Forex market main Technical Analysis ki ahmiat ka jaiza
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex market main Technical Analysis ki ahmiat ka jaiza
    Assalam Walekum dear trading mein Main 90% trader loss Karte Hain Kyon Ke forex market a complex market hai aur is main trader different currency pairs per apni trading Karte Hain Jiske Liye Hamen use currency ki countries ke bare mein main knowledge Hona bahut jaruri hai lekin Aam Taur par trader market ko Itni detail ke sath watch Nahin Karte isliye jyadatar trader ko loss hi hota hai hai agar Ek trader trade open karne se pahle market ko acche se analyse kar le aur Market ke train ki direction find Kar Le Tu vah kamyabi ke sath apni rate trend ki direction mein open kar sakte hain aur ek accha profit Hasil kar lenge. Main aaj aapke sath market ke technical analysis per detail mein baat karunga Jo bahut hi important analysis ha. How many types of analysis are
    (a) Fundamental Analysis
    (b) Technical Analysis
    (c) Sentimental Analysis
    (d) Support & Resistance
    (e) Pivot Points
    Click image for larger version

Name:	download (4).png
Views:	7
Size:	5.3 کلوبائٹ
ID:	12543316
    Technical Analysis:

    Dear technical analysis bahut important analysis Hote Hain jisse Ham market price chat ko read karte hain aur iske liye Ham market ko candlestick patterns aur indicators ki madad se detail ke sath study karte hain aur Market ki future moment ko protect Karke Ek Kamyab trade active karte hain lekin iske sath Ham news ko bhi lazmi watch karte hain news ke liye Hamen main economical calender lazmi use karna chahie jismein Puri duniya ki business news up to date daily base per ho rahi hoti hai technical analysis Mein men do chijon ka bahut jyada use Hota Hai:
    Click image for larger version

Name:	download.jpg
Views:	1
Size:	10.0 کلوبائٹ
ID:	12543317
    Adavantages Tecnical Analysis .
    Dear member tecnical analysis k bhrey mn agr hum bat krein tu market ka hume sab se acha knowledge technical analysis ki waja se milta ha hume pta ha k is forex men kameyabi humen kabhi hie muft mn ni milti ha regular kam krna hota ha tab hi achy trader ban sakte hein technical analysis related share Kiya to hamen technical analysis ko proper find out karke uske bad hi hamen trader per karni chahieye hamre liye sab se acha onlines business ha hum menat kr k is mn kameyab ho sakte heinis mn tecnical analysis ko har trade se phaly fallow krna hota ha market mn kameyab hone k liye os ka hume knowledge be lena lazmi hota ha without experince k hume kameyabi ni milti
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex market main Technical Analysis ki ahmiat ka jaiza

    Technical Analysis


    Technical analysis me traders ya analyst qeematon ki bunyadi harkat (movement) ka mutalea (study) karte hen. Analysis k dowran traders qeematon ki pehle movements ko mojoda trading soratehal k sath muwazena karte hen, aur mustaqbil ki movement ka tayun (prediction) karte hen.
    Technical analysis me traders mukhtalif qisam k technical tools ka istemal karte hen, jo humen forex trading plateforme se me mel jate hen. Technical tools qeematon k sabeqa movement ko mojoda movement k sath mushabehat karte hen, jis se wo market k agli situation k bare me batate hen. Market me qeematen hamesha aik khas trend ya aik khas rules k mutabiq movement karti hai, is waja se technical analysis bohut zyada successful rehte hen.
    Technical analysis na sirf traders ko market ki soratehal se agah karte hen, bulke ye traders ko market me entry aur exit ki bhi pori information dete hen. Trading me trading plan k mutabiq take profit aur stop loss ki munasib position k bare me batate hen.

    Click image for larger version

Name:	images (196).jpeg
Views:	3
Size:	12.1 کلوبائٹ
ID:	12411875

    Technical Analysis me Istemal hone wale Tools:


    Technical analysis aik candle par bhi mumkin hai aur long pattern k chart pattern par bhi muheet ho sakte hen. Is waja se technical analysis karne k leye traders mukhtalif qisam k tools ka sahar lete hen, jin ki tafseel darja-zel hai;

    Candlestick Pattern


    Candle stick pattern mukhtalif shape aur pattern k hote hen, jis me candles ki tadad mukhtalif hoti hai. Candle stick pattern aik candle k bhi ho sakte hen, jaise; doji candle Marubozu candle, Hammer candle waghera. Candlestick ka normal market me ziada amal dakhal nahi hota, lekin agar ye high price area jaise bullish trend ya low price area jaise beariah trend k baad bante hen, tab in ki ahmeyat barhti hai. Candle stick pattern do ya do se ziada candles ho sakti hai, haise bullish and bearish Kicking Pattern, bullish and bearish harami candles, bullish and bearish baby abandoned waghra, shamil hen.

    Chart Patterns


    Technical analysis me chart pattern ka bhi istemal bohut zyada hota hai, aur aksar ye chart pattern long term k traders istemal karte hen, jo k un k leye bohut profitable bhi hote hen. Chart pattern me kafi ziada candles hoti hen, aur in pattern ko malom karna thora mushkil zaror hota hai, lekin ye pattern trading me payedar hote hen. Chart patterns me, bullish and bearish symmetrical triangle pattern, bullish and bearish Pennants pattern, flag pattern, diamond pattern waghera shamil hen.

    Technical Indicators ka Istemal


    Technical analysis k leye sab se ziada technical indicators ka istemal kia jata hai. Wese normal dekhne me to ye indicators itne ziada mushkil dekhaye nahi dete, lekin is ko trading k mutabiq mukamal seekhna thora mushkil zaror ho sakta hai. Technical indicators market ki sabeqa qeematon ko janchte hen aur un se aik khas qisam k result lete hen aur pher us ki bunyad pe humen agli movement k bare me information dete hen. Technical indicator me pehle se mathematically sare formule mojood hote hen, jin hamare asane k leye tarteeb deye hote hen.

    Indicator aur Chart Pattern ka Combined Istemal


    Technical analysis me ziada tar analyst candlestick chart pattern aur technical indicator ka combined karke istemal kia jata hai, jis se analyst behtar result hasil karte hen. Technical indicator k sath price action aur candle pattern market ki movement ka sahi semat batati hai. Ye humen breakout ya breakdown k soratehal se behtar waqif kawati hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X