Dragonfly Doji Candlestick
Gravestone doji candle forex trading main aik single candle pattern hai, jo k qeematon k high zone me resistance level par paye jati hai. Ye candle aik bearish trend reversal k leye istemal hoti hai, jo k single candle pattern par mushtamil hota hai. Candle bagher real body main hoti hai, jiss me qeematon ka open aur close aik hi price ya same point par hote hen. Candle k ooper ki taraf aik bari wick ya saya banta hai, jo k bullish trend k dowran resistance level ka kaam karti hai.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Gravestone doji candle aik single candle pattern hai, jo k high qeematon wale zone ya bullish trend me banti hai.
- Candle k lower side par open aur close price ka same point hota hai, jis me open aur close aik line jaise dekhte hen.
- Candle k upper side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
- Candle ki lower side par koi shadow ya saya nahi banta hai.
- Candle ki agar open aur close exact same point par na bhi ho lekin, lekin aik dosre k qareeb bante hen, to ye bhi aik gravestone doji candle shumar ki jati hai.
Pattern ki Tafseel
Gravestone doji candle bearish trend me qeematon ko badalne k leye istemal hone wali aik single candle pattern hai, jis me qeematen confirmation ka baad down fall karna shoro karti hai. Ye candle prices k bottom me banni wali inverted hammer candle se melti julti hai, lekin qeematon k top par hone ki waja se ye candle mukhtalif ban jati hai. Candle me qeematon ka open aur close aik dosre k bohut qareeb ya same price par banta hai, jab k candle k ooper aik lamba saya hota hai, jo prices k leye ooper ki taraf resistance zone banati hai.
Pattern par Trading ka Amal
Gravestone doji candle trading k leye tab aik achah signal deti hai, jab bhi qeematen low area ya bullish trend me ho. Candle k baad aik black candle ka banna zarori hai, jis par sell ki trade enter ho sakte hen, jab k white candle gravestone doji candle ki asarat ko khatam karti hai. Ye candle next black candle par market me entry jab k real body k top par stop loss ki position hoti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим