Dragonfly Doji Candlestick

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Dragonfly Doji Candlestick
    Dragonfly Doji Candlestick

    Dragonfly doji candlestick aek trend reversal candlestick hai jo kay kisese bhe trading chart kay trend ka end par aapko dekhney mai mil sakte hay. Es kaa zayida asar market trend pay tab hota hai market mein support level per dragonfly doji banati hay. Fundamentally yehh candlestick aap ko market mein upward ya buying compression ko show kerrti haiy jiss ka mattlab hota hey kay market trend kay chances hein kay change hoga our billing trend shuru hony wala basically yehh apko aik strong signal deti hy candlestick jis ki madad sy aap asani sy trend ko smjh kay apni trade open kr skty hein.

    Dragonfly Candlestick Ke Tafseel

    Forex market mein dragonfly doji english k lafz (T) say milti julti hy our candlestick ki kisei bhi pair kay chart men asani say dekha jaa sakta ay iss ko identify krna zada mushkel nahi hota iss kay head pay aik wick hoti hy. Iss candlestick ki body bilkul choti hoti hai our iss candlestick ka shadow body sa 2 to 3 guna lamba hiay. Iss candlestick ki formation hamesha uper sy shuru hoti hai our iss ka shadow neechy ki taraf hota hy.
    Dragonfly doji candlestick ko dakhny kay baad aap ko forex trading mein buying zone men aik powerful signal milta hai kyun kay yehh candlestick aap ko market main buyers ka pressure ko show krti hai our aap ko batati hai k buyers pressure zayda seller ki nisbat. iss liye iss candlestick k baad market mein bht zada chances upward jany k hoty hain lekin apni trade ko mehzoof rakhny kay leay aap ko money management kay rules kay mutabik work krna hota hy.

    Chart Par Nisaandehi

    Click image for larger version

Name:	DragonflyDoji.gif
Views:	1
Size:	29.7 کلوبائٹ
ID:	12539988

    Dragonfly doji candlestick ko market men kisei bhi pair kay chart men find out krny ke leay aap ko iss ko smjhna bahut zarori hoti hai, ager aap candlesticks ko dakh kar trade krty hain to aap ko loss hony k chances bht kam chances hoty hein. Jeb market open hoti hey to seller ki force strong hoti hey iss liey nechy ki terf shadow banti hey leken bulls comeback kerty hain our market price ko opening level per wapus ley jaty hain aor candlestick ki body nahi bennain dety.
    Jeb bhi dragonfly doji ki candlestick ben jaey to next candlestick ka intizar kerain ager next candlestick iss se oper ben jaey to buy ki trade laga dain keon keh bulls ki power strong hey our market bullish hey.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Dragonfly Doji Candlestick

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Dragonfly Doji Candle


    Dragonfly doji candle main prices bagher real body k sath upper side par aik long shadow banati hai. Ye candle bearish trend k dowran sellers prices ko waqti tawar par bearish le jane ki koshash karte hai, lekin ziada buying pressure aur low price area hone ki waja se aisa mumkin nahi hota hai. Lekin bearish trend main banne wali dragonfly doji candle prices k bullish trend reversal ka sabab banti hai. Dragonfly doji candle main real body shadow k muqabele main bohut zero hota hai, yanni candle ka shadow lower side par bohut ziada ho sakta hai. Dragonfly doji candle main prices ka open aur close same hona chaheye, q k aisa na hone par ye candle aik umbrella candle ban sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	Dragonfly-Doji.png
Views:	24
Size:	7.9 کلوبائٹ
ID:	12404045

    Candles Formation


    Dragonfly doji candle aik single pattern candle hai, iss waja se ye candle dono pattern main ho sakti hai. Ye candle prices k bearish trend main banne par market k bullish trend reversal ka sabab banti hai. Candle ki tafseel darjazeel hai:

    Click image for larger version

Name:	images (2) (37).png
Views:	5
Size:	4.1 کلوبائٹ
ID:	12404046

    Dragonfly doji Candle: Dragonfly doji candle low prices ya bearish trend main banta hai, lekin bullish trend reversal honne ki waja se ye candle aik bullish candle shumar ki jati hai. Ye candle bagher real body main hoti hai, jiss k lower side par aik long shadow hota hai.

    Explanation

    Dragonfly doji candle jo k bullish trend main banne wale gravestone doji candle ki ulat shap main hoti hai, aik bullish trend reversal candle hai. Ye candle bagher real body main aik lower long shadow k sath banti hai. Ye candle bullish trend main banne wali small real body wali hanging man candle k jaisi dekhti hai, lekin bagher real body ki hoti hai. Candle ki bearish trend main lower prices main banna bohut ziada aham hai, jab k ye candle colourless hoti hai, aur aik line si nazar ati hai. Candle k upper side par wese role k mutabiq to koi shadow nahi banna chaheye, lekin agar aik small wick ban bhi jaye to bhi ye doji candle k mutabiq hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (36).png
Views:	7
Size:	3.2 کلوبائٹ
ID:	12404047

    Trading

    Dragonfly doji candle bearish trend main sellers ki taraf se aarzi koshash hoti hai, jiss main wo prices ko bearish push karte hen, lekin market main achanak buying dabao ki waja se prices wapis apne aghaz wali position par a kar close ho jati hai. Jiss se candle k bagher real body k sath lower side par aik long wick ya shadow ban jata hai. Ye shadow aik bearish trend k lower side par rejection ki alamat hoti hai. Trend confirmation ya market main entry karne se pehle aik white candle ya technical indicators ka oversold zone main hona zarori hai, jiss se prices k low hone ka ishara melta hai. Stop Loss candle k sab se lower side par two pips below par set karen, jo mumkina support level sabit ho sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (38).png
Views:	41
Size:	13.8 کلوبائٹ
ID:	12404044

    اب آن لائن

    Working...
    X