Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Mat-Hold Pattern
Bearish mat hold pattern price chart par sabeqa bearish trend ko apni semat main agay ki taraf barhate hen. Pattern panch candles ka aik majmoa hai, jiss main pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jiss se pechle bearish trend ki information melti hai, aur ye candle aik long real body main hoti hai. Pattern ki agli teen candles small real body main bullish hoti hai, jiss main pattern ki dosri pehli bearish candle k lower side par gap main open hoti hai, lekin close ussi k real body main hoti hai. Pattern ki teesri aur chothi candles pehli candle k real body main aur close dono hote hen. Pattern ki small real body wali candles se prices bearish side par mazeed nechay jane se thore se rok jati hai. Jab k last candle wapis bearish trend karwati q k ye aik long real body wali bearish candle hoti hai.
Candles Formation
Bearish mat-hold pattern main shamil panch candles up aur down dono patterns k hote hen. Ye candles bearish trend ko waqti tawar par kuch lamhe k leye rok to leti hai, lekin last candle ki waja se prices wapis same sabeqa trend par chalti hai;
1. First Candle: Bearish mat hold pattern ki pehli candle aik lobg real body wali bearish candle hoti hai, jo k sabeqa bearish trend ki akasi karti hai. Pattern ki ye candle black ya red color main hoti hai, jo k ziada tar bagher long shadow k hoti hai.
2. Second Candle: Bearish mat hold pattern ki dosri candle aik small bullish candle hoti hai, jiss ka open to pehli bullish candle se nechay gap main hota hai, lekin close pehli candle ki real body main hota hai. Ye candle white ya green color main hoti hai.
3. Third Candle: Bearish mat hold pattern ki teesri candle bhi small real body main hoti hai, jo k aksar to bullish candle hoti hai lekin ye bearish bhi ho sakti hai. Ye candle bhi pehli candle ki real body main banti hai.
4. Fourth Candle: Bearish mat hold pattern ki chothi candle same small bullish candles ki tarah banti hai, aur ye bhi black ya red main hoti hai. Ye candle bhi pehli candle ki real body main open aur close hoti hai, lekin teesri candle k lower par banti hai.
5. Fifth Candle: Bearish mat hold pattern ki last aur fifth candle aik long real body main hoti hai, jo k chothi candle k baad lower par open ho kar teeno small candles k top par close hoti hai. Ye candle black ya red hoti hai, jo ziada tar bagher long shadow k hoti hai.
Explanation
Bearish mat hold pattern dekhne main "Rising Three Methods Pattern" aur Three line strike pattern se melta julta pattern hai, jo bearish trend main banta hai, jo trend continuation k leye jana jata hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hota hai, jiss k baad small real body main teen bullish candles hote hen. Small dosri bullish candles pehli candle ki real body main open ho kar uss k real body main close hoti hai. Jab k teesri aur chothi small candles open aur close pehli candle ki real body main hoti hai. Pattern ki akhari candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo teeno small bullish candles k top par open ho kar uss k n3chay close hoti hai.
![Click image for larger version
Name: images (2) (16).png
Views: 29
Size: 6.9 کلوبائٹ
ID: 12540038](https://investsocial.com/ur/filedata/fetch?id=12540038&d=1645383039)
Trading
Bearish mat hold pattern dekhne main "Rising Three Methods Pattern" aur Three line strike pattern se melta julta pattern hai, jo bearish trend main banta hai, jo trend continuation k leye jana jata hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hota hai, jiss k baad small real body main teen bullish candles hote hen. Small dosri bullish candles pehli candle ki real body main open ho kar uss k real body main close hoti hai. Jab k teesri aur chothi small candles open aur close pehli candle ki real body main hoti hai. Pattern ki akhari candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo teeno small bullish candles k top par open ho kar uss k n3chay close hoti hai.
Trading
Bearish Mat hold pattern prices k leye sellers k market main ziada positive dilchaspi ki waja se banta hai, lekin kuch waqfay k leye market main gap banta hai, jiss k leye sarmayakar soch rahe hote hen, k aya same trend par prices ko continue hona chaheye ya trend reversal hona chaheye, lekin akher main faisala trend reversal k haq main hota hai. Bearish mat hold pattern k leye bearish candle k baad market main sell ki entry hoti hai, jo k confirmation candle k leye ziada achah result deta hai. Stop Loss pattern k sab se upper ya top par hona chaheye, jahan par pehli bearish candle open hoti hai, se taqreeban two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим