Tasuki Gap Down Pattern Kia Hai?
Downside tasuki gap candlestick pattern chart price main teen candles k darmeyan downward side par aik kicking type pattern hai. Pattern ki pehli aur dosri candles bearish hoti hen, jiss k darmeyan downside par aik gap ban jata hai. Pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo dosri candle k baad ban kar gap main close hoti hai. Pattern ki pehli candle k low price (bashamole shadow or wick) aur dosri candle k high price (bashamole shadow or wick) k darmeyan aik wazih gap ya khali jagah hoti hai. Downside tasuki gap candlestick pattern aik bearish trend continuation pattern hai, jiss main shamil pehli aur dosri candles bearish jab k teesri candle bullish pattern k hote hen. Ye pattern prices main sellers ki mazboti aur downward side par prices ka mazeed move karne ka aik wazih indication hota hai. Downside tasuki gap candlestick pattern prices main aksar aik waqfay k dawran banta hai, ye pattern waqfay k dowran events ya strong news ka sabab banta hai, jiss ki waja se fundamentals asarat assets ki prices ko teezi k sath lower push karte hen. Downside tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices k normal sabeqa trend ki akasi karti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin real body ka wazih hona zarori hai. Downside tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle k tarah bearish hoti hai. Lekin ye candle pehli candle k low price se below gap main banti hai. Dosri candle ka high price pehli candle k low price se wazih downside gap main hona chaheye. Ye candle bhi aik bearish body main honi chaheye, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai. Downside tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k taqreeban parallal se thora sa above banti hai, lekin close gap main ya gap se below honi chaheye. Ye candle prices ko bullish push karne ki nakam koshash karti hai, lekin sellers ki mazboti prices ko downside move karti hai.
Tasuki Gap Down Kaam Kese Karta Hai?
Price chart pattern par gap pattern hamesha assets ki bohut ziada high volitilety ki waja se bante hen. Ye volitilety aksar awqat aik khas waqfay k dowran prices par fundamental asarat ki waja se hota hai. Downside tasuki gap candlestick pattern main bearish trend k dowran do bearish aur aik bullish candles k darmeyan downward side par aik gap banta hai, jo k prices k bearish trend confirmation ki alamat hoti hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle k low price aur dosri candle k high prices k darmeyan aik wazih aur clear gap hota hai, jab k teesri bullish candle dosri bearish candle k bottom pe open ho kar gap main ya gap se below close hoti hai. Ye pattern sellers ki market main mazboti aur prices ka mazeed bearish jane ka aik clear message hota hai.
Tasuki Gap Down Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?
Downside tasuki gap candlestick pattern prices k downtrend main banta hai, aur iss pattern ki mazboti candles ki real body se pata chalta hai. Strong real body wali candles prices ko teezi k sath bearish push karegi, jo k support level se downward side par hone chaheye. Pattern par trading se pehle confirmation candle ka hona zarori hai, aur pattern lazmi support line k downward hona chaheye. Confirmation candle real body main bearish candle honi chaheye, jab k bullish candle banne ki sorat main trading ka khatra mol nahi lena chaheye. Ye pattern agar support level se above banta hai, to ye bullish trend reversal bhi ho sakta hai, iss waja se pattern ka support point k bottom par hona chaheye. Stop loss pattern k sab se upper position ya pehli candle k top price se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим