Understand The Fibonacci retracement levels ....
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Understand The Fibonacci retracement levels ....
    Explain Fibonacci entrancement levels.

    Fibonacci retracement levels aik technical analysis ka method hai jis sa ham support aur resistance ko determine kartay hain. isko naming Fibonacci sequence ka numbers ki wja sa mili, jinki ratios hmen price levels provide karti hain, jin sa market movement mein aik portion ko retrace karti hai, es sa pehlay keh portion ka trend original direction mein movement ko continue karay. isko show karnay ka liay keh Fibonacci retracements levels kia hotay hain aur inka trading market mein kia role hai , hm aik picture sa help hasil kar sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	6191465961426.png
Views:	2
Size:	122.9 کلوبائٹ
ID:	12540006

    How to Calculate Fibonacci Number.

    Fibonacci entrancement ki calculation k leye sab se pehle fabonacci numbers ki calculation ki jati hai. Ye lines to aam tor par percentage main dekhaya jata hai, lekin dar-assal ye lines fabonacci sequences hote hen, jiss ko 0, 1, 1, 2, 3, 5, 8, 13, 21, 34, 55, 89, 144, etc. draw kia jatta hai. Fabonacci sequences ki calculation bohut easy hai, iss main har agla digit pehle do digits ka majmoaa hota hai, jaisa k 0 +1 =1, 1+1 = 2, 1+2 = 3, 55+89 =144 wagher wagher...... Fabonacci sequences lamehdod numbers par mushtamil hotte hen. In sequences number ka sab se qabele-zekar baat ye hai k har number appne pechle number se taqreeban 1.61 gunna ziyada hai. In series main har ek number k darmiyan aik makhsos reshta payya jatta hai, jiss ko technical analyst istemal kar ke retracement levels ka tayun karta hai.
    Fibonacci sequence bannane k baad fabonacci ratio malom karnna hotta hai, jiss ko bhi mathematically inhen numbers se hasil kia jatta hai, ye tareeqay kar bhi itnna ziadda mushkil nahi hai, lekin maths ki calculation iss main aham role play karti hai. Fabonacci ratios ko darjazzel tareeqay se hasil kia jatta hai.
    Fibonacci ratio main 61.8% aik key number hai, is number ko hasil karnne k leye aik number ko har ane wale number par divide karnne se hasil kia jata hai, jaise 21 ko 34 par divide karnne se 0.6176 hasil hotta hai, jab k 55 ko 89 par divide karnne se 0.61798 atta hai. Fabonacci ratio k 38% number ko har aik number ko aik number chor kar aggle number par divide karnne se hasil kia jata hai, jaise 55 ko 144 se divide karnne se 0.38194 hasil hota hai.
    Fibonacci ratio ka 23.6% ko malomm karnne k leye aik number ko us k baad do number chor kar any wale number par divid kia jata hai, jiss se taqreeban result 23.6% k aas pass atta hai, jaise 8 ko 34 par divide karne se 0.23529 ata hai. Isi tarah se dusre number bhi hasil keye jate hen, jis ka tareeqay kar upper bayan kiye gaye tareeqay k mutabiq hota hai. Ye numbers agay trading k dowran prices k liye support aur resistance ka kam karte hain.
    Click image for larger version

Name:	eurusd.png
Views:	1
Size:	22.9 کلوبائٹ
ID:	12540007

    Which Fibonacci levels are important in trading .

    Fibonacci retracement levels men 161.8%, 61.8%, and 38.2% aaham hen aik aor figure bhi hay jo line kay kisi bhi number aor pechlay aik kay darmyan tanasub kay taur par pesh kia jata hai.

    Click image for larger version

Name:	707595286577.png
Views:	1
Size:	116.2 کلوبائٹ
ID:	12540008

اب آن لائن

Working...
X