what is long legged Doji candle stick chart pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    what is long legged Doji candle stick chart pattern
    Introduction:-

    long legged doji candlestick pattern candlestick ke aik kism hey jis k higher or lower wick hoty hain. tamam Doji candle stick ke starting or end priceaik jaice hote hey jes ke lower or upper wick long hote hey long legged doji market ke types mein farq adam faislay ko indicate karte hey kun keh long upper or lower shadw ko indicate karta hey kun keh buyer or seler dno strong hotay hein or market apni mostakbell ke direction ka faisla kar rehe hote hey yeh range market ko sakhat identify karnay mein madad karta hey.long legged Doji cadle stick pattern akallay trade nahe ke ja sakte hey aik best trading set up ko bnany k liye ap ko es candle stick kay sath sungum ko shamell karnay kay ley zaroorat hota hy.

    Click image for larger version

Name:	images (20).png
Views:	8
Size:	15.8 کلوبائٹ
ID:	12540291

    Explanation:-

    Long-legged doji candle market me us waqat banti hai, jab candle ka open aur close aik hi position ho, aur up-down pe aik bara saya ho. Candle ka open aur close bulkul darmeyan (center) me hona chaheye, albata uper aur nechay bara saya ho. Is k lambe (long) saye (shadow) ki waja se is ko "high wave doji" bhi kaha jata hai. Dosre doji candles ki tarah Long-legged ko bhi market reversal ya trend continuation k tawar par samjha jata hai. Agar ye candle kisi bullish trend ya ziada qeemat wale area me banti hai to is ko trend reversal ya bearish trend k tawar par pesh kia jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (12).jpeg
Views:	5
Size:	30.2 کلوبائٹ
ID:	12540292

    Long-legged doji candle bhi market main buyers aur sellers ki yaksan hone par wajood main ati hai. Single candles pattern jiss main buyers aur sellers ka market main control aksar barabar rehta hai, aik neutral candles tasawar ki jati hai. Long-legged doji candle ki ooper aur nechay aik lamba shadow ya wick hota hai, jiss ka darmeyan main aik line si real body hoti hai, jiss main prices ka open aur close same hota hai. Ye aik neutral candle shumar hoti hai, jo k aik strong trend k dowran trend reversal ka signal de skti hy.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: what is long legged Doji candle stick chart pattern

    Long-legged Doji Candle

    Doji candles prices par dore real body wali candles se alaga bhi dekhti hai aur iss k banne ka phenamena bhi bohut mukhtalif hota hai. Normal small timeframes main ye candles bohut ziada banti hai jiss ki koi khas value nahi hoti hai, lekin long timeframes jaise daily weekly ya yearly timeframe main ye candles bohut ziada value rakhti hai. Doji candles main aksar qeematen market main pora din kisi aik side par trade karne k baad akher main apni position par wapis a kar close ho jati hai. Lekin aik doji candle aisi bhi hai jiss k open qeemat k dono sides par pora din prices trade karne k baad wapis a kar apni sabeqa position par band ho jati hai, jiss ko Long-legged doji candle kaha jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (61).png
Views:	2
Size:	2.1 کلوبائٹ
ID:	12404852

    Candle ki Pehchan k Rules
    1. Long-legged doji candle aik bagher real body wali candle hoti hai, iss waja se qeematon main ye candle neutral shmar hoti hai.
    2. Candle k upper aur lower sides par aik long shadow hota hai, jo shadow upper side par hota hai, taqreeban same length ka shadow lower side par bhi hota hai.
    3. Candle k open aur close price same point par hote hen, jab k long timeframes main agar aik dosre k bohut ziada qareeb bhi hone to bhi ye Long-legged doji candle shumar ki jati hai.
    4. Candle par matloba timeframe k dowran bullish aur bearish pressure aik jaisa hota hai, jiss se upper aur lower sides par aik bari shadow k baad wapis apni position par band hoti hai.


    Click image for larger version

Name:	images (60).png
Views:	13
Size:	2.9 کلوبائٹ
ID:	12404853

    Candle ki Tafseel


    Long-legged doji candle aik star doji ki trah se hoti hai, lekin upper aur lower sides par bare shadows ki waja se ye candle uss se mukhtalif dekhti hai. Iss ko candle ko aam tawar par "Rickshaw man candle" bhi kaha jata hai. Ye candle qeematon main uss waqat banti hai, jab bhi matloba timeframes k dowran prices par pehle up ya down side se bohut ziada dabao a jata hai aur uss k baad ulat semat se same pressure parta hai, to uss sorat main ye candle form hoti hai. Candle agar prices k darmeyan main hon to iss ko neutral candle tasar kia jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (62).png
Views:	1
Size:	6.9 کلوبائٹ
ID:	12404854

    Candle par Trading

    Long-legged doji candle par trading se pehle iss ka aik long timeframes main hona zarori hai, q k short timeframes main ye candle bohut ziada bante hen, jiss ki koi value nahi hai. Dosr aiss candle k leye resistance ya support level par hona bhi aham hai. Ye candle resistance level par black candle ya bearish trend reversal candle ban jati hai, jiss par sell ki trades lag sakte hen. Jab k support level par buy ki entry ki ja sakti hai, q k ye bullish ya white candle ban jati hai, jiss par buy ki entry ki ja sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (63).png
Views:	1
Size:	7.6 کلوبائٹ
ID:	12404851
    • #3 Collapse

      Re: what is long legged Doji candle stick chart pattern

      Long-Legged Doji
      lambi tangon wali dogi candle stuck ka jism mamooli sa hota hai kyunkay is ke oopri aur neechay ke lambay saaye aur khilnay aur band honay ki qeematein taqreeban barabar hoti hain .
      Understanding the Long-Legged Doji


      lambi tangon wala dogi bunyadi security ki qeemat ki simt par ghair yakeeni ki nishandahi karta hai. qeemat ke lehaaz se aik ya ziyada lambi tangon wali dogi ki tashkeel aik mazboot patteren mein daakhil honay se pehlay ya aik naya tayyar karne ke liye toot phoot ka ishara day sakti hai. rujhan. sab se ziyada qabil zikar lambi tangon wali dogi mom batian aik mazboot really ya kami ke douran namodaar hoti hain. taweel tangon walay dogi ke mutabiq, rasad aur talabb ki quwatoon ke tawazun ke sath rujhan mein tabdeeli waqay ho sakti hai. yeh haqeeqat ki wajah se hai. yeh tawazun ya hichkichahat is baat ki nishandahi karti hai ke qeemat ab is simt mein nahi barh rahi hai jo pehlay thi. mood badal raha hai. misaal ke tor par, qeemat bherne ke douran ziyada hoti hai, aur ziyada tar periods ke band honay walay un ki ibtidayi qeematon se ziyada hotay hain. lambi tangon wala dogi is baat ki nishandahi karta hai ke khredar aur baichnay walay kisi samjhotay par anay se pehlay tanaza mein masroof thay jahan woh taqreeban barabar thay. yeh pehlay ke zamane se mukhtalif hai jab khredar incharge thay. patteren dukhaay ga, lekin taweel mudti chart usay ziyada wazeh tor par dukhaay ga kyunkay is ki pedawar mein ziyada log shaamil hain. yeh barray dogi khandan se talluq rakhta hai, jis mein aam dogi, drign flayi dogi, aur gravestone dogi bhi shaamil hain .
      Long-Legged Doji Example

      tesla inc. mein lambi tangon walay dojis ki chand misalein sath walay graph mein dukhaay gaye hain. misalein yeh zahir karti hain ke patteren zaroori tor par khud ahem nahi hai. taham, aam mahol, ya market ka dhancha, hai. qeemat gir rahi hai. baen aur phir lambi tangon wala dogi banata hai. qeemat bherne se pehlay hi mustahkam ho jati hai. bil akhir, agarchay, qeemat raftaar haasil karne se qassar rehti hai aur aik baar phir gir jati hai .
      aik aur lambi tangon wali dogi banti hai jab ke qeemat girty rehti hai. aik baar phir, consolidation ka marhala abhi shuru sun-hwa hai. qeemat mein majmoi tor par izafah hota hai consolidation se guzarnay ke baad. agarchay lambi tangon wala dogi ulat ka sabab nahi bantaa tha, lekin is ne market ko signal diya tha. oopar ki taraf mourr se pehlay istehkaam ya hichkichahat. qeemat girty hai aur dayen taraf mazboot hoti hai. istehkaam ke baad, aik lambi tangon wala dogi bantaa hai, jo is ke andar band honay se pehlay mazbooti ke nichale hissay se neechay girta hai. qeemat phir barhna shuru ho jati hai. is dogi ka asli jism thora bara tha
      .


      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: what is long legged Doji candle stick chart pattern

        WHAT IS LONG LEGGED DOJI CANDLESTICKS PATTERN :





        Long legend doji ak candlestick ha jes ka long upper or long lower shadow ha or is candel ke opening or closing price same he ha is candel ke ak small real body hote ha. Jab ya pattern market ma strog advanced or decline ka bad banta ha to ya pattern ak indecision pattern ke trha kam kara ga. Kuch traders is pattern ma ak long legged doji candel ka banay ka bad market ma enter ho jata ha or kuch traders is candel ka bad market ka ak side par jana ka wait karta ha. Long legend doji candel ka banay ka bad market bullish ya bearish dono ma sa kese ak side par move kar jay ge ya depend kar raha ho ga ka ya long legged Doji candle maker ma kes point par bana ha.





        UNDERSTANDING LONG LEGGED DOJI CANDLESTICKS :





        LONG LEGEND DOJI signal da ga ka market na future ma kon se side par jana ha bullish ya breash. Is pattern ko sab sa zada aham tab samja jata ha jab ya pattern market ma strog uptrend or downtrend ma banay. Long legged foji huma batay ha ka market ma supply or demand ak equilibrium ke trha kam kar raha ha yani is ma market ke demand or supply equal ha. Long legend doji ma buyer or seller ka darmiyan ak fight chal rahe hote ha magar end ma buy or sell ak he position ma a jata ha. Ya long legged Doji pattern huma all time frame par dakhna ko mil jata ha, magar ya pattern sab sa acba kam tab karta ha jab is pattern ko longer time frame ma dakha jay. Long legend doji part hota ha doji pattern ka jes ma standard doji, Dragonfly doji or Gravestone doji hota ha.





        TRADING WITH LONG-LEGGED DOJI :





        Is long legged Doji candlestick pattern ma trading karna ka bahot sa tareka ha ya pattern ak he candel sa banta ha jes ke waja sa bahot sa traders is pattern ko zada significant ni lata q ka is pattern ma market ke price move ni hote. Kuch traders is pattern ke conformation ka liya is pattern ka sath kuch price movement ko bhi dakhta ha jo ka is long legged Doji candle ka bad hote ha. Agar ap is pattern ma trade karna chata ha to traders sab sa phalay is pattern ko dakha ga or kuch wait kara ga ka market ke price lower jate ha ya higher agar market ke price higher jate ha to traders is ma long position la ga or agar price low ate ha to is ma short position traders la ga. Is pattern ma trade karna ka liya traders ko chaiya ka wo is pattern ka compl9hona ka wait kara or pattern ka complete hona ka bad kuch time wait kara ka market kon se side par jate ha phir is ma trade ko enter kara.





        LONG-LEGGED DOJI EXAMPLE :





        Ya jo chart ap ko show ho raha ha ya kuch examples ha long legged doji pattern ke. Ya example show kar rahe ha ka is pattern ma market koi significant move ni kar rahe. Ap chart ma left side par dakh sakta ha ka market ke price fall ho rahe ha or ose point par ak long legged Doji candle bane ha is ka bad price consolidate ho ge or market up ma move kar jay ge is ka bad market dobara sa fall ni hoi. Kuch time bad market dobara sa fall ho ge or ak new long legged doji candle banai ha is ma market dobara sa consolidation ho ge magar is bar market consolidation ko break kar jay ge or higher move kara ge magar long legged doji reversal ni kara ge.

        اب آن لائن

        Working...
        X