Moving Average Kiya hai ?
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Moving Average Kiya hai ?
    Moving everage aik takneeki indicator hai jisay market ke tajzia car aur sarmaya kaar rujhan ki simt ka taayun karne ke liye istemaal kar satke hain. yeh aik makhsoos muddat ke douran maliyati tahaffuz ke data points ka khulasa karta hai aur ost par pounchanay ke liye data points ki tadaad se kal ko taqseem karta hai. usay" moving" average kaha jata hai kyunkay is ki taaza tareen qeemat ke adaad o shumaar ki bunyaad par musalsal dobarah ginti ki jati hai .tajzia car asasay ki qeemat ki harkat ka jaiza le kar himayat aur muzahmat ki jaanch karne ke liye harkat pazeeri ost ka istemaal karte hain. moving average ko meta trader 4 or meta trader 5 main lagya jata hai. aik moving average security ki pichli qeemat ki karwai / harkat ki akkaasi karti hai. tajzia kaar ya sarmaya car phir asasa ki qeemat ki mumkina simt ka taayun karne ke liye maloomat ka istemaal karte hain. usay aik lagging indicator ke tor par jana jata hai kyunkay yeh signal peda karne ya kisi diye gaye rujhan ki simt dikhaane ke liye bunyadi asasa ki qeemat ke amal ko trail karta hai .
    Click image for larger version

Name:	IMG_20220706_062303.jpg
Views:	1
Size:	43.7 کلوبائٹ
ID:	12543321
    khulasa

    moving average aik takneeki indicator hai jisay sarmaya car aur tajir securties ke rujhan ki simt ka taayun karne ke liye istemaal karte hain .is ka hisaab aik makhsoos muddat ke douran tamam data points ko jor kar aur raqam ko waqt ke waqfon ki tadaad se taqseem kar ke lagaya jata hai .muntaqili ost takneeki taajiron ko tijarti signal peda karne mein madad karti hai .
    Last edited by ; 06-07-2022, 06:41 AM.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Moving Average Kiya hai ?

    Moving Averages


    Introduction:


    Moving Average har jagah pe istemal hone wala aik technical tool hai. Moving average market k aam semat ka tayun, mojoda trend ka taqat, support aur resistance ka mumkina satah aur entry wa exit point k maqamat ka tayun karne me madad faraham kar sakta hai. Moving average ko envelopes aur bands k leye markazi value k tawar par istemal kia ja sakta hai, jo market me had se tajawoz ki satah ki nishan-dahi k leye istemal hote hen.

    Click image for larger version

Name:	images (195).jpeg
Views:	17
Size:	43.6 کلوبائٹ
ID:	12411873

    Moving Averages Components:


    Moving Average k saat (seven) aham ajzaa (components) hen, Moving Averages ko bohut sari application me istemal kia jata hai, jin me se kuch ye hen;
    1. Price Filter me qeemat ki sargarmi k hawale se behtar wazahat ki ijazat deta hai.
    2. Oscillators form me over-selling aur over-buying ki mumkina levels ko malom karne k leye istemal hota hai.
    3. Qeematon ko support aur resistance faraham karne k leye, aik price barrier ka kaam karta hai.
    4. envelopes aur bands me markazi value k tawar par istemal hota hai.
    5. Kisi trend ki taqat aur semat ki nishan-dahi karne k leye bhi is ko istemal kia jata hai.
    6. Entry aur exit k leye trigger k tawar par istemal hota hai.
    7. Market ki mumkina bullishness aur bearishness k leye bhi istemal hota hai.



    Moving Averages support aur resistance ki Reliability

    Support aur resistance k tawar par Moving Average ki reliability darja zel cheezon par munhasir hoti hai:
    • Moving Averages k zaweye (angle) ka barhna aur kam hona (ascent and descent)
    • Jitni baar us ka tujruba kia gaya hai
    • Qeemat ki test karne ki drustagi aur mayar
    • Market me uttar-charao (volatility) ki miqdar


    Moving Averages k Ishare (signals)


    Moving Averages darja zel tareeqon se mumkina teezi aur mandi ki nishan-dahi karti hai:
    • Barhta howa moving average mumkina teezi ka ishara hai.
    • Aik mandi me jata howa moving average bearishness ka ishara de raha hota hai.
    • Agar aik short term moving average long term moving average ko oper (above) se uboor (cross) karta hai to ye market me teezi ki taraf ishara karti hai.
    • Agar aik short term moving average long term moving average ko nechay (below) cross karta hai to ye market ki mandi batati hai.
    • Short term moving average long term moving average ko uper ki taraf lotana (rebound), market ki teezi batati hai.
    • Short term moving average jo long term moving average ko bearish side pe rebound karta hai, to ye market ki mandi (bearishness) batati hai.


    Types of Moving Averages



    1. Simple Moving Average (SMA)
    2. Exponential Moving Average (EMA)
    3. Weighted Moving Average(WMA)
    4. Double Exponential Moving Average (DEMA)
    5. The Triple Exponential Moving Average (TEMA)


    Click image for larger version

Name:	images (368).png
Views:	2
Size:	20.3 کلوبائٹ
ID:	12411874

    Simple Moving Average:

    Jaisa k naam se zahir SMA (Simple Moving Average) sab se sada moving average hai. Taza-tareen data point ko jama karne aur us ko total number of time periods pe taqseem karne se SMA ko hasil kia ja sakta hai. Traders simple moving average ko signals genrate karne k leye istemal karte hen.

    Exponential Moving Average (EMA):

    Exponencial moving average dosri qisam ki moving average hai, jo k haleya qeemat points ko ziada ahmeyat dete hai, aur is ko latest data point k leye ziada responsible banati hai.
    Exponential moving average SMA ki nisbat mojooda qeematon pe ziada inhisar karti hai, q k ye aik makhsos time period me changes pe aik jaise ahmeyat deti hai.

    Weighted Moving Average(WMA):

    WMA ko traders trades ki semat ko set karne aur khareedo wa ferokht (buy aur sell) ka faisala karne k leye istemal karte hen.
    Ye mojoda data point ko ziada ahmeyat aur mazi pechle data ko kam ahmeyat deta hai. WMA k calculation k leye ahmeyat de gaye har aik point ko data me zarab deya jata hai.

    Double Exponential Moving Average (DEMA):

    DEME exponential moving average ka advance version hai, jis me sab se latest data point ko ziada ahmeyat de jati hai. DEMA me late natayej ka masla hal kia gaya hai aur ye short term k trader k leye tez trend aur trend ki tabdili me madad faraham karta hai.

    The Triple Exponential Moving Average (TEMA):

    DEMA ki tarah TEMA bhi EMAs ki lagging masayel ko kam karti gai. DEMA aur TEMA k darmeyan main faraq ye hai k TEMAs k formula me teen (triple-smoothed) EMAs ka istemal howa hai, jab k is k bar-aks DEMA k formula me double-smoothed EMAs ka istemal howa hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X