what is bullish kicker candelstick pattern???

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    what is bullish kicker candelstick pattern???
    assalium o alekum

    dear Forex member
    ummid Karti hun aap sab khairiyat Se Maine Sapne bar Koi complete kar rahe Honge Jaisa ki AAP Sab Jante Kisi bhi Business mein kamyabi Hasil karne ke liye Hamen mehnat se kam karna hota hai isliye Main mehnat Aur knowledge ko increase karna chahie Jitna Jyada knowledge Hoga itna hi jyada Ham Forex Mein Kamyab ho sakte hain Hamen Apne target ko complete karna chahie Taki Hamen Achcha bonus Mile acche bonus bhi Hamen acchi Tarah Se kar sakte


    Bullish kicker


    jaisa ke kaha gaya hai, aik taizi keekar candle rujhan se qata nazar ho sakti hai aur yeh aik mazboot blush signal hai. dosray lafzon mein, yeh khayaal kya jata hai ke signal ke nafiz honay ke baad market oopar jane ka khatrah hai .


    Click image for larger version

Name:	Bullish-Kicker.png
Views:	5
Size:	694 بائٹ
ID:	12540096
    how to identify bullish kicker candelstick :


    *patteren bearish ( surkh / siyah ) candle se shuru hota hai .

    *doosri mom batii ka farq oopar ki taraf hai, aur pichlle din ke band se oopar khilta hai. yeh seedha chalta rehta hai aur aik taizi se mom batii ke tor par khatam hota hai .


    *khalaa ko doosri shama ki batii se pur nahi kya jana chahiye, balkay achhot chore diya jaye. dosray lafzon mein, candle stuck mein aik choti ya ghair mojood nichli vick hoti hai .



    what does a bullish kicker meaning?


    patteren ka aaghaz bearish candle se hota hai, jo hamein batati hai ke reechh fi al haal control mein hain. woh market ko mazeed neechay dhakelnay ka intizam karte hain, aur kam az kam aisa lagta hai ke bail kahin nazar nahi atay .

    taham, jab doosri mom batii khech li jati hai, to mizin palat jati hain aur bail qaboo pa letay hain. market pichli baar ke khilnay se oopar oopar hai jo aik barri taaqat ki alamat hai .

    doosri mom batii jari rehti hai, aur is baat ki tasdeeq karti hai ke pichlle khulay ke oopar mojood khalaa ne hamein kya dekhaya hai. yani reechh control kho chuke hain aur bail ab qaboo mein hain .

    jaisa ke aap dekhte hain ke taizi keekar kaafi dramayi namona hai. yeh zahir karta hai ke kis terhan market ki quwaten raton raat mukammal tor par badal gayeen. aur yeh woh cheez hai jis se hum apni tijarat mein faida utha satke hain !

    example of bullish kicker

    Click image for larger version

Name:	Bullish-kicker-example1.png
Views:	5
Size:	3.4 کلوبائٹ
ID:	12540094

    Click image for larger version

Name:	bullish-kicker-example2.png
Views:	6
Size:	3.5 کلوبائٹ
ID:	12540095
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: what is bullish kicker candelstick pattern???

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Kicking Candlestick Pattern


    Bullish kicking candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil pehli candles bearish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se low area ya bearish trend main hona zarori hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hone ki waja se prices bullish trend reversal ka sabab banti hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. Jab bhi market main buyers prices ko aik khas level tak ooper push karte hen, to yahan par trend reversal k imkanat ziada hote hen, ye trend confirmation aksar kuch pattern se confirm ho jati hai, jiss main bullish kicking pattern bhi shamil hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (322).png
Views:	32
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12411165

    Candles Formation


    Bullish kicking candlestick pattern prices k downtrend ya lower par high demand ki waja se banta hai, jahan par trend reversal k ziada imkanat hote hen. Pattern main shamil candles mukhtalif pattern ki yanni bearish aur bullish hoti hen, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (3) (320).png
Views:	39
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12411166

    1. First Candle: Bullish kicking candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices ko downtrend ya bearish trend ki akasi karti hai. Ye candle bearish trend ko mazeed nechay ki taraf push karti hai, aur market main low demand ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body wali candle hoti hai.

    2. Second Candle: Bullish kicking candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k top par gap main open hoti hai, aur close bullish real body banane k baad above par hoti hai. Pattern ki dono candles aik dosre k qareeb open hote hen, jab k close aik dosre k opposite direction main close hote hen. Pattern ki dosri candle trend k opposite direction aur pehli candle k upper side par banne ki waja se prices k mojoda trend k khatme ka bahis banti hai.

    Explanation

    Bullish kicking candlestick pattern prices main bearish trend k dowran ban kar prices ko mazeed nechay jane se rok leti hai. Ye pattern aik strong trend reversal ka signal deti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jo k prices k bearish ya down trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, aur iss candle ka open price pehli candle open price se ooper gap main hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k prices ko nechay jane se rokh deti hai, jiss se prices ka mazeed down-fall stop ho jata hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k close price par open hone ki bajaye, open price se bhi ooper gap main open hoti hai, aur higher high banate howe ooper ki taraf close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (321).png
Views:	8
Size:	2.6 کلوبائٹ
ID:	12411167

    Trading

    Bullish kicking candlestick pattern prices k bottom main banne ki waja se aik bullish signal genrate karta hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trade enter karne se pattern ki dosri candle aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bullish candle honi chaheye, aur dosri candle k top par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value oversold zone main honi chaheye. Pattern k baad bearish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka Stop Loss sab se lower ya pehli candle k close price se two pips below par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (157).jpeg
Views:	5
Size:	51.6 کلوبائٹ
ID:	12411168

    اب آن لائن

    Working...
    X