Forex trading ki Ahmeyat

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex trading ki Ahmeyat
    Forex Trading Analysis



    Analysis forex trading me aik trader ki kamyabi k leye aham role ada karti hai. Agar traders apne trading se pehle proper analysis se kaam karta hai to trade k loss me jane k chances kam hote hen. Forex trading me humen teen qisam ki analysis karni parti hai, jis ka tareeqa kar aik dosre se thora mukhtalif hai.

    Click image for larger version

Name:	images (21).jpeg
Views:	3
Size:	29.6 کلوبائٹ
ID:	12540005

    Forex trading me ki jane wali analysis darja-zel hen;


    1. Technical Analysis
    2. Fundamental Analysis
    3. Sentimental Analysis


    1. Technical Analysis



    Forex trading me technical analysis sab se mushkil analysis aur sab se ziada kamyab analysis hai. Technical analysis me technical indicators ya oscillators ka istemal hota hai. Ye indicators aur oscillator humen market me pehle qeematon ki mathematical calculation faraham karti hai, jis k bina pe hum technical analysis hoti hai. Technical indicators aur oscillators k elawa candle sticks aur chart patterns bhi technical analysis me istemal hote hen.
    Technical analysis me timeframe ka aik aham role hai, jitna hum bari timeframe ka istemal karengy, utni hi humari analysis achi hogi. Technical analysis short term aur long term dono tarah ki hoti hai. Short term analysis me kam timeframe aur kam volume ka capital hota hai, jab k long term analysis k leye ziada capital aur bare timeframe darkar hote hen. Technical analysis k technical indicators me RSI, CCI, MACD, Moving Average waghera istemal hote hen, jab k chart pattern me head and shoulders pattern, plag pattern, peanut pattern, double bottom ya double top pattern ka istemal hota hai.

    2. Fundamental Analysis



    Fundamental analysis financial market me ziada waqfay k leye asar andaz hone wale wo elements hote hen, jin pe technical analysis ka asar nahi hota hai. Fundamental analysis k asar ziada tar commodities jaise metal aur energies pe ziada hote hen, jab k currencies pe ye ziada effective nahi hote hen. Fundamental analysis market ka semat bulkul mukhtalif semat me move kararta hai, jis ko aam tawar par traders ko tawaqa nahi hoti hai. Fundamental analysis me Corona waba, America China trade war waghera jese masayel shamil hen. In masayel ki waja se gold, trades aur oil jese fields bohut zyada asar andaz hote hen.


    3. Sentimental Analysis



    Sentimental analysis ka istemal dosre analysis se mukhtalif hai, is analysis me traders mind setup se ziada kaam leta hai. sentimental analysis me traders market me dosre elements jese trading calendar, ya events aur technical indicators ka combination result apply karte hen. Sentimental analysis aam twar par technical aur fundamental analysis ka mixup bhi ho sakta hai, jahan markrt ka behaviour bohut mukhtalif hota hai. Aksar aik currency technical analysis k mutabiq strong ho rahi hoti hai lekin financial events release hone se aksar wo weak behave karti hai, to ye anasir sentimental analysis k zarye se dekhey jate hen.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex trading ki Ahmeyat

    Forex trading mein analysis bht ziada ahmiat ka haamil hai. forex trading mein jitna acha apka analysis hoga. apko utna hi ziada acha result avail hoga. Dunia mein forex trading hi aik aisa business hai. jo k bht kam waqt mein apko billinior bna skta. bs is keliey apko achi mehnat or achy analysis ki zaroorat hoti hai. or apny account ki equity ki hisaab sy munasib lot size lga kr trading krny py munhasir hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X