise nazar ati hai, lekin bearish hososeyat rakhti hai.

    Explanation

    Gravestone doji candle aik bearish trend reversal ka single candle patteren hai, jo iss baat ki nishandahi karti hai, k stock apni top level tak pahonch gaya hai, aur prices ka trend tabdeel hone ki position mein hai. Gravestone doji candle khaas tor par, yeh ishara karta hai, ke buyers market mein ziada active ho chuke hen, jiss se wo prices ko ko akhari top level tak push karte hen. Lekin baad main market main sellers ki pressure ya tadad main izafa hone ki waja se prices din k akhtetam tak wapis nechay chali jati hai, jo iss baat ka ishara hota hai, k prices ab trend tabdeel karne k mode main a chuki hen. Candle k upper side par aik long shadow prices k mazeed bullish jane ka rejection zahir hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (87).png
Views:	7
Size:	3.4 کلوبائٹ
ID:	12407516

    Trading

    Prices chart k bottom area main ulta T shakal ki banne wali aik single pattern candle jiss k lower side par prices ka open aur close same point par hota hai, aik gravestone doji candle hoti hai, jo prices ko mazeed bullish jane se rok kar trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle market main buyers ka ikhtetam aur sellers ka prices ko downward push karne ka ishara hota hai. Candle par trading se pehle trend confirmation k leye aik to prices ka top hona chaheye, jab k dosra aik bearish real body wali candle bhi honi chaheye. Lekin gravestone doji candle k baad bullish candle k banne se ye candle invalid ho jayegi. Ye single candle pattern hone ki waja se trend ki confirmation CCI indicator aur Stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jo k overbought area main hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se upper side ya candle k shadow k top se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (88).png
Views:	1
Size:	18.5 کلوبائٹ
ID:	12407514

    اب آن لائن

    Working...
    X