Fix Spread aur Variable Spread ka Tafseilee Jaiza.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Fix Spread aur Variable Spread ka Tafseilee Jaiza.
    Assalamu Alaikum dear senior and junior members Jab aap Forex trading market mein Kisi broker ki selection kar lete hain aur usmein apni entry ko mukmmal karte Hain to aisi condition mein aapko har trade open karne ke liye broker ko commission Dena hota hai jisko market mein spread kaha jata hai agar aap market mein kisi bhi broker ko select karte Hain to iske against ho aap se commission jarur charge karta hai iski kuchh important details yah hai.

    Broker's Commission / Spread

    Dear member Jab aap market mein Koi trade open karte Hain to iske against aapko broker ko jarur commission Dena hota hai is commission ko market mein spread kaha jata hai iski ratio totally different ho sakti hai Jab aap market mein kisi broker ko commission dete Hain to ismein aapko kuchh broker jyada commission charge karte hain aur kuchh broker minimum commission charge karte hain.

    Categories of Spread

    Dear member Jab aap market mein commission ke categories ko classified karte hain to ismein aapko do different types ke commission ki types available hoti hai jinki complete details aapko pata honi chahie kyunki Jab aap market mein kisi broker ki selection karte hain to ismein aapko selection se pahle broker ke commission ka bhi completely idea hona chahie kyunki ismein aapke liye ek important factor hota hai.

    Fix Spread

    Kuchh brokers market mein aapko fix commission offer kar rahe hote hain yah vah broker hote hain jinhone apne commission ke charges ki details aapse already share ki Hui hoti hai aur ismein aapko hamesha ek fix rate se commission charge Kiya ja Raha hota hai ismein market ki vo retaility jyada hoti hai ya minimum hoti hai aapko sem rate se Hi commission Dena hota hai is type ko aap market mein fix Spread kaha jata hai.

    Variable Spread

    Variable commission wo commission hota hai ki jo different brokers aapko different occasions per offer kar rahe hote hain aisi condition mein aapko sometime broker bahut jyada commission charge kar raha hota hai aur sometime aapko yah broker minimum commission charge kar raha hota hai aisi type ko aap variable commission ke naam se jante Hain yah commission Same time aapke liye bahut jyada dangerous bhi ho sakta hai isliye Jab aap market mein enter hote hain to aapko market mein broker ki selection karne se pahle yah idea hona chahie ki broker aapko kaun sa commission charge kar raha hai aur iske advantages aur drawbacks kon kon se ho sakte hain.

    Calculating Commission

    Jab aap Kisi broker ka Commission calculate karna chahte hain to aap Kisi bhi pair aur commodities per aasani ke sath isko calculate kar sakte hain kyunki Jab aap metatrader 4 per sign in hote hain to aapko ismein ask price aur bid price ke difference ko calculate karna hota hai aur aap aasani ke sath broker ke Commission ko calculate kar sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	incito-manage-comissions-pic.jpg
Views:	1
Size:	82.5 کلوبائٹ
ID:	12540272

    Overview

    Market mein Jab aap different brokers ki study karte hain to ismein aapko yah idea milta hai ki market mein available different brokers aapko different Commission offer kar rahe hote hain kuchh aise brokers hote hain jo aapko minimum Commission offer kar rahe hote hain aur kuchh aise brokers hote hain jo aapko jyada Commission charge kar rahe hote hain aur Market mein kuchh aise brokers hote Hain Jo multiple commodities per different rate off Commission charge kar rahe hote hain isliye market mein enter hone se pahle aapko yah information acchi tarah learn kar leni chahie aur ek reliable broker ke sath apni working karni chahie.

    Click image for larger version

Name:	202012-article-forex-broker-commission-how-reasonable-is-it-1640.jpg
Views:	1
Size:	5.7 کلوبائٹ
ID:	12540271
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Fix Spread aur Variable Spread ka Tafseilee Jaiza.

    Spread


    Forex trading me aksar aap logon ne bid price aur ask pk darmeyan faraq note kia hoga, prices k darmeyan is faraq ko Spread kaha jata hai. Spreads ko financial market me pips me count kia jata hai. Agar aik currency jore USD/JPY ki bid qeemat 110.50 aur ask qeemat 110.75 hai to ye 50 aur 75 k darmeyan faraq (pips) ko spread kehte hen. Spreads dar-asal brokers ki commission hoti hai, jo wo apne clients se trading k sahulat k badle le rahe hote hen. Aam tawar par brokers apne clients ko pehle teen digits me radu-badal nahi karte. Bulke wo sirf last 2 digits ka hi hawala pesh karte hen k 50 aur 75, yani bid price 50 hai aur ask price 75. Aaj kal forex market me 5 digits ki sahulat bhi muhaya ki jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (299).png
Views:	4
Size:	18.2 کلوبائٹ
ID:	12411323

    Spread ki Aqsaam


    1. Fixed Spread
    2. Variable Spread



    Click image for larger version

Name:	images (166).jpeg
Views:	5
Size:	33.4 کلوبائٹ
ID:	12411324

    1. Fixed Spread


    Fixed spread brokers ki taraf se traders ko faraham karda wo spread hota hai, jiss main bid aur ask price k darmeyan koi faraq ziada nahi hota hai, aur ziada tar ye bid aur ask k darmeyan spread aik mustehkam (fixed) value hoti hai. Fixed spread me brokers ziada tar apne clients se commission ka kuch percentage bhi osool karte hen. Fixed spread accounts k aksar rules aur regulations bhi ziada hote hen, jaise; account me maojood balance ziada hona chaheye, baaz items pe commission bhi rakha jata hai. Lekin in sab k bawajood fixed spread account ziada behtar hote hen, q k is me spread kam hota hai, aur hota bhi mustehkam, to na to traders ko slippage ka darr hota hai aur na hi kam munafa k chances. Zero spreads wale account bhi fixed spread wale account me shumar hote hen.

    2. Variable Spread


    Variable spreads wale account forex trading main sab se ziada istemal hone wale account hote hen, jiss me bid aur ask price k darmeyan faraq har waqat aik jaisa nahi rehta, yani market ki teezi k sath ye faraq barh jata hai aur slow market me ye kam ho jata hai. Variable spread kam volume wale account pe hote hen, jis me brokers ko ziada munafa melta hai. Variable spread wale account me kuch major currency pairs pe spread to kam hota hai, lekin minor ya cross currency pairs ka spread ziada hota hai. Ziada tar forex brokers ye account apne clients ko faraham karte hen , jiss me clients k amount ka sarmaya kam hota hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X