Alligator Indicator Guide.....
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Alligator Indicator Guide.....
    Alligator Indicator
    Aslam u alaikum,

    Dear forex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge dear members Alligator indicator aik trend following indicator hai jis ko aik mashahoor financial market psychologist Bill William ne 1995 me banaya tha. Chonkeh is indicator k mutabiq qeematen aik magar-mach ki shap banati hai, is waja se is ko Alligator indicator kaha jata hai. Alligator indicator k mutabiq financial market me qeematen sorf 15% se 30% tak hi low ya high jati hai, yani in percentage me hi sirf prices ya to bullish trend pe hoti hai aur ya bearish trend pe hoti hai, jab k baqi 70% se le kar 85% tak qeematen sideways movement pe ya trend pe hoti hai yani market chuppy rehti hai.



    Alligator Indicator and Moving Averages


    Alligator indicator me smoothed moving averages ki simple moving average k sath calculate kia jata hai. Moving averages pe indicator calculation karke market ki qeematon ka result nikalta hai. Alligator indicator three 5,8 aur 13 time period k moving averages ka istemal hota hai.

    Alligator Indicator ka kaam ka tareeqa


    Alligator indicator bhi alligator yani magar-mach ki tarah kaam karta hai. Jis tarah se magar mach ziada waqat k leye sleeping mode me hota hai aur shikar kabhi kabhi karta hai, to is indicator ka bhi same function hai k is indicator me ziada tar market sideways ya sleeping mode me hota hai. Lekin jab magar mach kuch waqat k leye shikar karta hai, to us k leye apan mon (mouth) kholta hai, to indicator bhi market me kuch hi waqat k leye active hota hai, aur trend ko bullish ya bearish move karwata hai.



    Alligator Indicator Lines Information


    Alligator indicator mein qeematen teen lines pe mushtamil hote hai:

    1. Jaw
    2. Teeth
    3. Lips






    Jaw Line


    Jaisa k aik alligator ka jaw sab se mazbot hisa hota hai, isi tarah se is indicator me jaw line sab se strong line hai. Jaw line ka breakout baqi lines ki nisbat sab se mushkil hai, q k is me ziada time period ka moving average 13 periods ka istemal hota hai. Jaw line ka mazbot hona is waja se hai q k is me jo moving average ki value istemal hoti hai wo baqi lines ki nisbat ziada time period ki hoti hai.

    Teeth Line


    Teeth line Jaw line jaise mazbot to nahi hoti hai lekin pher bhi ye Lips line se ziada strong hoti hai. Teeth line me darmeyana time period ka yani 8 time periods ka moving average istemal hote hen, is waja se ye line jaw line se kamzor hoti hai.

    Lips Line


    Lips line sab se kamzor qeematon wali line hoti hai jis me sab se kam time period ka yani 5 time period ka moving average istemal hota hai, is waja se ye line baar baar breakout hoti rehti hai. Lekin is line ka istemal dosre lines k sath bohut ahmeyat ikhteyar kar jati hai.

    Indicator k lines ka open aur close hona


    Alligator indicator me lines k aik dosre se k darmeyan faisele ki bohut ahmeyat hai, jab bhi lines open position me hoti hai, to us sorat me market bhi trend me hoti hai, leki agar lines ki position aik dosre k close hoti hai to us sorat me market sideways movement me hoti hai.
    Alligator indicator Convergence-divergence k rules regulations k mutabiq signal jari karta hai. Alligator indicator me Jaw line ki movement sab se slow aur Lips line ki movement sab se tez hoti hai.


    Alligator Indicator aur Buy/Sell


    Alligator indicator me lines ki position hi humen buy ya sell ka signal deta hai. Agar alligator indicator me Jaw line baqi do line se nechay ho, yani teeth line darmeyan me ho, aur lips line sab se uper ho, to is sorat me market bullish trend me hoga. Bullish trend me traders market me buy ki entry kar sakte hen.
    Lekin agar alligator indicator me istemal hone wali lines ki behaviour is se opposite ho, yani Jaw line uper ko chali jaye aur teeth line datmeyan same ho jab k lips line sab se nechay a jaye to us sorat me market sell position k leye thek hogi.
    Agar alligator indicator ki lines aik dosre k qreeb hon aur apas me mixup ho rahe hon ya teeth line nechay ya uper ho to us sorat me market chuppy condition ya sideways trend me hogi. Jitna lines k darmeyan faisela ziada hota jayega, trend ki movement bhi us hisab se tez hogi.

    Ap Ka aik thanks bohat zrori ha
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Alligator Indicator Guide.....

    Alligator indicator ko chart me use karny ka faida ye hota hey key traders ko accurate entry point mil jata hay, Alligator indicator accurate trend direction ki hi searching karta hay aur multiple time frames me time period me accurate entry place karny key points ki information de sakta hay, Alligator indicators 3 line pr mushtmil hta ha or alligators indicators ka use market trend ko malom krny or trend ki confirmation k pta chlane k liye use kia jta ha Q k alligator indicator 1 trending indicator ha js ko use krke hm is bat ka pta chla skte hain k is wqt market ki direction kis traf ha yani k alligators indicators ki help se asani se ye pta maloom kia ja skta ha k market is wqt side way me ha ya trend me ha deta.
    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	7
Size:	7.3 کلوبائٹ
ID:	12404811
    Alligator indicator ka istmal kasiy Karen

    Alligator apni position change karta hai tou aesy time per hamain previous open trade ko profit main close ker ky new trend per trade open kerny ky liay ready hona hota hai jab bhi hum is ka istemal krty hain to humein bohat dhyan se market ko watch krna hota hai jaise he candlesticks aik dusre ko cross krti hain to us waqt hamara market Mein enter hone ka ya exit hone ka time hota hai aur is ke ilawa dear Agar hum is ky saath aath momentum indicator ka istemal bhi kren to hum exact entry point find krny mein Kamyab ho sakta hai humein Har kaam Soch samajh kr krny ki koshish krni chahiye tabhi acha faida hasil krny ka moqa mil sakta
    Click image for larger version

Name:	download.jpg
Views:	1
Size:	5.5 کلوبائٹ
ID:	12404812
    Trading with Alligator Indicator on MT4

    Alligator indicator me lines ke position he humain buy ya sell ka signal deti hay. Agar alligator indicator me Jaw line baqi do line se neechay ho, yani teeth line darmiyan me ho, aur lips line sab se oper ho, to is sorat me market bullish trend me hoga. Bullish trend me traders market me buy ki entry kar sakte hen Lekin agar alligator indicator me istemal hone wali lines ki behaviour is se opposite ho, yani Jaw line uper ko chali jaye aur teeth line datmeyan same ho jab k lips line sab se nechay a jaye to us sorat me market sell position k leye thek hogi
    Click image for larger version

Name:	download (1).jpg
Views:	4
Size:	11.7 کلوبائٹ
ID:	12404813
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Alligator Indicator Guide.....

      What is the Williams alligator indicator?
      aik takneeki tajzia ka tool jisay aap forex trading ke rujhan ke aaghaz ka pata laganay ke liye istemaal kar satke hain Villiams alligator indicater hai, jisay aksar Villiams indicater ya alligator indicater ke naam se jana jata hai. apni forex trade ke liye mumkina dakhlay aur kharji maqamat talaash karne ke liye, yeh bunyadi tor par patteren talaash karta hai .
      Amrici novel nigaar bil Villiams ne is isharay ko takhleeq kya, aur is ne pehli baar 1995 mein is ke baray mein likha .
      How does the alligator indicator work?

      alligator indicater aik chart par mukhtalif moving average ( mas ) dikha kar bohat se dosray trained trading andikitrz ki terhan kaam karta hai. yahan istemaal ki gayi teen mutharrak ostoon mein se har aik" machhli" ke mukhtalif pehlu ki alamat hai : niilii lakeer jabray ki numaindagi karti hai, surkh danoton ki lakeer, aur sabz rang honton par. tijarti plate form par, yeh pehlay se tay shuda rang hotay hain aur aksar hasb zaroorat hotay hain .
      mandarja zail tashbeeh yeh bitanay ke liye istemaal ki ja sakti hai ke isharay kaisay kaam karta hai. yeh thakawat ya neend ki alamat hai jab magarmach ka jabra, daant aur hont band hotay hain ( harkat ost lakerain jari hui hoti hain ). kyunkay is maqam par rujhan bohat kamzor hai, bohat se tajir position nah lainay ka faisla karte hain .
      jab aik magarmach bedaar hota hai to woh rechoon aur belon ka shikaar karne ke liye be taab hota hai kyunkay woh jitna ziyada sota hai, usay itni hi ziyada bhook lagti hai. khana shuru karne ke liye, magarmach –apne jabray kholta hai ( linen khol kar oopar ya neechay ki taraf barh jati hain ) .
      magarmach ab khanay mein dilchaspi khonay ke baad aaraam karne ke liye apna mun band kar laita hai ( linen aik dosray ke qareeb hoti hain ). agar is ne faida uthaya hai, to kuch tajir oopar ya neechay ki taraf se is maqam par apni holdngz band kar dete hain .





      Alligator indicator calculation formula

      alligator indicater farmolh haasil karne ke liye aap ko pehlay har candle stuck ki ost qeemat ka hisaab lagana chahiye, jo ke ( ziyada qeemat + kam qeemat ) / 2 ke barabar hai .

      How to trade forex using the alligator indicator

      adaad o shumaar ke teen ahem tukron ka jaiza le kar shuru karen jo alligator isharay usay forex trade karne ke liye istemaal karne se pehlay deta hai. aap apni forex trading hikmat e amli mein darj zail ko shaamil kar satke hain :
      jab sabz, surkh aur neelay rang ki lakerain jari hui hon ya aik dosray se qareeb ho jayen to market ka koi qabil feham rujhan nahi hota hai .
      jab surkh aur niilii moving average aik hi terhan se safar kar rahi hoti hai aur sabz harkat Pazeer ost un se guzarti hai to tenu harkat Pazeer ost aik hi simt mein chal rahi hoti hain, yeh aik rujhan ka qiyam hai .
      rujhan ki simt : rujhan sirf is waqt mojood hota hai jab tenu linen aik sath harkat kar rahi hon. agar sabz line surkh lakeer se onche ho aur surkh lakeer niilii lakeer se onche ho to oopar ka rujhan hota hai .
      aap cfds jaisay mushtaqat ko istemaal karte hue hamaray sath forex trade kar satke hain. is haqeeqat ki wajah se ke cfds leveraged products hain, aap bunyadi asason ko rakhay baghair qeemat mein tabdeeli par tijarat kar satke hain .
      mazeed bar-aan, aap position shuru karne ke liye margin ke naam se jana jata dpazt istemaal kar satke hain, jo trading ke liye dakhlay ki fees ko kam kar sakta hai. taham, margin par trading ka khatrah barh jata hai kyunkay aap ko apni lagai gayi raqam se ziyada raqam zaya honay ka imkaan hota hai. munafe aur nuqsaan ka inhisaar tijarat ki mukammal raqam par hai, aap ko phir bhi tijarat ki poori qeemat ka saamna karna parre ga. agar aap ko yaqeen hai ke alligator isharay oopar ki taraf jane walay rujhan ki nishandahi kar raha hai to" khareedain" tijarat kholeen. aap ke liye fx ki barhti hui qeematon se faida uthana mumkin hai. agar aap ko yaqeen hai ke isharay neechay ki taraf ishara kar raha hai to" farokht" ki position kholeen ( chhootey jayen ) taakay aap fx ki qeematon mein kami se faida utha saken. aap ko nuqsaan ho ga agar aap mein se koi passion goyyan ghalat hain .

      اب آن لائن

      Working...
      X