Price in Percentage (Pips)
Pips forex trading ka aik basic value hai, jo k kisi currency jore ki vule main hone wali sab se kam tabdeeli hai. Forex trading me currencies pairs me hote hen. Ye currency pairs kabhi bhi kisi aik position par sakin nahi rehte hen yani kabhi upward jate hen, to kabhi downward. Currency pairs me shamil pehli currency ko "Base" currency ka naam deya jata hai, jab k dosre currency ko "Quote" currency kaha jata hai. Currency pair ki base ya qoute currency dono ki value me radubadal currency pairs ki movement par asar andaz hoti hai. Jiss se ye pairs up and down pips main movement karte hen.
Calculation
Pips ki calculation sab se asan hai. Yanni kisi currency pair ka (sewaye jinn pairs main JPY shamil ho) k value ka point k baad 4rth digit ko pios kaha jata hai. Jo k 0 se le kar 9 tak ho sakta hai. Currency jore k value k right side par pips pehla digit hota hai, jab k left side se 4rth. Agar aik currency pair USD/CAD ki maojoda value 1.1025 hai to is ka matlab hoga, k iss currency jore ka single pip 5 hai.
Currency pairs main right side se second aur left side se point k baad 3rd digit 10pips ya 1pip × 10 ka hota hai. Jab k point k baad 2nd digit 100pips ya 1pip × 100 ka hota hai, jab k point k baad 1st digit 1000pips ka ya 1pip × 1000 ka hota hai.
Note: Jin currency pairs main Japanese Yen (JPY) shamil hota hai, uss ka pips point k baad two pips ka hota hai, jaise USDJPY ki current value agar 113.34 hai to iss me point k baad left side se 2nd digit jab k right side se 1st digit currency jore ka single pip hoga. Jab k point k baad left side se 1st digit 10pips ya 1pip × 10 k barabar hoga.
Spreads
Bid price aur ask price k darmeyan faraq ko Spread kaha jata hai. Spreads ko financial market me pipsbme count kia jata hai. Agar aik currency jore USD/JPY ki bid qeemat 110.50 aur ask qeemat 110.76 hai to ye 50 aur 76 k darmeyan faraq (pips) ko spread kehte hen. Spreads dar-asal brokers ki commission hoti hai, jo wo apne clients se trading k sahulat k badle le rahe hote hen. Aam tawar par brokers apne clients ko pehle teen digits me radu-badal nahi karte. Bulke wo sirf last 2 digits ka hi hawala pesh karte hen k 50 aur 75, yani bid price 50 hai aur ask price 75. Aaj kal forex market me 5 digits ki sahulat bhi muhaya ki jati hai. Is waja se market me bid aur ask ki trade lagane se pehle is ko baghawar tajzeya zarori hai.
Trading Pips ko Made Nazar Rakhna
Baaz dafa traders aik point par dokha kha jate hen, wo ye k ziada tar forex brokers currency pairs ko 5th digit me bhi pesh karte hen, jo k 1pip ya single pip ka daswan ya 1/10 pip hota hai. Iss ko aam tawar par "Pipette" kaha jata hai. Ye hargez aik pip nahi hota hai, jiss ko traders riak reward ratio k dowaran calculation main ghalti kar jate hen. Trading k leye 5th digit ki bajaye 4rth digit ko hi count karen. 5th digit ka faida ye hai k iss ki waja se brokers ne apna spread kam kar deya hai, jiss se traders ko ziada faida hasil howa hai.