Complete Guide for Dark cloud cover candlestick pattern in Forex......
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Complete Guide for Dark cloud cover candlestick pattern in Forex......
    Introduction cloud cover candlestick pattern.


    Dear Forex Members dark cloud cover candle stick pattern aik aisa candle stick pattern hey jo reversal candle stick pattern ko indicate karta hey yeh aik up trend ke upside par zahair hota hey or es mein aik bare green candle stick bante hey or es kay bad aik red bearish candle bante hey jo keh candle stick mein close honay say pehlay mid point mein aik nai onchai paida karte hey



    How to spot The dark cloud cover candle stick pattern.



    Friends majodah uptrend ko identify karen
    en sigmnals ko tallash karen jo momentum slowing or reversal rahay hon
    stochastic oscillator, bearish moving average cross over bearish candle stick ke tashkeel ka hona zaroorey hey
    last green candle stick ke upside pe red candle stick kay open honay par stock mein gap paya jata hey ta hum forex market kay chart pattern mein yeh bohut kam paya jata hey kun keh yeh candle stick es level par open hon ge jaisay last candle stick close hote hey ya es kay qareeb bohut kam hotey hey or nai nechay trend ke tasdeeq ko yaqene banaya jay



    How to trade dark cloud candle stick pattern


    friends trader GBP/USD OR EUR/USD jaise traditional market mein trade kar saktay hein laken Dark cloud cover candle stick jaise market mein candlestick ko technical analysis kar kay trading kar saktay hein nechay dark cloud cover candle stick ke mesal de gai hey khas tor par GBP/USD forex trading pairs ko analysis kea geya hey
    es Dark Cloud cover ko checklist mein analysis kea geya hey higher highs or higher low ka wajood humen aik uptrend kay sath paish kar sakta hey or es chart par observe kea ja sakta hey keh market zyada sideway par montakel karna start kar deya hy kun keh initially tor par sideway pe montakel kea geya hey or jab yeh upside ke teraf turn hova to yeh itni bullish movement nahe the jetni keh pehlay the mazeed yeh keh RSI zyada selling area ke taraf chala jata hey jo trader ko zyada say zyada levels par yaqeen delata hey
    red candle stick last green candle stick say thora gap rakhte hey forex currency market mein candle stick zyada tar ese level par open ho ge jaisay last candle stick close the mosalsal selling downtrend par pressure ke tasdeeq karta hey next candle stick or es kay bad anay wale candle stick mein daikhe jate hey lower highs or lower lows es baat ke tasdeeq karta hey keh market es baat ke tasdeeq karte hey kameyabe ke taraf reversal ho gai or bearish trend kaim rahay ga

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Complete Guide for Dark cloud cover candlestick pattern in Forex......

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Tweezers Top Pattern


    Tweezers top candlestick pattern uptrend pe banta hai, jo k do candles ka ek qisam ka double top resistance level hota hai. Ye pattern do din k candles par mushtamil hota hai, jis main pehle din ki candle aik normal real body wali bullish candle banti hai, jis ko dosre din ki bearish candle follow karti hai. Tweezers top pattern ki unique baat ye hai k is pattern me dono candles ka top aik hi line ya point pe hota hai. Dono candles ka top same hone ki waja se ye prices ka double top aur resistance level ban jata hai. Tweezers top pattern ki pehlee candle aik real body wali normal bullish candle hotee hai, jo k market main pehle se chaltte a rahe bullish trend ki alammat hotee hai. Tweezers top ki dosre din ki candle ek bearish candle hotti hai, jis ka top point pehle din k low point k in line hota hai. Dosre din ki candle bullish trend ko mustarrad kartti hai aur prices ko bearish trend reversal me change karwa detti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (398).png
Views:	28
Size:	14.5 کلوبائٹ
ID:	12411656

    Candles Formation


    Tweezers top candlestick pattern prices k top ya upper prices par low demand ki waja se banta hai, jahan par do candles prices ki trend change ka aik positive signal deta hai. Pattern ki dono candles strong real body main banti hai, aur market ki current supply aur demand ki akasi karti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (3) (397).png
Views:	9
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12411657

    1. First Candle: Tweezers top candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k market main maojood current trend ki akasi karti hai. Ye candle prices ko higher side par push karti hai, jiss main candle ka close price open price se upper side par hota hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.

    2. Second Candle: Tweezers top candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k same top close price par hoti hai, jab k close point iss candle ka koi bhi ho sakta hai, lekin candle ka top ya high price pehli candle k high price k barabar hona chaheye. Bearish candle market main current bullish trend ka khatma karti hai, aur prices ko aik new semat deti hai, jo k bearish trend reversal hota hai.


    Explanation


    Tweezers top candlestick pattern ek qeenchi numa (tweezer) do din k candles par mushtamil ek bearish trend reversal pattern hai, jo k downtrend k baad banne par aik to bullish trend ka khatma karti, dosra ye bearish trend k aghaz ka sabab bhi banta hai. Ye pattern do candles ka double top ya resistance level par mushtamil hota hai. Pehle din ki candle aik normal bullish candle hoti hai, jis ko dosre din ki bearish candle follow karti hai. Bullish aur bearish candles ka top same hota hai, jis se ye point prices k leye resistance level ban jata hai. Pattern k dono candles ka shadow bhi candles me shumar hota hai, yani agar candles ka shadow bhi aik point pe banne tab bhi ye tweezers top pattern kehlayega.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (396).png
Views:	71
Size:	3.1 کلوبائٹ
ID:	12411658

    Trading


    Tweezers top candlestick pattern ka agar timeframe ziada ho, yani one day ya one weeka ka to ye aik strong resistance level create karta hai, jis pe traders market main sell se entry kar sakte hen, lekin agar trader ka pehle se hi buy trade ki entry ho to yahan pe exit kar sakta hai. Tweezers top candlestick pattern k dosre din k candle k complete hone k baad market main sell ki trade se entry ho sakti hai, jab k trend confirmation k leye teesre din ki bullish candle ka hona zarori hai. Bagher trend confirmation k pattern ziada tar neutral tasawar keye jate hen. Trend confirmation agar indicator se ki jani ho to uss par value overbought zone main honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se highest point ya dono candles k resistance level / top point se two pips above pe set hoga.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (395).png
Views:	98
Size:	16.2 کلوبائٹ
ID:	12411659

    اب آن لائن

    Working...
    X