Bulls power & Bears power indicator identification ?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bulls power & Bears power indicator identification ?
    Assalamualaikum to all friends umeed hy tama members khryat say hn gy .Dear Members aj ka topic Bull power aur Bear power Indicator per bat karty hain .Yeh bhot ki shandar Indicator hy yeh hamin buy ya sell k signals provide krta hy.agr hum is indicator ko achi tarha smjh lety hian to humary trading skills main izafa ho ga or market ko analyze krnay main bi bhot madad mily gi .Aur ham loss se bhi bach skty hain.
    What is Bulls Power .
    Dear members Bull Power humain Buy signals provide krta hy jab hum Bull Power ko chart pr apply kraty hain to humain zero line or Bull power k Histogram nazar atay hian.
    Dear members Bull Power k Histogram Zero Line k oper ya nechay nazar aty hian jab chart main bullish candle banti hy to bulls power zero line k upward side pr banin gi .

    Click image for larger version

Name:	1578904892-88c1ceb8ad1b0be7870b26ce8f79acc7_1200x1200_q90v3.png
Views:	2
Size:	48.6 کلوبائٹ
ID:	12540280 What is Bears power .
    Dear members ye indicator bhi dkhny main same bulls power ki trha ka oscillator hota ha or zero ki value k gird move karta ha frq sirf itna ha k bulls power buyers ki strength ko measure karta ha jb k Bears power sirf sellers ki strength ko measure karta ha.jb market downtrend main ho or bears power ki value zero ya us se nechy ho mtlb negative ho to ye es bat ki indication hota ha k sellers ab strong hain or trend bhi down ha to ap market main sell ki entry le skty hain.laikin agr trend down ho or Bears power ki value zero se opr mtlb k positive ho to apko selling se avoid karna chahye.

    Click image for larger version

Name:	1578904908-9a818766fbb125f0cc493703a60cc6fe_1200x1200_q90v3.png
Views:	2
Size:	51.0 کلوبائٹ
ID:	12540281
    Bulls Power & Bears Powe k sath trading...
    Dear members Bulls Power or Bears Power trading main bhot zyada faida mand sabit hoti hy sab say phaly humain trend ko identify krna ho ga agr trend bullish/up hy to hum Bulls Power ko use krain gy or hum is main esi strategy use krain gy k market jitni down ay p nay buy ka order open krna hy or dekhna hy jab ap buy ka order open krain to Bulls Power k histogram zero line k oper start ho rha ho . Es ky braks agr agr trend bearish ho to humain us waqat sell ka order open krna chahey jab bears power zero line sat nechay start ho rha ho .
    Click image for larger version

Name:	images (9).jpeg
Views:	1
Size:	72.5 کلوبائٹ
ID:	12540278

    Divergence pattern .
    Dear members divergence us situation ko khty hain jis main indicator or price action opposite direction main move karty hain.aisy hi bears & bulls power or price action k drmyan bhi difference aa jata ha ho skta ha k market uptrend main ja rhi ho laikin bulls power abhi b negative ho to ye trend reversal ki indication ho skti ha es situation main apko buying avoid karni chahye or aisa hi downtrend main Bears power k sth ho skta ha tb apko selling avoid karna chahye. How to setup on MT4. Dear Friends Bulls Power or Bears Power do alag alag Indicator hain hum in dono ko bi ba asani chart pr apply kr skty hian.Bulls Power or Bears Power ko Apply krnay k leay humain Indicator k option main jana hy or Bulls Power ko add krna or ici trha hi ap bears power ko apny Mobile App MT4 ya MT5 k chart pr apply kr skty hian .MT4 or MT5 main is Indicator ko apply krnay ka same treeqa hy .
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bulls power &amp; Bears power indicator identification ?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bulls and Bears Power Indicator


    Market ke do ahem levels hain, bullish aur bearish, aur bulls aur bears power indicator market ke un jazbaat ki asal taaqat ki pemaiesh karta hai. Bills and bears power indicator ko mashahoor technical analyst Alexander Elder ne tayyar kya hai, aur uss ne iss ko apne book "Trading for a Living" mein iss k bare bayan tafseel bataya hai. Agarchay iss indicator ka tasawur pehlay se thora sa paicheeda maloom ho sakta hai, lekin yeh haqeeqat mein bohat aasaan hai aur sirf price aur aik exponential moving average ka istemaal karta hai. Jiss ki tafseel darjzzel bataye gaye hai:

    Click image for larger version

Name:	images (71).jpeg
Views:	1
Size:	40.1 کلوبائٹ
ID:	12453108

    Bulls Power


    Bulls power indicator ka bunyadi maqsad kisi bhi waqat market mein buyers ke muqablay sellers walon ki nisbatan taaqat ka andaza lagana hai. Yeh kaisay karta hai? yeh aasani se pemaiesh karta hai, keh aaya mojooda price pichli price se ziyada hai, aur agar yeh hai, to bulls ko' winner' samjha jata hai. Yeh mojooda baar ki sab se ziyada price, aur aik exponential moving average ; jo aam tawar par 13-periods by-default select howa hota hai, ke darmiyan farq ko le kar kya jata hai. Indicator k mutabiq tez calculation karte howe darjazel formule ka istemal kia ja sakta hai;

    Bull Power = High price - Exponential Moving Average.

    Click image for larger version

Name:	images (75).png
Views:	1
Size:	13.5 کلوبائٹ
ID:	12453109

    Bears Power

    Bears power indicator sirf bulls power ka ulta ya opposite hai. yeh bears ki taaqat ko zahir karta hai, jis ka matlab hai ke agar mojooda price previous price se kam hai, to bears winner kehlayengay. Bears power indicator ka bunyadi maqsad buyers ke muqablay main sellers walon ki nisbat taaqat ka andaza lagana hai. Aisa karne ke liye, aap sab se low price aur exponential moving average ke darmiyan faraq letay hen ; jo ziada tar by-default 13-periods ka hota hai. Darjazel formula ki madad tez indication ki ja sakti hai:

    Bear Power = Low price - Exponential Moving Average

    Click image for larger version

Name:	images (74).png
Views:	9
Size:	13.9 کلوبائٹ
ID:	12453110

    Trading


    Bulls and Bears power indicator ko oscillator ke tor par banaya gaya hai. bulls power indicator istemaal karte waqat, aap ko buy chahiye jab histogram zero se oopar jaye aur instrument price exponential moving average ya EMA se ziyada ho. Indicator exit signals ki bhi nishan-dahi kar sakta hai, jaisay ke jab histogram zero se neechay a jata hai, aur ziyada price exponential moving average yanni EMA se neechay jati hai, yani price low ho rahi hai.
    Bears power signals ke liye, jab histogram (chart ke nichale hissay mein waqay market) zero se neechay chalay jatay hen, aur low price EMA se kam hoti hai, to aap yahan par aap sell kar sakte hen. Yeh yahan par bhi exit signals ki bhi nishan-dahi kar sakta hai, jaisay ke jab histogram zero se oopar jata hai, aur low price EMA se oopar jati hai yani price increase ho rahi hoti hai.
    Yeh aksar kaha jata hai, keh bulls and bears power indicator ko trend k indicator k sath mil kar lago kya jaye, jaisay ke moving average trend ki simat ki confirmation halasil karne ke liye hota hai. Bulls and bears power indicator kuch dosray indicators ki terhan ziada mashahoor indicator nahi hai. Taham, yeh aik wazeh aur mufeed tasawur faraham kar sakta hai, keh is waqat market ka control kiss k pass hai.

    Click image for larger version

Name:	images (76).png
Views:	1
Size:	28.5 کلوبائٹ
ID:	12453111

    اب آن لائن

    Working...
    X