Supply And Demand Zones In Forex Trading.. INTRODUCTION :
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Supply And Demand Zones In Forex Trading.. INTRODUCTION :
    INTRODUCTION :
    Aslam u Alaikum! Dear members i hope ap sab kehriyat sy hon gay, or market main achi earning kar rhy hon gy. Dear agr ap market main kamyabi Hasil karna chahty hain to aapko Hamesha experience k satg kam karna hota hai aur apni learning ko perfect banana hota hai. Tab hi ap kamyabi hasil kar sakte hain.Forex trading mein agar aap successful trading karna chahte hain. To ap ko different factor par study karty hain to ap ko bhot zyda advantages available hoty hain.


    SUPPLY ZONE:

    Dear Forex trading main jab koi currency pair resistance zone par pohnchta hai to usy selling zone kehty hain kun kay wahan say market overbought conditions say reversal ke jaanib aati hai. Aur sellers selling options ko consider karte hain ya apni long positions ko close karte hain. Essi tarha jab market down aati hai to strong support par market main buyers entry lety hain. Oversold conditions main buy ke entry zaida moasar saabit hoti hai. Ye dono cheezin jab market main hoti hain to selling zone ko supply zone aur buying zone ko demand zone bhe kaha jaata hai.


    DEMAND ZONE:


    Dear Supply and demand zones forex market main generally traders ko perception hasil karny main sood mand saabitt hoty hain. Supply and demand zones support aur resistance kay barakas aik larger area cover karte hain. Jiss say aapko bhetar andaza ho sakta hain. Jab kay support aur resistance zones ko lines ke soorat main lagaya ya mark kiya jaata hai jab kay demand and supply ko aik bary area main mark kiya jaata hai. Jesa kay aap neechy de huii tasveer main dekh sakty hain kay market main supply and demand zones kahan hain. Aur market waahan sy kesy reversal bana rahe hai. Jesy he market demand zone main jaati hai to market main buyers ke sharp movement dekhny ko milte hai aur esi tarha jab supply zone main jaatee hai to sellers in control nazar aaty hain.


    SUPPLY AND DEMAND ZONE FOR TRADING:

    Dear Supply aur demand zones main trading karne kay liey 2 cheezon ko lazmin zehan-nasheen karnaa chaheyy.

    1). Supply aur demand zone ke shanakht kay liey bary time frame ko istemaal karin Bary time frame main traders ko bhetar pata chal sakta hai kay kahan sy market sharply bounce kar rahi hai aur kahan sy supply aur demand levels create ho rahy hain.

    2). Jab aap supply aur demand kay levels ko identify kar lain to us kay baad ye observe karin kay market kinn kinn areas say bounce back kar rahi hai jesa kay aap neechy dee hui picture main bhe dekh sakte hain.


    OTHER DETAILS :

    Dear Forex trading ma demand kia mtlb hota ha k market ma kisi currency ya matel ki kitni ziada maang ha or is sy market ma us currency ki value bhe kum ya ziada hoti ha q k age market ma koi cheez limited mojood ha to us ki demand bhe ziada hoti ha. Market mein supply mein mtlb hota ha kisi cheez ya currency ki ho miqdaar market ma mojood hoti ha is supply sy bhe market ma kisi currency ya matel ki supply kam ho ge tu us cheez ki value bhe ziada ho ge..


    Click image for larger version

Name:	supply-and-demand-trading_body_USDJPYtradingsupplyanddemandusingfibonacciretracements.png
Views:	7
Size:	65.9 کلوبائٹ
ID:	12541440
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Supply And Demand Zones In Forex Trading.. INTRODUCTION :

    Supply and Demand


    Introduction:

    Financial markets ka inhesar supply aur demand par munhasir hota hai, agar market me kisi cheez (item) ki miqdar log ziada khareed rahen hote hen, to is ka matlab hai k us cheez ki demand ziada hai aur agar us ki talab ki nisbat us ki tadad barh rahi ho to is ka matlab hai k supply ziada hai aur demand kam hai, jis se us item ki qeematen ger jati hai. Forex trading market me currencies ka istemal hota hai, agar market me aik currency jora up ja raha ho to is ka matlab hai k base currency ka demand ziada hai aur agar nechay a raha ho to is ka matlab hai k base currency ki supply ziada hai.

    Click image for larger version

Name:	images (124).png
Views:	6
Size:	17.1 کلوبائٹ
ID:	12407419

    Forex trading me demand

    Dosre financial market ki tarah forex trading bhi supply aur demand pe kaam karta hai. Forex trading me currencies jore aik makhsos value k darmeyan trading karte hen. Jab bhi market me base currency ( GBP/USD me GBP base currency hai) ki demand barhe (increase) gi to is ka matlab hai k currency jora bullish jayega. Currency jore ki demand me izafay ki aik waja currency jore me mojod quote currency ( GBP/USD me USD quote currency hai) ki demand me kami bhi ho sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (61).jpeg
Views:	1
Size:	41.6 کلوبائٹ
ID:	12407421

    Forex trading me Supply

    Forex trading me agar kisi currency jore ki value agar ger rahi hai to is ka matlab hai k ya to currency jore me base currency ki supply ziada howi hai aur ya quote currency ki demand me izafa howa hai. Same aisa commodities me bhi hoga, misal k tawar par agar oil ki qeematen ger rahi hoti hai to is ka matlab hai, k oil ki supply ziada hai.

    Click image for larger version

Name:	images (125).png
Views:	14
Size:	16.6 کلوبائٹ
ID:	12407420

    Demand/Supply aur Support /Resistance


    Forex trading me demand aur supply k leye support aur resistance ka istemal kia jata hai. Chokeh forex trading me ye mumkin nahi hai k aik currency jora sirf bullish ya bearish jayega, is waja se ye aik khas position se apna trend badal deta hai.
    Jab bhi aik currency ki demand ziada hoti aur up chali jati hai to aik aisa position ata hai k waha se us ki wapasi yaqeeni ho jati hai, us position ko forex trading me selling area ya "resistance zone" bhi kaha jata hai. Isi tarah agar aik currency jora downward jata hai aur supply me izafay ki waja se us ki value me kami waqea ho jati hai, to nechay aik aisa position a jata hai jahan se us ki wapasi yaqeeni hoti hai, us position ko "support zone" ya buying area bhi kaha jata hai.

    Trading on Supply and Demand:

    Agar forex trading me supply aur demand ka factor na hota to currencies pe trading mumkin nahi hota. Forex trading me currencies pair makhsos levels (support and resistance) k darmeyan harkat kar rahe hote hen, is waja se ye traders k leye investment ki opportunity peda karti hai.
    Jab bhi market me demand ziada ho jaye aur qeematen resistance area tak pohunch jaye to us position pe humen sell ki trades open karne chaheye, isi trah jab market me qeematen supply ziada hone ki waja se support level par a jaye to humen buy k trades open karne chaheye. Supply aur demand zone me trading k leye humen RSI ya Schotic oscillators ka istemal karna chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (62).jpeg
Views:	6
Size:	37.2 کلوبائٹ
ID:	12407422

    اب آن لائن

    Working...
    X