Morning Doji star candle stick pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Morning Doji star candle stick pattern
    what is morning Doji star candle stick pattern:




    Morning Doji star cande stick pattern aik three candle stick pattern hota hey aik bearish candle stick aik Doji candle stck hote hey or aik series mein aik bullish candle stick pattern hote yeh aik bearish trend reversal candle stick pattern or aik bullish candle stick hote hey
    yeh es bat ko indicate karta hey keh buyer market ko control kar rahay hein price action har candle stick pattern pechay kay mantaq ko samjhna hota hey market ko read karna technical analysis ka best action hey
    Click image for larger version

Name:	morning-doji-star-1.png
Views:	7
Size:	4.3 کلوبائٹ
ID:	12539936




    identification Morning Star Doji candle stick pattern:Bare bearish candle stick or aik Doji candle stick or aik bare bullish candle stick mell kar Morning star Doji candle stick banate hein forex chart par aik best candle stick pattern ko talash karnay kay ley ap ko kuch standard par amal karnay ke zaroorat hote hey
    darj zail step par amal karna chihay
    bearish candle stick body 2 wick ka 70% hona chihay yeh body aik bare bullish candle stick ko indicate karte hey candle stick pattern ka bara part forex market seller kund gan kay best tanasob ko indicate karta hey
    Doji candle stick ke starting or end price aik jaice hone chihay es candle stick ka size dosree candle stick ke tarah bara nahe hona chihay
    bullish candle stick ke body kam az kam 70% body wick hona chihay
    Click image for larger version

Name:	candlestick-guide-1.png
Views:	2
Size:	8.3 کلوبائٹ
ID:	12539938
    bullish candle stick ke end price Morning star Doji candle stick pattern mein bohut importance rakhte hey or en dono pattern ka tansob price chart par end price ko indicate karta
    method 1 bullish candle stick bearish candle stick ka 50% hona chihay or par close ho jana chihay 50% aik close level hote hey or es level say opar close honay matlab yeh hota hey keh price es strong resistance level ko break kar choke hote hey r ab yeh opar janay kay ley ready hey
    method 2 bullish candle stick pattern bearish candle stick ke highs kay opar close ho jane chihay or aik strong buy signal ko indicate karte hey jo keh buyer ke bare tadad ke nomaindge karte hey jo keh market ko control kar rahay hein



    Morning star Doji candle stick trading strategy:




    candle stick chart pattern dosray chart pattern kay sungum kay baghair akallay trade nahe kea ja sakta hey candle stick reversal signal dayte hey laken yeh technical analysis mein take profit level kay baray mein khordah trade nahe ke ja sakte hey




    open buy order:




    bullish candle stick kay high kay opar buy stop order dein or small candle stick pattern ke tshkeel kay doran zair e altawa order bhe help full hota hey



    stop loss order



    stop loss order ko Doji candle stick kay nechay say he stop loss ko adjust karna chihay



    take profit level




    Fibonacci extension tol ka estamal kartay hovay trading strategy mein take profit level ka estamal karna chihay take profit 1 ko price last peak par rakhne chihay retracement ka aghaz bhe yahan par high swing kay tor par karna chihay
    Fibonacci tool ko draw karen 1.272 level par Fibonacci action ko wazah karen take profit 2 level ko 1.272 level par adjust karen




    risk management



    risk o reward ka tanasob hamesha morning star doji kay ley kam say kam risk o reward 1:2 hey kam say kam risk jo ap ko layna chihay hamesha total account ka 2% hona chihay
    Click image for larger version

Name:	morning-doji-star-trading-strategy-1.png
Views:	8
Size:	13.6 کلوبائٹ
ID:	12539943
    bhali kay badlay bhali
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Morning Doji star candle stick pattern

    Morning Doji-star Pattern




    Morning doji-star pattern Doji star candle stick pattern ki hi tarah hai, jo trend reversal (billish trend to bearish trend) k leye istemal hota hai. Morning doji-star candlestick pattern me aur doji satar candle me bas sirf itna faraq hai, k is pattern me banne wali teesri black (bearish) candle aur doji star candle me kahli jagah (gap) ban jata hai. Ye gap market me seller ka dabao hota hai, jo market ki qeematon ko nechay dakhel deti hai (push karti) hai.

    Click image for larger version

Name:	images (62).png
Views:	16
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12404111

    Pattern ki Pehchan k Rules
    1. Morning doji-star pattern us waqat bullish abandoned baby pattern me badal jata hai, jab doji star candle aur bearish candle k darmeyan gap ban jaye.
    2. Agar bearish candle ka shadow banta hai to wo bhi doji candle k lower shadow ko overlape na karen. Yani is ka matlab hai k doji candle se bearish candle mukamal alag honi chaheye aur gap wazih hona chaheye.
    3. Pattern bullish trend k bad qeematon k top high position pe bannega


    Click image for larger version

Name:	images (65).png
Views:	1
Size:	1.9 کلوبائٹ
ID:	12404112

    Pattern ki Tafseel

    Morning doji-star candlestick pattern aik strong bullish trend reversal pattern hai, jo k dekhne main same bullish abandoned baby candlestick pattern ki tarah hotta hai, lekin doji candle k dosri candles se gap k difference ki waja se ye pattern abandoned pattern se bohut mukhtalif ban jatta hai. Ye pattern prices k downtrend ya low price area main bannta hai, jahan se ye trend reversal ka kaam kartta hia. Morning doji-star candlestick pattern teen candles par mushtamil aik trend reversal pattern hai, jiss main 1st candle color main black ya red yanni bearish trend wali candle hotti hai, ye candle long real body main banne ki waja se bearish trend ki mazbotti ki alammat hotti hai. 2nd candle aik doji candle hotti hai, jo k prices ko temporary pause kar detti hai aur iss candle ka opening aur closing price same hotti hai. Pattern ki akhari candle aik white ya bullish candle hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (48).jpeg
Views:	1
Size:	23.1 کلوبائٹ
ID:	12404113

    Trading on Pattern



    Morning doji-star pattern qeematon ki strong reversal ki taraf ishara karti hai, market ki qeematen bearish position pe move hona shoro kar deti hen. is pattern me traders k pas moqa hota hai, k wo market me sell k trades se entry karen. Ye pattern banne k bad trend ki confirmation ho jati hai, jis k bad qeematon ka ger jane k bohut ziada chances hote hen. Agar teeari bearish ya black candle aur doji star candle k darmeyan gap nahi banta to us sorat me 4th candle ka intezar zaror karen is se trend ki confirmation ho jayegi. Stop loss k leye dogi star candle ka top select karen.

    Click image for larger version

Name:	images (47).jpeg
Views:	3
Size:	19.0 کلوبائٹ
ID:	12404110
    • #3 Collapse

      Re: Morning Doji star candle stick pattern

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Morning Doji-Star Pattern


      Morning doji-star candlestick pattern prices k bottom par uss waqat banta hai, jab bhi sellers ki bohut ziada pressure aur assets ki high supply ya low demand ki waja se prices bohut ziada nechay ja chuki hoti hai. Ye position aksar prices k support level sabit hoti hai, jiss main prices yakdam upper charna shoro karti hai. Morning doji-star candlestick pattern main teen candles hote hen, jiss main pehli candle prices par sellers ka dabao, dosre candle prices ko mazeed nechay jane se rokne aur last teesri candle prices ko reversal direction main badal deti hai. Jab bhi high supply ki waja se assets ki prices bohut ziada nechay jane lagti hai, to aik aisi satah ati hai, jahan par iss main izzafa hona shoro hoti hai, ziada demand wale area main aksar prices small candle banati hai.

      Click image for larger version

Name:	images (49).jpeg
Views:	11
Size:	25.0 کلوبائٹ
ID:	12404118

      Candles Formation


      Morning doji-star candlestick pattern bearish trend ya low demand area main paya jata hai, jiss se k baad prices mumkina tawar reversal jana shoro karti hai. Ye long timeframe main ziada bante hen, jab k iss pattern k teen hessey ya pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss ki tafseel darjazzel hai:

      Click image for larger version

Name:	images (46).jpeg
Views:	18
Size:	15.5 کلوبائٹ
ID:	12404119

      1. First Candle: Morning doji-star candlestick pattern ki pehli low prices area main hone ki waja se bearish candle hoti hai. Ye candle aik prices k bearish trend ki akasi karti hai, jo mumkina market ki teezi dekhati hai. Candle ki real body bearish trend k mutabiq black ya red hoti hai.

      2. Second Candle: Morning doji-star candlestick pattern ki dosri candle aik bagher real body wali candle hoti hai, jiss ka open aur close same point par hota hai, yanni ye aik doji candle hoti hai. Ye candle banti to pehli candle k bottom par hai lekin iss ki real body na hone ki waja se asarat bullish trend ki hote hen, ye candle bagher color ki umoman doji star candle hoti hai, lekin position pehli candle k bottom par honi chaheye, jo bohut important hai.

      3. Third Candle: Morning doji-star candlestick pattern ki teesri candle trend reversal k mutabiq hoti hai, q k ye dosri candle prices ko rok kar mazeed bearish jane se rokti hai, jab k third candle bullish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle se above aur pehli candle k parallel banti hai.

      Explanation

      Morning doji-star candlestick pattern aik strong bullish trend reversal pattern hai, jo k long term k timeframes main low prices ko high price direction main tabdeel kar dete hen. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jiss k baad aik doji-star candle banti hai, aur last par aik bullish candle hoti hai. Bearish candle market main sabeqa trend ki alamat hoti hai, jiss k baad banne wali doji candle prices ko mazeed nechay jane se rokne k kaam karti hai, jab k last par bullish candle trend reversal k leye jani jati hai. Ye pattern dekhne main "Bullish Abandoned Baby Candlestick Pattern" se ziada mushabehat rakhta hai, aur candles ki formation bhi taqreeban same hoti hai, lekin uss main istemal hone wali doji candle bearish aur bullish dono se nechay wazih gap main hoti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (63).png
Views:	1
Size:	3.9 کلوبائٹ
ID:	12404120

      Trading

      Morning doji-star candlestick pattern trading k leye aik perfect bullish ya buy k signals generat karta hai. Pattern par trading k leye prices ka low area main hona zarori hai, jab k indicators par uss waqat oversold zone hona chaheye. Pattern par trading se pehle aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main pattern k sare candles se top side par close honi chaheye. Iss candle par market main buy ki entry ki ja sakti hai, jab k ye candle black real body main hone se pattern ka asar khatam ho jayega. Pattern par trading k leye risk ko kam karen jab k Stop Loss pattern k sab se bottom side par ya doji star candle k lower side se two pips below set karen.

      Click image for larger version

Name:	images (64).png
Views:	19
Size:	3.2 کلوبائٹ
ID:	12404115
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: Morning Doji star candle stick pattern

        What is a morning doji star pattern?

        ab aayiyae morning dogi star patteren ke liye kayi wazahaten dekhte hain .
        khulasa yeh hai ke yeh taizi se ulatnay wala patteren hai jo traders ko rujhan ki kam sharah par market mein daakhil honay mein madad day sakta hai .
        kharidaron ke zareya is soyng point par farokht bilkul khatam hojati hai, yahi wajah hai ke aisa hota hai .
        hum is ki wazahat is taraf ishara karte hue kar satke hain ke candle stick ke teen hissay hain, jin mein se har aik baichnay walay ki taaqat ko kam kar deta hai jab tak ke yeh aakhir kaar kharidaron ke hawalay nah ho jaye .
        agar aap un namonon mein se aik ko dekhte hain, to aap maqool had tak yaqeen kar satke hain ke raftaar ab kharidaron ke haq mein hai .
        yeh candle stuck dogi family se talluq rakhti hai, jis mein khulay aur band honay par aik jaisi qeemat ke prints wali candle stiks shaamil hain .
        is liye inhen aik ghair faisla kin mom batii kaha jata hai .
        tajir aaj subah ke dogi star candle stuck patteren se haasil kardah maloomat par tijarti intikhab ki bunyaad rakh satke hain .
        How accurate are they?
        trading session ke douran taajiron ko muqaabla karne ke liye kam waqt ki wajah se, aap dekhen ge ke yeh candle stuck patteren kam time frame par kahin ziyada kasrat se paye jatay hain .
        misaal ke tor par, 1 din ke chart ka hajam 1 minute price action se bohat kam hota hai .
        khush qismati se, tom balkowaski ne un namonon ka mutalea kya hai aur yeh tay kya hai ke 74 feesad imkaan hai ke subah ke dogi star patteren ke nateejay mein taizi se tabdeeli aaye gi .
        agarchay yaqeen nahi hai, yeh aik bohat mazboot nishani hai ghoomnay ki taraf .
        What is the best time frame to use them?

        mustaqil mizaji ka raaz yeh hai ke aap –apne liye behtareen waqt ka intikhab karen. mein aik time frame istemaal karne ka mahswara deta hon jis se aap sab se ziyada waaqif hon ya aap ke pasandeeda chart time frame .
        time frame asal mein koi farq nahi parta .
        misali time frame aur bad tareen time frame mojood nahi hai. zaati tarjeeh faisla kin Ansar hai .
        paanch minute ke chart kuch taajiron ke liye ziyada mozoon ho satke hain, jabkay chaar ghantay ke chart doosron ke liye ziyada mozoon ho satke hain .

        How to identify a morning doji star pattern

        yeh aik 3 candle stuck patteren hai jisay pehchanana bohat aasaan hai .
        woh sab se pehlay neechay ke rujhanaat aur soyng lovs par mil satke hain .
        dosra, teen baar darj zail tarteeb mein zahir hotay hain :
        brown candle stick
        choti dogi
        bearish candle stick
        aik jaaiz signal ban'nay ke liye, choti dogi, ya darmiyani candle stick ko aik nichli satah bananay aur markaz mein hona zaroori hai .


        اب آن لائن

        avatar Ayn
        avatar Tractor
        avatar Hassi
        avatar Rehan50
        avatar supra
        Working...
        X