How to Currency Correlation In Forex difference ,,,

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to Currency Correlation In Forex difference ,,,
    Aslam o alaikum

    Introduction

    Dear members g aj main apke sath ek bhut hi important topic discuss jrne ja rahi hon jo k currency correlation k bare main is tarah ye bht hi important topic hai . Cc mean currency correlation jo k trading main kam ane wala ek bht hi important topic hai so main apke sath ye details sy share krti hon ta k jin members ko is k related khas information ni wo bhi apna experience gain kr len or trading main kamyab ho skhen ,,

    What is currency correlation ,,,

    Dosto to agr main apko currency correlation k bare main bataon to forex trading main jab two currencies ka ek dusre main correlation hota hai ya jab chart main two pairs same direction main move krte hain run krte hain to usy hum correlation kehte hain .ye positive correlation hota hai . Or agr negative correlation ki bt ki jaye is main jab wo hi ono pairs opposite run krte hain isy hum negative correlation kehte hain ,,,

    Currency Correlation importance ,,,

    main apko is bare main detail sy explain krta hon iski important or explanation . Agr two currencies ka correlation zero ho to iska mtlb hai wo is dusree k liye independent hain or pairs ki movement sy dysre ki movement py asar ni prhta hai dono randomly move krte hain .jan ek currency pair move krti hai to uska kafi effect dusrii wali currency py krta hai jo us k related hoti hai . financial world main correlation two currencies k darmiyan stastical measure ko kehte hain ,,


    Currency Correlation important point ,,,

    kich important points hai jin ko hm agr mind main rakh k trading krte hani to is sy hum is main easily kamyabi hasil kr slhte hain so main apke sath share krta hon to world ki currency ki correlation bilkul normal hoti hai .or candian dollar CAD ka correlation oil sy hota hai . australia dollar ka AUD correlation new zealand NZD k sath hota hai or us k sath gold or CL ko bhi relate krte hain .or correlation ki rang _1 sy +1 k darmiyan hoti hai .agr two currencies pairs ek bhi direction main move krti hai to ye perfect correlation hai .ye is k important points hain jin ko mind main rkh k kam krna chaiye tab hi kamyabi possible hai so new members bhi is ko achii tarah analyse kr len
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: How to Currency Correlation In Forex difference ,,,

    Currency Correlation


    Mukhtalif currency joro ka apas me taluq (correlation) hota hai. Currency jore ki aik taraf k qeemat currency jore k dosre taraf ki qeemat par asar-andaz hoti hai. Correlation se murad hai, k do (two) mukhtalif jore waqat k sath sath kis tarah aik jaise (similar) ya mukhtalif (des-similar) chalte hen.
    Correlation ko aam tawar par 1.00 aur 0.00 k darmeyan napa (measure kia) jata hai. 1.00 hone ka matlab hai k dono (two) currency jore apas me correlated hen. Jis ka matlab hai k jab aik currency jora uper jayega to dosra bhi uper jayega. Is k bar-aks 0.00 par dono currency joron ki movement aik dosre se mukhtalif hoti hai, jis ko non-correlation bhi kaha jata hai. Non-correlation me agar aik currency jora uper jata hai to dosra nechay ki taraf movement karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (37).jpeg
Views:	12
Size:	22.4 کلوبائٹ
ID:	12404027

    Kuch currency jore qudrati (naturally) correlated hote hen, aur isbki pehchan bohut asani se ho jati hen, jaisa k; EUR/CHF aur GBP/CHF etc. Correlation joro ki movement bohut smoth tareeqay se hoti hai,lekin waqat k sath sath us me dramaye tabdeeli ronuma hoti rehti hai.
    Correlation ki madad se market ki analysis karna aur trading decision leya ja sakta hai. Q k agar aik currency jore ki analysis dosre currency jore k analysis se mutabiqat (similarity) rakhti hai. Misal k tawar par agar hum EUR/CHF ki analysis ko GBP/CHF pe aplly karen to is se hamara bohut sara waqat bach jata hai.

    Correlation coefficient formula



    Positive Currency Correlation


    Jab do (two) currency joron (pairs) k darmeyan correlation 1.00 ho, to is ka matlab hai k ye positive Correlation hai. Positive correlation me dono currency jore bayak waqat (same time) me uper (up) ya nechay (down) jayengay, jesay; EUR/USD aur GBP/USD.

    Click image for larger version

Name:	images (42).png
Views:	1
Size:	20.7 کلوبائٹ
ID:	12404028

    Negative Currency Correlation


    Agar do mukhtalif currency joron ka apas me value 0.00 ya us k qareeb ho, to is ka matlab hen k currency jore non-correlated hen, jab bhi aik currency pair agar upward move karega to dosra downward jayega. Non-correlated currency pairs me EUR/USD aur USD/JPY shamil hai.

    Click image for larger version

Name:	images (41).png
Views:	11
Size:	17.0 کلوبائٹ
ID:	12404029

    Commodity-Currency aur Commodity-Commodity Correlation


    Forex trading market me na sirf currency jore apas me correlated ya non-correlated nahi hote, bulke cuch commodities bhi currency pair k sath correlation ya non-correlation ka taluq rakhte hen. Misal k tawar par jab gold upward jata hai to USD donward move karta hai, isi tarah jab Gold upward jata hai to AUD bhi upward jata hai. Crude oil ka direct inhisar CAD pe hota hai, crude oil k upward ya downward movement se CAD ki movement bhi upward ya downward hoti hai.
    Commodities ka bhi apas me correlation hota hai, jis tarah se currencies ka correlation hota hai. Misal k tawar par agar gold ki qeematen upward jati hai, to us k sath sath Copper, Silver aur dosre metals ki bhi price bullish move kar jati hai. Is k elawa Oil ki price bullish ya bearish jane se gas aur dosre energy products k bhi prices up ya down jate hen.
    Cryptocurrency ki bhi correlation hoti hai, jab bhi Bitcoin upward jata hai, to us k sath sath dosre Crypto currencies bhi bullish jati hen.

    Click image for larger version

Name:	images (43).png
Views:	1
Size:	14.2 کلوبائٹ
ID:	12404030

    اب آن لائن

    Working...
    X