Candlestick chart:

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Candlestick chart:
    Assalam alaikum!dear members aj ki post main huk dekhen gy k candle stick chart kesy kam karta ha or esko use kr k apni trading ko kesy profitable bnaya jay.

    What is chart?
    Dear members chart bht jagha istmal hota ha jo k different time period or se related values ko 1 shakal main dekhata ha.aisy hi forex main price chart istmal hota ha js k x-axis py hamen trading pair ki price show ki jati ha jb k Y-axis py time period show kia jata ha jo k hum apni mrzi se change kar skty hain.
    estrha hamen different periods ki prices dkhny or unko compare karny k lye bht zada data ni dkhna parta bl k aik chart ki madad se hum ye kam thory se wqt main kar skty hain.

    What is candlestick chart?
    Candle stick chart 1 technical tool ha.ye baki charts se mukhtalif hota ha es main ksi trading pair ki price k bary main complete malomat hoti ha.
    es chart main kisi commodity ki price movement ko 1 bar type candle ki shkl main show kia jata ha. Candle hamen recent price movement bhi btati ha or es k sth sth hamen closing or opening price k bary main bhi btati ha.
    ye chart zada tr technical analysis main istmal hota ha or ye kafi useful ha.
    or es k sth sth jo candles es main hoti hain us k bhi alg alg patterns or meanings hoty hain jo k trading main help karty hain.
    Click image for larger version

Name:	5F79B144-1B7F-4838-BB21-EE36746CE03E.png
Views:	8
Size:	8.4 کلوبائٹ
ID:	12540851

    es chart ka main element candle hoti hai or Candles ki bhi 2 types hoti hain.jo k nechy di gai hain.

    Bullish candle:
    Bullish candle jesa k nam se b zahir ha ye buy ki candle hoti ha or ye chart main price k increase hony ko indicate karti ha.es ka color ap apni mrzi se select kar skty hain. Jb k commoly eska color green or white hota ha.

    Bearish candle:
    Bearish candle market main prices k km hony ko indicate karti ha or eska color commonly black ya red use hota ha laikin ap apni mrzi se koe bhi color istmal kar skty hain.


    Agr akely candle ko dekha jy to candle k bhi 2parts hoty hain jo k opening closing prices or price movement ko show karty hain.nechy candle k 2 parts ko detailed discuss kia gia ha or ap picture bhi dkh skty hain.

    Wick:
    candle wick es bat ko zahir karti ha k es pair kinprice yahan tk gai thi or wahan se phr wapis aa gai .
    for example aik candle pr hi price $5 barh jati ha or phr wapsi $4 km ho jati ha to 5 se 4 tk ka area aik wick ki shkl main show hota ha jo price k girny ko indicate karta ha.

    Body:
    Candle ki body colored hoti hai or ye btati ha k price kis direction main gai ha or opening price lia thi candle k close hony tk kia price thi.agr body bullish ho to prices increase hovi hoti hain or agr bearish ho to orices decrease hovi hoti hain.

    Click image for larger version

Name:	2E300A02-545B-4264-B6BA-6BE58A9BFB3A.png
Views:	17
Size:	15.9 کلوبائٹ
ID:	12540853
    Candlestick technical analysis ki base han agr hum candle sticks ko smjh kr market ko analyse karen to hum apni trading ko profitable bna skty hain.


  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Candlestick chart:

    Market Basic Price Charts


    Technical analysis currencies, stocks, futures aur market k degar mukhtalif cheezon me qeematon aur trend ki tabdeeli ka mutalea (study) hai. Qeematon me tabdeeleyon ka bunyadi tawar par mukhtalif indicators, oscillators ya trading techniques k zarye se se jayeza leya jata hai, takeh trader ko trading me ziada se ziada asani ho aur wo kamyab rahe. Technical analysis kisi bhi tarah se aik mukamal science nahi hai, lekin us me kuch hososeyat, patterns ya indicators hote hen jo baar baar duhraye ja sakte hen. Technical analyst in qeematon aur qeematon me tabdeeleyon ko chart par muratab (draw) karte hen, aur mukhtalif indicators kibmadad se supply aur demand area, trade setups, profit (take profit) aur stop loss ki position ka pata lagate hen.
    Technical analyst ne chart par market data ko pesh katne k leye mukhtalif tareeqay banaye hen. In charts me sab se ziada istemal hone wale charts "bar chart", "line chart" aur "candlestick chart" hen. Is k elawa bhi kuch degar chart hen, jaise; Kagi, Renko, point and figure chart aur Range bar charts, lekin us k istemal bohut kam hota hai.
    Technical analysis me istemal hone wale basic charts simple Cartesian structure (X&Y axis) ko follow karte hen. X-axis horizontally waqat (time) ko show kia jata hai, jab k Y-axis Vertically par wo qeemat ko show kia jata hai. Koi bhi indicator jo waqat aur qeemat se akhaz kia jata hai, ya to khud us ko chart par show karwaya jata hai aur ya us k nechay alehda se dosre chart pe waqat aur qeemat (time and price) k mutabiq graph pe plot kia jata hai. Kuch traders X-axis pe volume ko bhi plot karte hen.
    Charts ka mathematics sebara aham reshta hai, charts ko arithmetic, log ya semi log ki madad se banaye jate hen. Arithmetic charts me qeematon k darmeyan same wahi fasela hota hai, jahan log ya semi log charts me mutanasib qeematon ki movements k leye mutaghayer (variable) fasela hota hai.
    Technical ya charts ki analysis bohut sare points ko samajhne aur experience hasil karne k leye hote hen. Qeemat, volume aur waqat market ki teen bunyadi juzz hen. Bohut sare kamyab trader paisa kamane k leye sirf price action ka mutalea (study) karte hen. Kuch dosre trader analysis karne aur market ki movement ko dekhne k leye pecheeda mathematically theories aur tez-tareen computer technologies ka istemal karte hen. Bahar-hal qeemat k amal ho samajhna market me sab me sab se bari kamyabi hai, ye mushkil mathematics theories ya analysis se sab se behtar hai. Is k elawa sahi moqa se faida uthana aur market me apni entry aur exit ko darust karna bhi aham pehlo hai. Expert trader hamesha market theories, market psychology & dynamics aur money management ki bohut zyada experience rakhte hen, aur in ki waja se wo market me successful bhi rehte hen.
    Charts, patterns, indicators aur software sirf market k basic tools me shumar hote hen. Kamyab trader in ko sirf tools k tawar par dekhte hen, aur istemal ko samajhte hen. Wo trader theory banate hen aur aik strong money management k sath trading karte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (338).png
Views:	2
Size:	4.5 کلوبائٹ
ID:	12411561

    Market Basic Charts:


    Financial markets ya forex trading me sab se ziada istemal hone wale charts darja-zel hen:

    Bar Chart:

    "Bar" chart sab se easy hai, har time-frame me, aik vertically "bar" ko ko plot kia jata hai, jo us time-frame me qeematon ki range dekhaye jati hai. Har "bar" me aik left side pe "tick" hoti hai, jo k us ki opening qeemat hoti hai, jab k aik "tick" right side pe hoti hai, jo k us ki closing qeemat hoti hai. "bar" ka sab se uper hisa us time-frame k duran sab se bari qeemat hoti hai, jab k sab se nechay hisa us time-frame ka sab se kam qeemat hoti hai. "bar" ka time-frame 1 tick, 1 minute, 1 day, 3-days, 1 week, 1 month or 3-months aur ya koi bhi mehdod mudad ho dakti hai. Traders k sentiments aur nafseyaat (psychology) trading sessions k duran "bar" k opening qeemat (left tick) aur closing qeemat (right tick) k darmeyan taluq se hoti hai.

    Line Chart:

    "Line" chart dosre charts k muqabele me sab se saaf aur aik hi qeemat yani "closing price" par mushtamil hota hai. Line chart me open price area nahi hota hai, bas ye market me mojoda qeemat ko dekhati hai. Line chart ko high, low, open ya pivot price k leye plot kia ja sakta hai, lekin pore chart me sirf aik hi value honi chaheye. Line charts ko aam tawar par us waqat banaye jate hen, jab market me instruments k darmeyan muwazena karna ho, jaise; spread charts, comparison charts aur relative strength charts k darmeyan muazena kia jata hai. Is k elawa line charts ko chote trends ko dekhane k leye bhi istemal kia jata hai. Ziada tar indicators ko line charts ko dekh kar hi banaye jate hen, jsise ; RSI aur Stochastics.

    Candlestick Chart:

    Financial market me aur khas tawar par forex trading market me sab se ziada istemal hone wale chart me Candlestick chart hen. Candlestick chart ka aghaz Japan me 1600 me howa tha, jo wo rice k karobar me behtari k leye istemal karte the. Candlestick chart ko open aur close price k darmeyan taluq par banaya gaya hai. Aik candlestick aik timeframe ko show karti hai. Candlestick ki real body open aur close qeematon k darmeyan had (range) batati hai, agar candle ki closing price opening price se kam ho to us ki real body ko white color deya jata hai, jab k close price open pori se kam hone pe real body ko black colour deya jata hai. Candlestick k dono atraaf (sides) par "wicks" us candlestick ki timeframe k dowran sab se ziada ya sab se kam qeemat ko zahir karti hai. Candlestick k mukhtalif patterns hote hen, jo k supply aur demand k base pe hote hen. Taqreeban tamam traders line chart aur bar charts ki nisbat candlestick pe trading ko ziada tarjeeh dete hen aur market me istemal hone wale indicators jaise ; moving averages, trend lines aur RSI ka istemal candlestick chart k sath karte hen.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Candlestick chart:

      Assalamu Alaikum Forex members aaj ka Hamara topic candlestick chart se related hai
      Candlestick chart:

      candlestick chart Ek technical tool hai yah Baki Jaat Se mukhtalif Hota Hai ismein Kisi trading fair ki price ke bare mein complete maloomat Hoti Hai is short mein kisi commodity price movement Ko Ek Bar type candle ki Shakal Mein show Kiya Jata Hai candle Hamen decent price movement bhi batati hai aur Iske Hamen closing aur opening price ke bare mein bhi batati hai yah technical analysis Mein Shamil hota hai aur yah Kafi useful hota hai aur Iske Jo candle ismein hoti hai usko bhi pattern aur meanings Hote Hain Jo ki trading Mein help Karte Hain



      Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	1
Size:	8.4 کلوبائٹ
ID:	12412154


      is chart Mein elements candle hoti hai aur candle beat do type ki hoti hain

      Bearish candleBullish candle

      Bearish Candle:


      Bearish Candle market Mein prices ke kam Hone Ko indicate Karti Hain aur iska color commonly black ya red Hota Hai lekin aap apni Marzi se koi bhi colour istemal kar sakte hain yah Sel ki trade ko indicate Karti Hai K Market Kitna Gir sakti hai



      Click image for larger version

Name:	images (1).png
Views:	1
Size:	23.0 کلوبائٹ
ID:	12412155


      Bullish candle:

      bullish candle Jaisa ke naam se hi Zaheer hai ki yah Bhai Ki candle hoti hai aur yah chart Mein price ke increase Hone Ko indicate karti hai iska color aap apni Marji se select kar sakte hain jabki yah commonly iska color green ya white Hota Hai


      Click image for larger version

Name:	images (2).png
Views:	6
Size:	22.5 کلوبائٹ
ID:	12412156

      Conclusion:

      financial market or Khas Taur per Forex trading Mein sabse Jyada istemal hone wala chart candlestick chart Ek candlestick chart ka aagaaj Japan Mein 1600 mein hua tha Jo vah rice ke Karobar Mein Behtar ke liye istemal Karte The candlestick chart ko open aur close price Ke Darmiyan Taluk per Banaya Gaya Hai ek candlestick ek time frame for show karti hai candlestick ki real body open aur close Kim to prison Ke Darmiyan had batati hai agar candle ki closing price opening price se kam ho to uski real body ko white color Diya Jata Hai jabki close price open Puri se kam ho to hone per real body Mein black color Diya Jata Hai candlestick Ke donon Taraf sides per week ya use candles Ke Darmiyan time frame ke dauran sabse Jyada ya sabse kam kimat ko jahir Karti Hai pattern Hote Hain Jo ki supply aur demand ki base per hote hain takriban Tamam traders line chart aur bar chart ki nisbat candles take trading Aur Ko Jyada Sar ji Dete Hain

      اب آن لائن

      Working...
      X